Pichle post me maine Affiliate Marketing ke bare me bataya tha. Usi series ke under aaj main world ke sabse bade affiliate program ka bare me batane jar aha hun, jo Amazon Affiliate Program hai.
Yadi aap New hai to jarur padhe
Amazon Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye
About Amazon Affiliate Program
Amazon ko Jeff Bezos ne July 5, 1994 me lauch kiya tha aur aaj world ki sabse badi e commerce company hai. Iske piche Amazon ki affiliate program ka sabse bada contribution hai, Jiske liye Amazon every month lakho dollars amazon associates ko pay karti hai.
World ke developed countries me bahut sal pahle hi amazon affiliate program launch ho gaya tha. But India is affiliate program ko june 2013 me launch kiya gaya.
Tab se abtak lakhon Indian is program se jud chuke hai aur monthly lakho ki kamai karte hai.
Amazon Affiliate Program Join Karane Ke Liye Requirement
#1.Blog – Amazon ke product ko solid tarike se promote karane ke liye blog hona jaruri hai. Aap wordpress blog bana sakte hai, jo Speed and SEO ke mamle me kisi aur CMS(blogger, joomla) par banaye gaye blog se achchi hoti hai.
Ek Professional WordPress Blog Banane Ke Liye Ye Chije Jaruri Hai-
2.Good Hosting Plan (Jise aap Bluehost se buy kar sakte hai)
3.SEO Optimized & Fast Premium Theme
4.Jarui Plugins, jaise Yoast SEO, W3Total Cache, Akismet, Autoptimize etc.
#2.Quality Post – Affiliate Marketing me success pane ke liye quality post ek key ki tarah work karta hai. Isliye kisi product par likhane se pahle achhe research kare aur long post likhe.
#3.Experience and Interest– Aap interest aur experience se hi readers ko product buy karane ke liye impress kar sakte hai because interest aur experience se product ki har choti se choti details ke bare me bata sakte hai. Jisse readers jarur impress hota hai.
#4.Bank Account And Pan Card– Amazon se earning receive karane ke liye bank account aur pan card hona jaruri hai. Is tarah ke formality ko bad me bhi complete kiya ja sakta hai.
Amazon Affiliate Program Account Kaise Create Kare
1.Sabse pahle Amazon Affiliate Program website par visit kare aur Join Now For Free par click kare.

2.Account Create Kare.
3.Ab Login ho jaye,.
4.Apne bare me details fill up kare aur next kare.
5.Website add kare aur next kare.
6.Website se related information fill kare aur finish par click kare.
Congrats! apka amazon affiliate program account ready hai.
Ab aapko aap jis product ko apne blog par promote karana chahte hai, Amazon se use product ka affiliate link create karana hoga.
Amazon Affiliate Link Kaise Create Kare
Amazon affiliate link do tarike se create kiya ja sakta hai.
1.Amazon Associates Site Stripes – Jab aap Amazon affiliate account sign in hokar amazon.in visit karte hai to aap amazon website ki top me ek bar dekhate honge, jise Amazon Associate Site Strips kahte hai.

Isse kisi bhi product affiliate text link, affiliate image link aur affiliate text+image link create kar sakte hai.
Bas aapko search bare me manchaha product search karana hoga aur Site Stripe ke Text par click kare. Affiliate link create ho jayega.
2.Amazon Associates Account me Product linking option se affiliate link create kar sakte hai.

Amazon Affiliate Commission Rata in India
Amazon every product ke liye different commission pay karta hai. Jise Amazon Fixed Advertising Fees kahta hai.
aapko kisi bhi product ko promote karane se pahle commission rate jarur janana chahiye.

Amazon Kaise Payment Karta hai
1.Amazon se payment receive karane ke liye minimum earning balance Rs 2500 hona chahiye.
2.Payment aap Cheques ya NEFT se receive kar sakte hai.
3.Payment mahine ke ant se 60 days ke bad hoti hai.
Amazon Affiliate Program se related koi question hai to jarur puche aur is post ko apne friends ke sath jarur share kare.
Prem parag says
Mai ek affiliate website create kiya hu pr usme image ek jarut h wo image mai kha se use kru mobile phone review site hai please reply..
Ravi Kumar says
Tab to aap us mobile ki website se download kare aur credit ke sath post me use kare.
vivek sharma says
apne fb page par link post kaise karte he
Ravi Kumar says
Wall Post par link write kar den.
Gaurav Kirola says
Kya hum Amazon k link apne blog posts ke beech mai bhi lga sakte hai Adsense ads k sath, ya ye Adsense ki policy k against hai??
Ravi Kumar says
ha use kar sakte hai
Afreen says
Great article sir……
Thank you so much for sharing this……
Ravi Kumar says
You’re welcome