I am sure abtak aapne apne bank account ko aadhar card linking ke liye apply kar diya hoga. Yadi aapne abhi tak aadhar card se bank account ko link nahi kiya hai to ye article aapki help kar sakta hai
Ab aage badhte hai. Bank Account me Aadhar Card se linking apply karne ke bad yah janana sabse jaruri hota hai ki bank account aadhar card se link hua hai ki nahi.
Jise aapko janane ke liye dubara Bank jana pad sakta hai. Par isse aapka time waste ho sakta hai. Isliye main aapko do aise tarike batayunga, jisse aap ghar baith ya kahi bhi ho, easily kuch second me bank account aur aadhar linking status check kar sakte hai.
Chaliye janate hai
Aadhar Card Se Bank Account Linking Status Kaise Check Kare
1.Online Tarika
Yadi aapke pas internet ka proper source hai, to aap is tarike se kuch minute me aadhar card & bank linking status jan sakte hai.
1.UIDAI Ke official website ko open kare.
2.Scroll down kare. Ab aap Aadhar Service Column me dekhe.
3.Vaha Check Aadhar & Bank Account Linking Status par click kare.

4.Ab next window me Aadhar Number aur Captcha enter kare.

5.OTP verify kare.
Ab Bank aur Aadhar se related details show hone lagega. Jise dekh aap jan sakte hai.
2.USSD Code
Is tarike se bank & aadhar linking status janana aapke liye behad simple hoga. Iske liye naa aapko internet ki jarurat padegi aur na hi kisi smartphone ki. Bas ek feature phone ki jarurat padegi.
1.Feature phone ke dial pad par *99*99# dial kare.
2.ap Screen par do options aayega.
-1.Aadhar Linking Status
-2.PMJDY AMC Overdraft Status
3.Aap 1 enter kar reply kare.
4.Ab aap 12 digit aadhar number enter kare.
5.Next step me confirm kare.
Ab aapke pas bank & Aadhar linking se related details aa jayega.
3.Branch
Aap apne bank ke nearest branch me jaye, sath me passbook aur aadhar card le jaye. Vaha Bank officer se aadhar aur bank linking status ke bare me puch sakte hai.
In Last
Aadhar card se bank account ko link karana jaruri hai aur link karne ke bad janana jaruri hai ki aapka ye linking process successfully hua hai ki, aap upar bataye gaye simple tarike se jan sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Google Plus aur Whatsapp par share kare.
Leave a Reply