AMP Install | Kya aap janate hai, world ke 90% website ki design desktop version ko dhyan men rakhkar kiya jata hai, jo ki USA, Canada jaise deshon ke liye suitable hai. Because vahan Internet Surfer website surf karane ke liye jyada se jyada desktop or laptop use karte hai.
Par India me, ye picture puri tarah se ulti hai. Yahan population se do guna jyada mobile phones people ke hathon men. But yahan bhi or deshon ki tarah website/blog ki design Mobile Version ke bajay Desktop Version ko dhyan men rakhkar kiya jata hai.
Jisse us blog ya website ki performance computer or laptop par achhi hoti hai. But Mobile phones par fisaddi prove hoti hai.
Kya aap janate hai yadi aapki site 3 second ke andar nahi open nahi hoti hai, to aap 60% traffic lost kar dete hai aur yeh jaruri nahi ki yadi apka blog laptop men 3 second men open hota ho to mobile phone par bhi 3 second open ho.
Isi problem par Google ne World ki leading companies ke sath milkar solution nikalane ki koshish ki aur result men AMP Project nikla.
Table of Contents
AMP Project Kya Hai?
AMP Project ka full name – Accelerate Mobile Pages Project hai aur yeh ek open source project hai.
Is project se jo koi bhi blog ya website judta hai, uski simple html or limited javascript version ready kiya jata hai aur blog ki every url ko /amp suffix ke sath index kar liya jata hai. Jise aap Google Cache bhi kah sakte hai. Aur sath hi Images ko lazy load kiya jata hai.
Original URL = yourdomain.com
AMP URL = yourdomain.com/amp
AMP Install Karne Ke Kya Kya Fayde Hai ?
1.Google Report ke anusar, site ki speed mobile phones par pahle ke mukable tin guna fast ho jati hai.
2.Aapke server par load kam padta hai, kyonki Google AMP pages ko khud host karta hai aur AMP Project free CDN bhi available karta hai.
3.Fast Speed ke karan site ki bounce rate dramatically ghategi aur traffic bhi badhegi.
4.Visitors badhane ke sath aapke Revenue bhi badh sakta hai.
AMP Se Nuksaan Kya Kya Hai ?
1.Shuruati daur men blogger ko Google Ads lagane men dikkaton ka samana karana pada, kyonki jo Google Adsense ad code provide karta hai, use AMP Project support nahi karta hai. Lekin ab AMP for WP Plugin ki madad Adsense Ad lagaya ja sakta hai.
2.AMP keval Google Adsense ko hi support karta hai, jisse aap or kisi display ad network se mobile phones par apne blog ko monetize nahi kar sakenge. lekin affiliated marketing par koi farak nahi padega.
3.Aap Analytics ke rup men keval Google Analytics hi use kar sakte hai, WP Stats nahi.
AMP Ko Lekar Faili Rumors
1.Initially, kuch blogger ne complain kiya ki blog ki mobile traffic ko track nahi kar pa rahe hai. Par ab Plugin aa chukka hai, jiski madad se GA Code implement kar aap aasani se track kar payenge.
2.Share button nahi laga sakte, ab ye problem bhi solved ho chukka hai. Bas aapko ek plugin install karana hoga.
3.Related Post Widget nahi laga sakte, ab aap plugin install karke is widget ko laga sakte hai.
4.Google Adsense Ad show nahi raha hai. AMP for WP Plugin ki help se Adsense Ad show kiya ja sakta hai.
5.Comment Section show nahi ho raha, ab plugin ki help se aap comment section enable kar sakte hai.
Main AMP Install Nahi Karana Chahta Hun, Isse Website Ko Kuch Nuksan To Nahi Hoga?
Google kahata hai,
yadi aapka site responsive hai aur mobile phones par under 3 seconds men open hoti hai to aapko AMP install karne ki koi jarurat nahi.
Isliye maine bhi apne Entertainment blog par AMP install nahi kiya, kyunki Google ke instruct ko puri se fulfill karta hai.
But problem tab aane lagi jab blog ki traffic drop hone lagi. Aur jab traffic average level se down ho gai to maine blog ko technically aur seo point of view se check kiya. Par mujhe koi bhi problem nahi mila.
Iske alava maine dekha kai SEO forms men bloggers traffic lost hone ki baate kar rahe hai. Tab mujhe feel hua. Yeh problem sabki hai.
Aur vahi kai bloggers claim kar rahe hai ki AMP install karne ke bad unke blog ki mobile traffic increase hui aur bounce rate decrease hui.
Isliye mere pas AMP install karne ek alava koi option nahi tha, isliye maine AMP install kiya.
AMP Install Kaise Kare?
AMP install karane ke liye aapko following plugin install karane honge-
AMP (Official AMP Plugin) –Ise install karane ke bad yeh blog ya website ki AMP HTML version create karta hai aur Google ke AMP project se connect karta hai. Iski help se basic design bhi kiya ja sakta hai.
Glue for Yoast SEO & AMP (Yoast Addon & SEO Plugin) – Yah Yoast Plugin ka extension matr hai. Iski help se AMP site ki SEO kar sakte hai.
AMP for WP – Accelerated Mobile Pages for WordPress (Design, Share Button & Adsense Ad Plugin) – AMP plugin keval blog ki basic version hi ready karta hai. Lekin usmen related post, Adsense ads, social share button, logo aur menu bar lagan ke liye is plugin ko install karana hoga.
Ant men is link ki madad se check karen, AMP sahi implement hua ya nahi.
Hope is post se AMP se related questions ke solution mil gaya hoga. Yadi aapke pas koi question ho to jarur comment box men share kare aur post ko social sites par bhi share kare.
Thanks to read the post.
Next post men janenge, AMP Blog / Website par Better Tarike se Google Ads Kaise Lagaye ?
Hajari prasad says
1 Bhai aapki template bahut achhi hai. But right side me thoda space kyun hai ? I mean pura content left hai but right side me thoda empty spac hai.
2 Mera blog blogger par hai, ek baar aap check dekho na bhai ki muje bhi ishe install krne ki jarurat hai ya nhi.
Ravi Kumar says
sabkuch sahi hai.
But top aur bottom side me bahut space hai. jo odd lag raha hai