Blogging First

Learn Blogging & SEO Tips

[Best 2 Method] Airtel Call Details Kaise Nikale

By: Ravi Kumar

Airtel Call details / Airtel Call History janane ke kai reasons ho sakte hai, yadi SIM aapka ho to jarur call history jane, kahi aapke SIM ka misuse to nahi kiya gaya…

Aise me aap jis mobile me us sim ko use kiye hai, uske call history se jan sakte hai, lekin yadi user smart hai to vah call details delete kar sakta hai .

Is tarah call details janane me badi problem ho sakti hai. But don’t worry. Aap ek nahi balki do tarike se Airtel sim ki call details nikal sakte hai. Iske alava aap BSNL, Idea aur Vodafone call details jan sakte hai

Simply In reason ki vajah se Airtel Call Details ki jaruat padti hai

1.Love Affairs – Love affairs aaj ke time me call details nikalane ka sabse bada reason hai. because aaj love affairs bahut fashion me hai. Jisko lekar koi khulasha karata hai to koi nahi karta hai. Tab call details janane ki jarurat padti hai.

2.Get Back Lost Phone – Yadi apak phone missing ho jaye aur bad me mil jaye to uska call details janana sabse jaruri hota hai, nahi to apake liye koi illegal problem create kar sakta hai. Aise me aap call details ko jankar samay rahate hue problem resolve kar sakte hai.

3.Call Bill – Yadi aapka connection postpaid hai to month ke end me clear hisab-kitab karane ke liye call details ki jarurat padati hai.

4.Other – Kabhi aisa bhi situation aata hai, jab hame kisi strange ko call karane ke liye apna phone dena pad jata hai. Is situation me bhi kabhi kabhi call details janane ki jarurat pad jati hai.

5.Police case – Koi bhi issue ko lekar police case ho jaye to call details check karana must hai.

Ab aaiye janate hai

Airtel Call Details Kaise NikaleAirtel Call Details Kaise Nikale [Best 2 Method]

Airtel se call details nikalane ke liye do method fashionable hai, jisme ek paid aur dusra free hai. Ham aapko yahan dono tarike batane vale hai.

Method 1 – SMS Dwara Call Details Kaise Nikale

Yah tarika apake liye easy aur quick ho sakta hai. But aapko kuch baton ka dhyan rakhna hoga

1.Is method dvara call details pane ke liye SIM me Rs 50 ka balance hona chahiye, jise Airtel call details provide karne ke liye charge karti hai.

2.Is method se aap keval outgoing calls ke bare me hi information le sakte hai, incoming calls ki nahi, vaise most of case me hame outgoing call details ki jarurat padti hai.

Is method se call details janane ke liye ye steps follow kare –

1.Mobile phone ke message box me jaye.

2.Following SMS format me message likhe

EPREBILL<space><Month Name><space>Email ID

3.Ise 121 number par send kar de.

4.SMS send hote hi Rs 50 cut ho jayega.

5.Kuch minutes bad SMS aayega, jisme password hoga.

6.Itne time me hi apke email id par call details ki PDF file receive hogi.

7.Email id open kare aur PDF file download kare.

8.Ab us file ko open kar aur password enter kare.

In last ab aapke samane requested month ki all outgoing calls ki details hogi.

Method-2 Airtel Official Website Se Call Details Kaise Nikale

Yadi aap upar ke method me kamayaba nahi hote hai ya aap apna balance nahi katavana chahate hai to yah tarika ajama sakte hai.

Bas iske liye aapko in chijon ki jarurat padegi.

1.Laptop

2.Internet connection.

Ab is tarike se call details janane ke liye in steps ko follow kare.

1.Airtel ki official website par visit kare.

2.Website ke top right me Boy icon par click kare.

3.Yadi existing account hai to login ho jaye, nahi to Account create kare.

4.Ab registered number par OTP received hoga, jise enter kar submit kare.

5.Is new page me Get Started link par click kare.

6.Ab email address enter kar continue kare.

7.Ab Registered Airtel SIM se related data (SIM owner name etc) enter kare.

8.Go to Dashboard link par click kare.

9.Ab Get itemised bill par click kare, month select kare aur email address enter kare, jispar call details pana chahate hai.

10.Tems and conditions ko check kar submit kare.

Ab apake mail par kuch minute me call details ki PDF file aayegi, jise download kar len.

Hope aapne successfully Airtel Call Details pa liye honge.

Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp aur Twitter par share kare.

Share with your world!!

WhatsAppFacebookTwitterGoogle+pinterestLinkedInBuffer

Related Posts

  • vodafone call details kaise nikale[Best 2 Tarika] Vodafone Call Details Kaise Nikale?
  • bsnl call details nikale[Best 4 Method] BSNL Call Details Kaise Jane?
  • idea call details kaise nikale[Best 2 Way] Idea Call Details Kaise Nikale

Filed Under: Call Details

Get Latest Updates & Tips

(Inbox Me Confirm Link Par Jarur Click Kare)

Comments

  1. Nikhil says

    at

    Incoming call detail airtel ki nhi nikal rahi hai kaise nikale plz tel me 9519949358

    Reply
  2. Rajesh says

    at

    Call deteal nokala hai

    Reply
  3. RAMESH Choudhury says

    at

    Sir . Hume airtel ka incoming call details chahiye kaise nikale

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      Post me bataye tarike se try kare.

      Reply
  4. Manoj ji says

    at

    Sir dashboard mai get itemised aa nhi rha hai plz help me

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      bhai aapka saval kya hai? detail den

      Reply
      • S says

        at

        Call History Ke liye Get Itemised Bill Option Dashbord per Nahi aa Raha hai Help Me

        Reply
        • Ravi Kumar says

          at

          Please contact https://twitter.com/airtel_presence

          Reply
        • raman says

          at

          need call history of airtel user , willing to pay

          Reply
  5. sanjay kumar says

    at

    nice article

    Reply
    • Raj says

      at

      Sri mera sim khi our jgh h uska ditel janskta hu kya

      Reply
      • Ravi Kumar says

        at

        SIM sath me hona jaruri hai.

        Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Copyright © 2022 · About Me · Contact Me · Privacy Policy · TOS · Disclaimer · Sitemap · DMCA.com Protection Status