Beginner blogger ke liye money earn karana sabse mushkil hota hai, because-
1.Google Adsense Account ke liye jaldi approval nahi milta hai. Jab approve ho jata hai to low traffic hone ki vajah income achchi nahi hoti.
2.Low Traffic hone ki vajah se affiliated marketing se bhi koi khas earning nahi ho pati hai.
Lekin aap Adnow se low traffic aur Adsense Account Approval/ Disapproval ke sath easily earning kar sakte hai.
Table of Contents
AdNow Se Kaise Kamaye
About AdNow
Adnow ek UK based Native Advertising company hai. Jiska headquarter London me hai.
AdNow December 2015 me launched hui thi. Filhal 2,10,000 website par iske ad show ho rahe hai. Iske sath 1700 advertisers jude hue aur 114 countries me business kar rahi hai.
AdNow Kaise Work Karta Hai
Adnow native advertisement show karta hai, jise koi bhi ad blocker block nahi kar sakta. Iske alava iske ad lazy load hota hai, jo blog ki loading par jyada impact nahi dalta hai.
Adnow javascript code ke dvara publisher ke blog / website par advertiser ke ad show karta hai.
Ad par mile clicks aur performance ko Adnow dashboard me real time show karta hai.
AdNow Join Karne Ke Liye Requirements
Adnow join karne ke liye koi khas requirements nahi hai. Fir bhi blog par 100 visitors per day honi chahiye aur blog ki language English ya Hindi me honi chahiye.
AdNow Earning & Payment
1.Adnow CPC based work karta hai. Yeh per click $0.03 pay karta hai.
2.Yeh earning payment weekly karta hai, bas minimum earning $20 hona chahiye.
3.Payment ko Paypal ya Payoneer se receive kar sakte hai.
Pros
1.Easily ad setup in five minute
2.Lazyload Ad
3.Weekly Payment
4.Adsense ke sath use kiya ja sakta hai
5.Adsense ki tarah iski CPC up down nahi hoti hai. Ek Saman bani rahti hai.
Cons
1.Sabhi tarah ke blog jaise technology, seo blog ke liye iske ad suitable nahi hai.
Adnow Account Kaise Create Kare
1.Adnow Par visit kare.
2.Signup link par click kare aur Required Information fill up kare
-Name
-Password
-Confirm your password
-Tick on “I accept and agree to all of the terms and conditions”
-Verify Captcha
– Submit kar den
Ab aapko inbox me confirmation mail milega, use open kare aur confirmation link par click kare. Ab aap account activate ho jayega.
Blog Par Adnow Ad Kaise Lagaye
Step 1
1.Ab Adnow par login ho jaiye.
2.Click Add Site Button
Add Site Form ye info fill up kare

-Blog name
-website address
-Website language
-Website traffic
Ab Add kare. Iske bad Ad Policy ka ek box pop up hoga, jise carefully read kare aur agree par tick kar ok press kare.
Fir aapko ek ya do din tak wait karna hoga, jab tak blog approve na ho jaye.
Step 2
1.Jab blog approve ho jaye to Widgets par click kare
2.Fir Add a Widget par
3.Ab aap apne blog ke color, size ke anusar customize kar dono Ad code ko copy kare
4.Blog ke text widget me paste kar de.
5.Post ke bich me ad lagane liye Ad Inserter Plugin use kare.
Yadi post aapko pasand aaya ho to jarur share kare aur han aap Adsesne aur Adnow ke alava hindi blogs ke liye kaunsa Ad Network use karte hai?
shiv says
i cannot find the confirmation mail in the mailid i provided
Ravi Kumar says
please contact their support team. thanks to visiting here.
Sam says
Adnow par bahut hi sunder article. Thanks for sharing this beautiful article.
Thanks once again.
????????????
Ravi Kumar says
Welcome Sam 🙂 🙂
dev says
sir http://www.hihindi.com meri site hai es pe adnow or absence dono use kar rha hu koi problm to nhi hogi
Ravi Kumar says
bilkul nahi hoga.
Jan Bharat Times says
Nice Article sir