Vaise Google ne Facebook Instant Article aur Apple News ke bad hi october 2015 men hi AMP (Accelerated Mobile Pages) ko launch kar diya tha.
Aur 2016 ke bich men declare kiya tha ki, 12 January 2017 ke bad se mobile users ke experience ke anusar blog ya website ranking ki jayegi.
AMP Blog Ki SEO Kaise Kare?
Yani yadi aapka blog following points fulfill karta hai, to aapke ranking par impact nahi padega.
1. Blog responsive ho
2. Blog ki loading speed under 3 second ho..
3. Full page pop up (email collector box) use naa karte ho.
4. Ads content ko hide naa karta ho.
5. Floating share button content ko hide naa karta ho.
But yadi aapka blog above points ko fulfill nahi karta hai to aapke blog ki ranking aur traffic par bad impact pad sakta hai.
Isliye maine above points ke anusar 12 January 2017 se pahle hi maine apne entertainment blog ko optimize kar liya tha.
Lekin google deadline khatm hote hi mere blog ki mobile traffic drop hone lagi aur isi samay mere kai sathi bloggers ne bhi accept kiya ki unki bhi mobile traffic drop ho rahi hai.
Tab maine apne blog par AMP ko install kiya. fir drop hote hui traffic stable ho saki.
- Read Also : AMP Kya Hai & Ise Kaise Install Karte Hai ?
Jaisa maine aapko pahale bataya tha ki AMP blog ki basic version taiyar karta hai. Aur Aap jo bhi Yoast Plugin ki madad se SEO Title set karte hai, vo AMP blog par disappear ho jata hai. Iski jagah post title show hone lagata hai.
Jiske karan yadi aap post title men English word use nahi karate hai to blog ki SEO par bad impact pad sakta hai.
Isliye aap following points ko follow kar, is bad impact se bach sakte hai –
1. Title men English word ka use karen, taki Google aapke content ko behatar tarike se samajh sake.
2. Focus word ko pahle paragraph men place kare, jisse Google apke content ki main topic easily samjh sake.
3. Post men H2 tag ka ek baar jarur use karen aur usmen focus keyword shamil kare.
4. Focus keyword ko kisi bhi post se link na kare, nahi to Google bot confuse ho sakta hai.
5. Kam se kam aapka post 350 words ka ho aur isse lamba post aur bhi behatar hoga, actually long men aap sahi tarike se sabhi traffic wale keywords ko asaani se shamil kar easily target kar sakte hai.
6. Post men H2, H3, H4…. etc ko numeric wise use kare aur kabhi H1 tag post men use naa kare, ye tags Google ko words ki importance batata hai. Sath hi focus keyword ko bold or italic bhi karen.
7. 350 words ke post men 3 bar focus keyword mention karen.
8. Post men ek image ka use jarur kare aur sath hi image ke alt text men focus keyword shamil kare.
9. Backlink banaye, iske liye dusre blogs par comments, guest posting kare aur SEO forum aur social sites par regular active rahe.
10. Naye post ke sath purane post ko regular update karte rahe, google hamesha naye aur upadated posts ko priority deta hai.
Iske alava aap AMP Blog ke SEO ke liye kaun se other tips use karte hai ?
Yadi aap is post ko helpful paate hai, jarur share karen.
rovin singh chauhan says
badiya jankari share ki hai apne amp blog seo ki.
randhir singh says
भाई आपकी जानकारी अत्यंत ज्ञानवर्धक है| कृपया यह बताने का भी कष्ट करे की इस निक्कमे AMP को हटाने के बाद हुए नुकसान की भरपाई कैसे करे? क्योंकि मैंने इसे use किया था कोई ख़ास फायदा नही मिला तब इसे हटा दिया | मेरी टोटल 425 पोस्ट के 404 एरर दिखाने लगा जिसे मैंने बड़ी मुश्किल से हटाया | इसके बाद अब ट्रैफिक 70% तक कम हो गया है | एनालाटीक रिपोर्ट में मोबाइल यूजर दिखने बंद हो गये है | मेरा रिवेन्यु 40% कम हो गया है |
Ravi Kumar says
1.ab aap blog speed up kare.
2.Old post update kare.
Umesh says
Sir google ke new algorithm update ke baad amp use karna sahi hai kya?
Bcoz kuch bloggers bol rhe hai ki amp use karna sahi nhi hai ab?
Ravi Kumar says
AMP mainly Media website ke liye hai, Bloggers ke liye optional hai. Yadi apke blog ko speed mobile me kam hai to AMP use kare.
Nazrul Islam says
Hello dear bhai, kya AMP plugin me meta description and tittle add karne ka koi options available hai? Yodi hai toh kindly batay. Thank you.
Ravi Kumar says
no
Sumit Thakur says
मैंने amp किया था लेकिन मेरा ट्रैफिक पहले से डाउन हो गया| लगभग आधा हो गया फिर मैंने अब AMP निकल दिया है तब अब थोड़ा ट्रैफिक नार्मल हुआ है| क्या amp सभी ब्राउज़र पर काम नहीं करता क्या ?
Ravi Kumar says
Nahi AMP sabh browser ko support karta hai.
Basically AMP un website ke liye hai jo responsive nahi hai. Aapka blog responsive hai.
Ravi Kumar says
Nahi AMP sabh browser ko support karta hai.
Basically AMP un website ke liye hai jo responsive nahi. Aapka blog responsive hai.
rovin singh chauhan says
bahut he badiya post hai.
IndiaPadhe HindiMe says
Mere blog par maine AMP install kiya hai but jo traffic hona chahiye wo nahi mil raha hai daily sirf 20 ya 30 visitor’s hi visit karte hai aur 100 se 253 tak pageviews hota hai jo ki kam jYada hota hai.
Mera blog two month old hai kya maine seo thik se nahi kiya hai ya keyword sahi se use nahi kiye hai, apne experience se mujhe kamiya jarur bataye, kya ho sakata hai dheere dheere traffic badh sakata hai. Kripaya blog par visit jarur kare aur suggest kare ki kitni kamiya hai mere seo or blog me.
Haidar Khan says
Great post thanks but abhi to main amp use nhi kar raha hu. 🙂
But karne lagunga jaldhi. Kya iska koi fayeda hota hai ya nhi?
Ravi Kumar says
Hi Haider Ji,
AMP Install Karane se pahle main janana chahta hun, kya aapka blog ki traffic drop ho rahi hai ?
Yadi aapke blog ka traffic stable hai aur speed under 3 seconds hai to abhi amp install naa kare.
Mere experience, main sare recommendation ko fulfill karta tha, par bhi traffic drop ho rahi thi, lekin jab AMP install kiya hun to traffic stable ho gaya. jo mere thik hai.
iske fayade janane ke liye padhe>> https://bloggingfirst.com/amp-kya-hai-kaise-amp-install-karte-hai/