Friend kya aapke pas double sim hai ? yadi han to jarur check kare, kahi Airtel ya Vodafone-Idea to nahi hai…. Yadi hai, par aap use keval incoming call & SMS ke use karte hai to vo jald close hone vali hai.
Ye ham nahi Airtel aur Vodafone-Idea ki new policy kah rahi hai. to sabse pahle aap apne mobile me *121# dial kare aur validity jan le.
Yadi aapka validity kuch days me end honi vali hai to ye post aapke liye hai, aap is post me janegen
Table of Contents
Airtel & Vodafone Idea SIM Ki Validity Kaise Increase Kare
Jab se Jio ne Indian Telecom Sector me apna business start kiya hai, tab se usne itne cheap data plans aur call plans offer kiye ki jald hi most of people Jio ke regular customer ban gaye, jisse Jio Indian ki top telecom company ban gai.
Isse competitors companies ke customer unke sim ko use karana behad kam kar diye, jisse revenue loss hone laga aur average revenue customer 100 rupees se kafi kam hog gai.
Ek report ke according, is year ke first quarter me Airtel ki net profit 75% drop ho gai.
Vahi Financial Express ke according Airtel ke 10 crore aur Vodafoen-Idea ke 15 crore aise customer hai jo Rs 35/month se kam ka recharge karavate hai.
Kyu Kar Rahi Companies Aisa
Companies ARPC increase karana chahti hai. Jab ye customer Rs 10 recharge karte hai to Airtel ko Rs 100 ARPC milega. Vahi Is rule ke karan aadhe customer chale jate hai to tabhi baki customer Rs 35/month recharge karvate hai to Airtel ko Rs 175 Crore ka benefit hoga.
Jise Vodafone – Idea bhi follow kar rahi hai. Isse ARPC me improvement dikha hai. Airtel ka Rs 101 aur Vodafone-Idea ka Rs 88 ho gaya hai.
Ab ham janate hai
Airtel & Vodafone-Idea Ki Validity Increase Karane Ka Tarika
#1.Recharge Rs 10 – Airtel ke kai users ne 10 rupees ke recharge karava kar apni validity ko 2 year ke liye increase kar chuke hai. Iske piche reason hai ki Rs 10 vale recharge ki validity unlimited hoti hai. Lekin friend yah Tarik kuch hi locations me work kar rahi hai.
#2.Generate UPC – Yadi aap upar ke tarike se apne SIM ka validity nahi badhava pa rahe hai to aap apne telecom companies se UPC ke request kare, jiske bad customer lose hone ke fear se company aapka validity increase kar sakti hai.
Is tarike se kai users ne apna validity increase karavaye hai, yadi aap apne companies ke liye valuable hai to is tarike se validity badh sakti hai.
UPC generate karane ka tarika –
1.Message box me jaye aur likhe
Port<space>(10 digit mobile number)
2.Ab ise apne low validity sim se 1900 par send kar de.
Ab kuch hours ke liye wait kare, aapke number par UPC aayega aur lucky rahe to validity bhi badh jayega, use bhi check kare.
#3.Port to Jio or BSNL – Every month Rs 35 recharge karane se better hoga ki aap BSNL aur Jio ko subscribe kar le. Inki service Airtel & Vodafone-Idea se cheap padegi.
Ha, jn companies ke call center me puchh le ki SIM ko active rakhne ke liye 3 month ya 6 month me kitne ka recharge karavana jaruri hai.
#4.Less Expenses – Yadi aap Port nahi karanvana chahta hai to aapko validity maintain karane ke liye minimum Rs35 ka recharge karavana hi padega. Is case me aapko Rs 26 talktime value milega, jise aap call karake kharch na kare, yah deal behad expansive padega.
Watch Video
Simply aap Rs 35 ka recharge kare aur use as balance collect kare. Big balance hone par big recharge karva le, comparatively jyada data aur unlimited call for 3 month ke liye milega. Isse aapka expense kam se kam hoga. Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply