Aaj ka waqt smartphone ka hai, jisme Android king hai, Because Android world ka sabse jyada use kiya jane vala smartphone operating software hai.
Iski popularity ki two big reason hai –
1.Ise koi bhi non techy person easily use kar sakta hai.
2.Google play store me available lakho android apps android platform ko most feature vala operating system banata hai.
In apps me se kuch app behad khas hote hai, (specially android game) jineh aap PC /Laptop me bhi run karana chahate honge?
To aap aage janenge
Android App ko PC Me Kaise Run Kare
Aap android app/ android game ko pc/laptop me Android Emulator software ki help se run kar sakte hai. Is tarah ke android emulators Internet par bahut se available hai, jinhen download aur install kar favourite android app run kar sakte hai.
Aage is post me aapke sath popular and easy to use android emulators share karunga, jiske help se aap pc me android app/game ka maza le sakenge
1.Bluestacks
Bluestacks world ka sabse popular android emulator hai, jiske billion users hai. Yah user experience aur feature ke compare other emulators se kafi aage hai, yahi iski popularity ki sabse badi reason hai.
Bluestacks ek American technology company hai, jise 2011 me San Franscisco, California, United States me found kiya tha Jiska founder three Indians hai, Rosen Sharma, Jay Vaishnav aur Suman Saraf .
Yah software kuch countries (Australia) me paid version available hai, but India me bilkul free hai, jise download kar android app joy kar sakte hai.
Bluestack Ko PC Me Kaise Run Kare
1.Bluestack Download kare
2.Install kare.
3.Ab Google Account create kare ya existing GA se sign in ho jaye.
4.Play Store me jakar koi bhi app download kar le.
Bluestack Run Karane Ke liye System Requirement
Bluestack ek highly weighted software hai, jiske liye bahut se system requirement ki jarurat padti hai, Yah system me 2GB se jyada space cover karta hai.
1.2GB RAM or more
2.4GB Free Disk Space
3.GPU with Direct X 9.0 or More.
4.Latest Graphic Card Driver
Note- yah BitDefender Antivirous Software ke sath work nahi karta hai.
#2.AndY
Yadi aapki PC ki requirement Bluestacks ko install karane ke liye enough nahi hai to to aap AndY use kar sakte hai, Jo light weight hai.
Yah Easy to use and setup, Gaming, Productivity ke compare me Bluestack ko achcha takkar deta hai.
Ise aap freely apne Window / MAC pc me use kar sakte hai. Filhal ye bluestacks se bhi popular ho chuka hai.
#3. KO Player
Yadi aap specially gaming android emulator install karana chahate hai, jo light weight aur latest android version ko use karta ho to KO Player best choice ho sakti hai.
Yah Bluestacks se kafi light weigh hai, iske alava aap live game ko record kar sakte hai aur jahan chahen upload kar sakte hai.
#4. Nox Player
Anroid Emulator Software World me Nox ek popular name hai, jo less system requirement par fast and smooth working ke liye jana jata hai.
Nox pc me android 4.4.2 aur 5.1.1 karata hai, jo X86/AMD ke sath compatible hai.
#5. ARChon
Yadi aap bina koi emulator software install kiye, PC me anroid app install karana chahte hai to ARChon Google Chrome Extension install kare, but ismen koi app install karane se pahle third party website se apk file download karana hoga.
In Last Word
Maine aapke sabse popular android emulators ki list available kiya hai, jisse aap easily koi android app / android game install aur run kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp, Twitter aur Googe Plus par share kare.
Saurabh says
Nice blog keep it up sir really awesome
Mr Solution says
very nice info…keep it up
Adip says
Such a great article bro. keep sharing.