AIIMS (All India Institute of Medical Sciences) MBBS (Bachelor of Medicine, Bachelor of Surgery) Entrance Examination Results aaj announce karane vala hai. Jise aap AIIMS ke official website par apna result check kar sakte hai. Kaise check karenge, aap MBBS Entrance Result, use aage janenge.
AIIMS MBBS Entrance Exam Result 2018 Kaise Check Kare
Isse pahle is exam ke bare me jaan lete hai, AIIMS ne is exam ko Saturday, 26 may 2018 aur 27 may 2018 ko do shift me pure India me organize kiya tha. Aisa pahli baar huaa tha, jab MBBS ki entrance exam ko do day ke liye organize kiya gaya.
Is exam me two lakh se jyada candidates ne participate kiya tha, jinke luck ka faisala aaj hone vala hai
Report ke according AIIMS MBBS Entrance Exam Result 2018 ko today evening 6 pm ko official website par declare karega.
Is exam me passed candidates ki counselling July month me hoga, Jisme unhe apne choice ka college select karane ka opportunity diya jayega.
AIIMS ki 7 branches hai, jismen AIIMS Delhi main hai Uske alava ye six branch hai- AIIMS Bhopal, AIIMS Bhubaneswar, AIIMS Jodhpur, AIIMS Patna, AIIMS Raipur, AIIMS Rishikesh
Ab janate hai,
AIIM Result 2018 Check Kaise Kare
MBBS entrance exam 2018 me participated candidate is tarike se apna result check kar sakte hai-
1.AIIMS ki official website par visit kare.
2.Homepage open hoga.
3.Homepage ke left side ke General Section me MBBS Entrance Result 2018 par click kare.
4.Ab Roll number aur Date of birth enter kare.
Note- Date of birth ko DD/MM/YYYY format me enter kare.
5.Result show hoga, jise download kare.
In Last Word
Doctor banana ki first step hai MBBS entrance exam, jise aap upar bataye gaye tarike se check kar sakte hai. Iske bad medical college ka selection kar sakenge.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Whatsapp aur Google Plus par share kare.
Leave a Reply