Kya Aap Aircel User Hai to jitana jaldi ho sake, aap apne Aircel Number ko kisi dusre network me port kara le, because bankruptcy ke karan Aircel company shut down ho sakti hai.
Isliye aap jitna jaldi ho sake apne Aircel Number ko MNP kara len. MNP (Mobile Number Portability) ke liye UPC code ki jarurat hoti hai.
Jise aap kaise pa sakte aur kaise Aircel Number port kar sakte hai, uske liye ham combined tin tarike bata rahe hai.
Aircel Number ko Dusre Network Me Port Kaise Kare
#1.By SMS
Yah method simple hai, lekin iske liye Aircel SIM ki jarurat padegi. Ab in simple steps ko follow kare-
1.Jaisa ki janate hai MNP karane ke liye UPC ki jarurat padti hai, uske liye Message Box me likhe.
PORT<space>(10 digit Aircel Number)
Ab ise Aircel SIM se 1900 par send kar de.
2.Return me Aircel se SMS aayega, jismen Port ke liye confirmation manga jayega. Aap use confirm kar de.
3.Confirm hone ke kuch hours ke bad aapke number UPC (Unique Port Code) aa jayega.
4.Ab nearest SIM retailer ke pas UPC aur Aadhar Card ke sath jaye aur New SIM le le.
#2.By Call
Is tarike ke liye aapko Aircel SIM use karne ki jarurat nahi padegi. Aap dusre network ke number se bhi UPC pa sakte hai.
Bas keval apko Aircel SIM ka 20 Digit ID Number pata hona chahiye. Yadi aapko apne Aircel SIM ka 20 digit number nahi pata hai to SIM Card Info App install kare. Par Aircel SIM mobile me laga hona chahiye. Aap 1 minute me 20 digit SIM ID number jan jayenge.
Ab aapne 20 Digit SIM ID number jan liya hai to ab janate hai kaise UPC code generate kar sakte hai.
1.Other Company ke SIM se 9782012345 (For Rajasthan Circle) par call lagaye.
2.Language select kare.
3.Aircel Consumer select kare
4.10 digit Aircel number enter kare.
5.Aapne Aircel SIM ID Number ke last 5 digits enter kare.
6.Ab UPC ka SMS mil jayega. Jiske sath adhar card ko le jaye aur SIM retailer se dusri SIM le len.
Aircel ne call dvara UPC generate karne ke liye sabhi circle ke different-different numbers issue kiye hai. –
S.No. | Circle | IVR Number |
1 | J & K | 9858012345 |
2 | Chennai | 9841012345 |
3 | Rotn | 9842012345 |
4 | Kolkata | 9804012345 |
5 | WB | 9851012345 |
6 | Orissa | 9853012345 |
7 | NE | 9856012345 |
8 | Assam | 9854012345 |
9 | HP | 9857012345 |
10 | Bihar | 9852012345 |
11 | Delhi | 9716012345 |
12 | AP | 9700012345 |
13 | Kerala | 9809012345 |
14 | Karnataka | 9738012345 |
15 | Mumbai | 9768012345 |
16 | UP(E) | 9807012345 |
17 | UP(W) | 9808012345 |
18 | Rest of Maharashtra | 9762012345 |
19 | Gujarat | 9722012345 |
20 | Haryana | 9802012345 |
21 | Madhya Pradesh | 9806012345 |
22 | Punjab | 9803012345 |
23 | Rajasthan | 9782012345 |
#3.Aircel Company Khud UPC Send Kar Sakti Hai
TRAI ne Aircel Company ko kaha hai, ve apne sabhi users ke liye UPC generate kare. Jise Aircel SMS ke dvara aapko send kar sakti hai. Filhaal abhi wait karna padega.
#4. Offline Method
Yadi aap upar bataye method se UPC code nahi paate hai to aap nearest retailer ke pas Aircel SIM aur Adhar Card ke sath jaye. Retailer UPC code generate kar port kar dega.
Important : Jaisa maine kaha hai, Aircel khud UPC code release kar sakti hai. Ek Facebook User ne Aircel UPC Code [EO767676] share kiya hai, jo sabhi users ke liye working hai. But maine ise test nahi kiya hai. Aap try kar sakte hai.
FAQ
Kya Aircel Company Shutdown hone ja rahi hai?
Bankruptcy aur High Competition ke karan Aircel par 1500 Cr rupees ka loan hai aur company last 9 months se loss me hai. Isliye Aircel ne National Company Law Tribunal me bankruptcy ke liye filed kiya hai.
Isse puri ashanka hai ki Aircel shutdown ho jayegi.
Kab Aircel Shutdown hogi?
Aircel shutdown hone ki koi date issue nahi kiya gaya hai.
UPC Generate Karane Ka Last Data Kya Hai ?
15 April 2018
UPC Ki Validity Kitni Hogi ?
Ek UPC ki validity 15 days ki hoti hai, par TRAI ne Aircel 45 days tak badhane ki hidayat di hai.
Kya USSD Code dvara UPC Generate Kiya Ja Sakta Hai ?
Nahi
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Google Plus, Twitter aur Whatsapp par share kare aur koi problem ho to comment kare.
Aazad singh yadav says
mere number pe network nhi h emergency call show kr rha h aircel company ka h
hm kaise port kre
Ravi Kumar says
aap pas ke telecom shop me jaye, solution mil jayega.
सुनीत श्रीवास्तव says
काफी मदद मिली आपके इस लेख से ऐसे ही शेयर करते रहे धन्यबाद
Ravi Kumar says
Thanks
Sagar Chauhan says
Useful information brother
Mostly i like your writing skill, it was amazing.
Ravi Kumar says
Thanks Sagar to appreciate my effort.