Kya aapne abhi tak bank account ko aadhar link nahi karaya? Yadi nahi, to jaldi hi aadhar card ko bank account se link karava le. Jiske liye specially RBI ne guideline jaari kiya hai ki sabhi bank account holders ko dubara apne KYC bank me submit karana honga, jismen Aadhar Card aur Pan Card bhi update karana jaruri hai.
Otherwise unke bank account ko deactivate kar diya jayega.
Isliye jitana jaldi ho sake aap bank account ko aadhar card se link karva le. Isse pahle main aapko suggest karunga ki yadi aapke aadhar card me koi mistake hai to usme sudhar karva le, uske bad hi bank me submit kare.
Aap me se kuch aise honge, jinke pas bank jane ke liye time nahi hai. Isliye main aapko aise tarike batayunga, jisse aap Ghar Baithe Aadhar Card Ko Bank Accout Se Link Kar Sakte Hai
Ghar baithe aadhar card ko bank accout se link karvane ke kai simple tarika available hai, jisme main working methods ke bare me baat karunga.
Bank Account Ko Aadhar Link Kaise Kare
1.SMS Se Bank Account Ko Aadhar Se Link Kaise Kare
Yah fastest method hai, jiske dvara aap thode se prayas me apne aadhar card ko bank account se link kar sakte hai.
1.Mobile ke message box me jaye aur ye likhe
UID <space> Aadhar Number <space> Account Number
Example –
UID 123456789012 12345678901
2.Ab ise 567676 par send kar de.
Note – Aap aise mobile number se SMS send kare, jo aapke bank account se registered ho.
2.ATM Se Bank Account Ko Aadhar Se Link Kaise Kare
Is tarike me aapke ghar se bahar nikalana padega, lekin bank jyada dur ho to is tarike se bank account ko aadhar link karavana samajhadari hai.
1.Aapka account jis bank me usi bank ATM me jaye.
2.ATM me card insert kare aur nikale.
3.PIN enter kare.
4.Ab kai options show hoga. Jismen Service Registrations par click kar.
5.Aadhar Registration par click kare.
6.Account Type (Saving / Current) ko choose kare.
7.Aadhar Number enter kare.
8.Dubar aadhar number enter kare.
Ab aapka adhar number aapke bank account se link ho jayeg, jiska confirmation SMS aapke registered mobile number par aa jayega.
3.Net banking Se Bank Account Se Aadhar Link Kaise Kare
Yah tarika un people ke liye working hai, jinhone apne account ke liye net banking ki service le rakhi hai.
Iske liye aapko in chijon ki jarurat padegi-
1.Laptop
2.Internet
3.Aadhar No
4.Netbanking Username & Password
Ab start karte hai
1.Sabse pahle apne bank ke netbanking service page par jaye aur login ho jaye.
Jaise SBI Online
2.Ab My Account par click kare.
3.Link Your Aadhar Number par click kare.
4.Aadhar Number enter kare.
5.Ab Profile password enter kare.
Ab aapka aadhar number bank account se link ho jayega.
Iska confiramation aapko registered mobile number aur registered email address par mil jayega.
4.Bank Jakar Aadhar Link Kare
Yadi upar ke tin tarike aapke liye work nahi karte hai to aapko aadhar link karane ke liye bank jana hi padega.
1.Aadhar card ki copy aur aadhar card sath le jaye.
2.Aadhar ki copy par aap apna sign, bank account no aur mobile no likh de.
3.Ab bank officer ko saup de.
Ve aapko aadhar number ko bank account se link kar denge.
In Last Word
Jitana jaldi ho sake aap apne bank account ko aadhar number se link karva, jise Indian Governement ke sath RBI ne bhi compulsory kar diya hai. Isliye main upar simple 3 tarike bataye hai, jinse aap ghar baithe bank account se aadhar link kar sakte hai. Yadi aap 3 tarikon se aadhar link nahi karva pa rahe hai to bank jakar aadhar link karva le.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to ise facebook, google plus, twitter aur instgram par share kare.
Aur yadi aapko koi problem ho to jarur comment kare.
Thanks to read it.
Leave a Reply