Ham Indians Smartphone bahut buy karte hai. Yahi karan hai ki 2030 me sabse adhik Smartphone buy karane ke mamle me world me pahle number par honge.
Inme sabse adhik Smartphone android platform ke hote hai, lekin ham kaiyon ke man me android phone buy karte time ek kashk si rah jati hai hai ki Agar iPhone buy kar lete hai to achcha rahata.
Akhir kya bat hai iPhone me, jo itni expansive hote hue bhi people buy karana chahte hai.
Is post se yahi janenge ki people kyu iPhone buy karana chahte hai aur android aur iPhone me difference.
Table of Contents
Android Vs IOS (iPhone)
#1 Price
People ke jehan me iPhone ka name yad aate hai sabse pahli jo baat aati hai to vo price hai. because iPhone ki prices bahut high hoti hai. Iski sabse kam value smarthpone iPhone SE ki price $349 hai, jo bharatiy rupayon me Rs 22,685 hai. Jiske bare me Middle class people soch bhi nahi sakte.
Vahi Anroid Smartphone ko aap $100 ya 6500 INR se bhi kam prices me buy kar sakte hai.
Yani yadi aapka budget kitna bhi kam hai, fir bhi aap Smartphone buy karane ka araman pura sakte hai.
#2 Customization
Apple ka iPhone par full control hota hai. Isliye aap usme customization nahi kar sakte hai. Vaise Apple ki puri koshish rahti hai, ki ve apne user ko behatar experience de sake.
Vahi Android Smartphone ko aap apne anusar easily customize kar sakte hai.
#3 Hardware
iPhone ki harware structure best mani jati hai. Vahi aap is tarah hardware structure expansive android smartphone me pa sakte hai.
Yadi aap cheap android mobile buy karte hai to vo hi adhik durable nahi hoga.
#4 Security
Iske ke liye main ek line yahi kahung ki yadi aapko security chahiye to iPhone hi buy kare.
Ek study ke anusar 97% malware, viruses aur worms ko Android ke liye banaya gaya tha. Aisa Android platform ki openness ke karana hota hai. Jabki iPhone par is tarah ek bhi attack nahi hua, because Apple ka IOS par pura control hota hai.
Is bare me Android ko banana vali company Google ke Android Team ke head kahte hai, “Ham ye bilkul bhi guarantee nahi de sakte hai ki android smartphone safe hoga. Yadi mere pas malware company hoti to main Android platform par attack karta”
#5 Battery Life
Ek aisa bhi daur tha, jab iPhone ko daily ek bar charge karana padta tha. Par ab iPhone ki batteries improved ho chuki hai. Jisse ye kai dinon tak chal sakte hai.
Vahi yadi aap iPhone ki battery change karavana chahate hai to change kiya ja sakta hai. But is work ko successfully karane ke liye Skilled Person ki jarurat hogi.
Android platform ke liye kai companies Smartphone banati hai. Isliye unki batteries capacity me bahut difference hota hai.
But market me achche batteries vale bhi android Smartphone available hai, jo lambe samay tak durable hote hai.
Iske alava kuch Android Smartphone ki batteries removal hoti hai. Jise aap easily new battery ke sath replace kar sakte hai.
#6 Intelligent Assistant
Smartphone me intelligent assistant ve feature hote hai, jo aapko smartphone me work karana easy bana deta hai. Jaise Google ka voice search, jo aapki sound se work karane lagata hai.
Iske alava Google Calendar, jo apko jaruri work ke liye yad dilata hai. Yaha tak ki vo aapko is bare me notification bhi send karata hai.
Aur Google map ka kahana hi kya, jo bhulon ko rasta dikhaye.
Is Google features ko Google Assistant kahte hai, jo behad hi powerful aur sabhi ke liye suitable hai.
Google Assistant ki tarah iPhone ki Siri hai. But ye apni shuruati daur me isliye Google Assistant jitani powerful nahi hai.
#7 Same Brands For All Purpose
Apple smartphone, tablet, laptop, watch banati hai. Aise me yadi aap Apple ke divan hai to aap apni smartphone, tablet, laptop jaise equipment ke liye same brand rakh sakte hai.
Vahi yadi aap dusre brand ke divane hai to aap ek brands ki smartphone, table ….etc nahi buy kar sakte hai. because bahut se companies keval smartphone banati hai, laptop aur wearable accessories nahi.
Han, is Samsung apvad hai.
#8 Gaming Experience
Gaming ke liye IOS best hai. Because IOS ke liye keval Apple hi product banati hai. Isliye Game developer dvara iPhone ke liye best optimize game banana easy hota hai.
Jo iPhone ke battery aur performance par bad impact nahi dalata hai.
Vahi Android Platform ke liye various companies Smartphone banate hai, jinke structure, battery, performance me bahut difference hota hai. Jiske karan every android game sabhi android smartphone ke liye suitabl nahi hota hai.
Yahi karan hai ki Anroid Smartphone game ki vajah se jaldi hang hone lagti hai.
#9 Apps
May 2017 tak Google Play me 2.8 million aur Apple App Store me 2.2 million apps hai.
Ab aap soch rahe honge ki Android Smartphone lene me fayada hai ? lekin aap galat hai. Kyunki Google Play par available 57% app malware effected hai, jo aapke Smartphone ke liye harmful hai.
Isse badi baat, Google Play bhi identify nahi kar pati hai ki kaunsa app malware effected hai aur kauna sa nahi.
Hal hi main Mashable par publish news ke anusar, “Kisi ne Google Play Fake Whatsapp ko install kar diya, jise 1 million people install bhi kar liya aur is fake whatsapp ko unhide ek reddit user ne kiya. Jabki Google Play ko karana chahiye tha”
Yani Android Platform bilkul bhi safe nahi hai.
Vahi Apple ka App Store par strict control hota hai, jiske karan koi bhi threat apps Apple App Store me upload nahi kar sakta hai.
#10 Update
iPhone expansive hai but yah durable hote hai because iske update oldest smartphone me bhi work karta hai. Jaise iPhone 6s ka update iPhone SE me bhi work karta hai.
Vahi Android mobile phones ke liye update milana dubhar hai, yadi mil bhi jaye to work nahi karta hai.
Kai expert kahte hai 3 sal se purane android smartphone ko update nahi karana chahiye.
Rahi baat apps update ki to Apple phones ki structure same hoti hai, isliye developer ko app update available karane me jyada preshani nahi hoti hai.
Vahi Android smartphones me various difference hota hai. Isliye developer ke liye suitable update available karana hard hai.
Yahi karan hai ki koi bhi update sabse pahle iPhone ke liye aata hai.
#11 Preinstalled App
Apple iPhone me quality app hi installed karte hai, jo unke sabhi phones me same hota hai.
Jabki Android Phone Manufacturer quality apps ki jagah apna app installed kar deta hai, jo useless hote hai. Inhen beginner mobile phone user remove nahi kar sakta.
#12 Resale Price
iPhone sabse jyada durable hote hai. Isliye inki achchi resale price mil sakti hai. Jabki Android Smartphone only 3 year ke liye best Performance de pati hai, isliye inki resale price sale price ki aadhi se bhi kam hoti hai.
In Last Word
Yadi aap aise smartphone ko find kar rahe hai, jo safe aur better performance vala ho to aapko iPhone buy karana chahiye. But yadi aapka budget tight hai, to Android phone buy kar sakte hai. But iPhone jaisi security nahi milegi. Han better battery life, better performance, better hardware mil sakta hai.
Yadi aap is post ko like karte hai to apne friend ke sath share kare aur comment bhi kare. Thanks
Leave a Reply