Hindi blogging me kamai karane ka sabse popular trika Google Adsense hai. Iska karan bhi hai ki Adsense dusre Ad Network ki tulana me publisher (blogger) ko jyada pay karta hai.
Lekin Adsense ko lekar Ek badi hi interesting fact hai-
1.Blog start karte hi blog par Adsense Ad lagana beginner bloggers ka dream ban jata hai. Jab ye pura nahi hota hai to 50%-60% new bloggers blogging karna hi chhod dete hai.
2.Jab Adsense Account approve ho jata hai to invalid actions se account ban hone ki chinta satane lagata hai.
Yani jinke blog par Adsense Ad show nahi ho raha hai, vo bhi sad hote hai aur jinke blog par show ho raha hai. Vo bhi andar hi andar worried hote hai.
Aise me jo blogger full time blogging karana chahte hai. Unke liye keval adsense par depend rahana thik nahi. Aisa karane se unka future unsecure ho sakta hai.
Isliye unhen reliable and long term income method find karana chahiye, Jo Affiliate Marketing hai.
Affiliate Marketing customers par depend karta hai aur jab tak earth rahega, tab tak customers rahenge. Aur isme adsense ki tarah account ban hone ka risk bhi nahi, Isliye Affiliated Marketing ko Lifetime Income Source banaya ja sakta hai.
Aage jante hai in details,
Table of Contents
Affiliate Marketing Kya Hai

Jab kisi merchandise website ki product ko blog par promote karte hai aur koi visitor use buy kar leta hai. Tab uske badale commission milata hai. Is process ko Affiliate Marketing kahte hai.
Jaise aap Amazon ke kisi product ko apne blog promote kare aur koi use buy kar le to aapko income hogi.
Affiliate Marketing Kaise Work Karta Hai
Merchandise website blog par kisi product ko promote karane ke liye ek special link deta hai, jismen product aur blogger ki ID code hoti hai. Jise Affiliate Link kaha jata hai.
Jab koi visitor us link par click karta hai to merchandise website par us product ka page open hota hai.
Jaise hi visitor use buy kar leta hai. Merchandise website affiliate id dvara us transaction ko track kar leta hai aur blogger ke affiliate account me commission (product price ka kuch partishat bhag) credit kar deta hai.
Affiliate Marketing Se Kya Fayade Hai
Affiliate Marketing ek slow income method hai, lekin ye future me bahut hi beneficial hota hai. Jise points me jante hai –
1.Lifetime Income Source, jab tak duniya rahegi, tab tak customers rahenge. Isliye Affiliate Marketing bhi bani rahegi.
2.SEO and User Friendly, Google affiliate marketing ko support karta hai aur affiliated marketing user experience aur blog speed par koi bad impact bhi nahi dalata.
3.Secure Future, Affiliated marketing ko lifetime kiya ja sakta hai, jisse future ko behatar banaya ja sakte hai.
4.Big & Leverage Income, Affiliate marketing me income Rs1-Rs 6000 per product ho skati hai. Ye aap per depend karta hai ki aap kis price ke product ko promote karte hai aur dusri bat yadi aap referrel ID se kisi blogger ko affiliate program join karvate hai to aap us blogger ke sells se bhi kamai kar sakte hai. Bilkul MLM ki tarah.
Affiliate Marketing Ke Liye Jaruri Chije
Quality Traffic – Affiliate marketing me successful honge ya fail, initially ye type of traffic se hi pata chal jayega.
Jaise- yadi Bluehost affiliated post ka title is tarah banaya jaye –
About Bluehost in Hindi
Bluehost Information in Hindi
Bluehost Wiki in Hindi
To us post ko achchi traffic mil sakti hai, par sell mushkil se hi mile, because title se visitors ke intention clear ho raha hai, unhen Bluehost ke bare me janana hai, na ki uska plan buy karana hai.
Isliye it post ka title is tarah banaya ja sakta hai
Bluehost Hosting Plan Review
Buy Bluehost Hosting Plan
Isliye Affiliated Post ka title selling ke intention se banana chahiye, jisme ye word include kiye ja sakte hai-
1.Review
2.Buy
3.Discount
4.Promo Code / Coupon
Quality Post – Vaise successful blogging ke liye quality post likhana jaruri hai. Lekin affiliate marketing ke liye quality ki ek level upar convenience post likhana jaruri hai. Jo visitor ko product buy karne ke liye push karta hai.
Professional Blog Look– English me kahawat hai, “well begun is half done.” Yahi kaam blog ke professional look ka hai.
Blog ki professional look ke liye jaruri chije
1.Premium Theme
3.Impressive About Me Page & Author Profile with Picture.
Experience– Kisi bhi product ki genuine details tabhi likhi ja sakti hai, jab us product ke bare me interest aur experience ho.
Link Cloaking – Naturally affiliate link ugly hoti hai. Jo seo ke liye suitable nahi hai. Jise user friendly banane aur search engine se hide karane ke liye link cloaking jaruri hai.
Original Affiliated URL –
Cloaking Affiliated Link – https://bloggingfirst.com/go/bluehost
Cloaking url me nofollow tag use kare aur robots.txt me block kare-
User-agent: *
Disallow: /go/
Link Cloaking ke liye Thirsty Affiliate Plugin use kar sakte hai.
Affiliate Marketing Kaise Kare
Affiliate marketing start karane ke liye kisi merchandise website ki affiliate marketing program ko join karana hoga.
India ke popular affiliate marketing program
1.Amazon Affiliate Marketing Program
2.Flipkart Affiliate Marketing Program
Kuch merchandise website sidhe taur par affiliate program offer nahi karti hai. Jaise Paytm aur Godaddy.
Par Affiliate Marketplace Jaise Cuelinks, Vcommission, Viglink se in merchandise website ke affiliate program ko join kar skate hai.
Four Tarike Se Affiliate Product Ko Blog Par Promot Kar Sakte Hai
1.Deal/Coupon Post likh kar
2.Review post likh kar
3.Banner
4.Link
Affiliate Marketing Se Related FAQ
1.Affiliate Link – Product ke liye jo special link diya jata hai, jiske dvara sell ko track kiya jata hai.
2.Affiliate ID – Affiliate Link me publisher ki pahchan ke liye Unique ID code provide kiya jata hai.
3.Link Cloaking – Affiliate link ko SEO aur user friendly banana.
4.Cookie Period – Website se related data browser me offline store hoti hai, jise Cookie kaha jata hai. Is cookie me affiliate id bhi store hoti hai.
Yani yadi koi visitor apka affiliate link use kar kisi merchandise website par visit karta hai. Lekin us din vah kuch bhi buy nahi karta hai aur agle 7 din bad buy karta hai. to uska aapko commission mil jayega Ise cookie period kaha jata hai.
Generally merchandise website 60 din ki cookie period offer karti hai.
5.Sub Affiliate – Referral link se kisi dusre blogger ko affiliate program join karvana. Isse us blogger ki sells par kuch extra earning bhi hoti hai.
6.Adsense+Affiliate – Dono ko use kiya ja sakta hai. Bas Affiliate Product Po** naa ho.
7.Payment Mode – India based affiliate merchandise website sidhe bank account me payment send karte hai. Par yadi aap international affiliation karte hai to PayPal me income receive kar sakte hai.
Ye post aapko kaise laga, Comment me jarurat bataye aur ise share kare.
MN Hemant says
Mere amazon affiliate me negative balance bata raha hai, kuchh din pahle 500 tha. Kaise ho gaya
Ravi Kumar says
aapke affiliate link se jo product sold hui thi, vo returned ho chuka hai, isliye aisa ho raha hai.
more detail – https://affiliate-program.amazon.in/help/topic/t3/a5