Haal hi main kai Aadhar Card Data Leaks ke issues dekhe gaye, jiske karana Aadhar Card ki security par kai gambhir saval uthane lage.
Jiske liye protective step uthate hue Central Government ne Aadhar Virtual ID launch karne ka decision liya hai, jise Govt 1 March 2018 ko launch karegi.
Par Govt Aadhar Virtual Id bahut late la rahi hai, because most of people apne aadhar ko bank, mobile number, LIC Policy, Gas Connection aur Other Govt Scheme se joint kar chuke hai.
Is bare main ek chaukane vali bat bhi pata chali hai ki NDTV dvara Interview me UIDI ke Chief Executive Officer Ajay Bhushan Pandey ne bataya ki is Aadhar Virtual Card ke bare me 7 saal yani 2009-10 me hi Govt ko suggest kiya tha. Lekin Govt ne is bare me koi vichar nahi kiya.
Khair der se hi ab Govt ise launch karane jaa rahi hai. Bas abhi sabse bada saval hai ki
Kya VI Aadhar Data Ko Secure Kar Payegi? Iska javab time hi dega.
Filhal ham VI ke bare me details me janate hai.
- Aadhar & Bank Account Linking Status Kaise Check Kare [Best 3 Ways]
- Aadhar Card Update Status Kaise Check Kare ?
Aadhar Virtual ID Kya Hai ?
Aadhar Virtual ID original aadhar card ka Temporary Copy ID hoga, jise Aadhar Card ki jagah Govt Schemes, Bank aur Private Institutions me use kiya ja sakega.
Aadhar number 12 digit ka hota hai, par iska number 16 digit ka hoga, Jisse aapki aadhar number hide rahegi.
Ise aap Aadhar Card ka Debit Card kah sakte hai.
Aadhar Virtual ID Kyun Laya Ja Raha Hai ?
Yadi aap national news padhate hai, to aapne janate honge ki Aadhar Data ko lekar kai Scams ho chuke hai. Jiske karane Aadhar ki privacy secure najar nahi aati hai. Isliye kai high educated persons ne Aadhar Card ko lekar Govt ke against Supreme Court me case dayar kar rakhe hai. Jiski sunwai chal rahi hai.
Inhi Sab privacy and security holes ke karan Govt VI lekar aa rahi hai. Jisse Aadhar ko ek extra layer secure banaya ja sakega.
Aadhar Virtual ID Ke Securities Feature Kya Kya Hai?
1.Limited Bio Data – Virtual Id me aadhar card holder ki limited data hoga. Jaise Name, Address, Photo, Date of birth. Iske alava agencies koi bhi data access nahi kar sakegi.
2.16 Digit Number – VI me aapka aadhar number nahi hoga, balki 16 digit number hoga. Agencies ko un 16 digit number se apni KYC requirement pura karana hoga. Isse aapki aadhar number hide bani rahegi.
3.Cancel Anytime VI – Yadi aapse VI lost ho jata hai to aap use easily cancel kar sakte hai. Bas keval aapko dubara New VI generate karana hoga. Jaise hi New VI generate hoga, old VI automatically cancel ho jayega.
Kya Aadhar Virtual ID Banana Compulsory Hai?
Abhi Govt ne ise launch nahi kiya hai, isliye isse related term ke kuch jyada details available nahi hai. But kuch Media Reports ke anusar VI banana compulsory nahi hai. Jo apani privacy ko lekar care hai to ve ise bana sakte hai.
Kaise Aadhar Virtual ID Banaye?
1 March 2018 ke bad aap ise near Aadhar Center me banava sakte hai ya UIDAI ke official website se download kar sakte hai.
Aap kitne bhi VI bana sakte hai, but old VI cancel ho jayega.
Kya aapko lagata hai Aadhar Virtual ID Aapke Aadhar Card Ko Secure Bana Sakegi?
Vandna Namdeo says
बहुत अच्छी जानकारी सर
शेयर करने के लिए धन्यवाद
Ravi Kumar says
Thanks Vandna to appreciate my effort.
neeraj sharma says
good article and unique theme . i like your theme
Ravi Kumar says
Oh Thanks Neeraj to appreciate my effort. And I have many designed theme, If you want, let me know.