Beginner blogger kisi kacchi mitti ke ghade ke saman hote hai. Unpar jaisa impact padta hai, ve vaisa hi ban jate hai.
Is bich ve jaan bhi nahi pate hai ki ve kya sahi kar rahe hai aur kya galat.
Yahi main reason hota hai ki bahut se beginner bloggers jis popular blog se inspire hote hai, ve vaisa hi copied blog bana lete hai.
Kya isse blog successful ho jayega ?
Bilkul nahi, balki ek common internet user bhi easily jan jayega ki vah beginner blog us popular blog ka copy hai. Jisse vo post ko read kiye bina blog ko left kar sakta hai. Jisse bounce rate bhi increase ho jayega aur returning visitors bhi decrease ho jayega.
Ye to thi ek badi galti, par beginner blogger aur bhi galatiyan karte hai, jise aage jante hai –
Table of Contents
Beginner Bloggers Ki Top 12 Mistakes
#1.Same Domain
Domain vah pahli cheez hoti hai, jisse online identity banane ki shuruaat hoti hai. Par bahut se beginner bloggers popular blogs se milate julte domain buy kar lete hai. Jisse copied identity ban jati hai.
Isliye unique domain buy kare. Iske ye tips follow kare –
1.Domain Short aur memorable ho
2.Domain me niche keywords ho
3.Double character aur hyphen use na kare.
4.Puri details ke liye ye post padhe
Best 6 Tariko Se Right Doamin Select Kare
#2.Cheap Hosting Company
Shuruat me sabhi beginner blogger chahte hai, maximum low expenses me blog setup kar le. Isliye ve cheap hosting company se plan buy kar lete hai.
Lekin isse un security aur low performance jaise problems ko face karana pad sakta hai.
Haal hi me mere ek client ne ek cheap hosting company se hosting plan buy kiya. Main jab jab client ke blog par Jetpack Configuration karta, tab tab blog down ho jata tha.
Ant me Jetpack ko uninstall karana pada. Isse us blog ki image speed up nahi ho saki.
Cheap hosting company ki main problem hoti hai ki unke system aur software up to date nahi hote hai. Jiske karan kai problems aate hai, jaise-
1.Bahut se down times
2.Slow server response time
3.Imporant Plugins ko support na karana.
4.Weak security system
5.Unwanted blog data deletion
In sab ki vajah se aapke blog ka future unsecure ho jata hai.
Isliye aap Bluehost, Hostgator ya Godaddy se hi hosting plan buy kare.
#3.Free/Cracked/Null Theme
India me free chij use karana fashion sa hai. Isme beginner blogger bhi piche nahi hai. Ve eye close kar free theme use karte hai.
Lekin ve nahi jante ki koi bhi theme developer free theme keval promotion ya data stealing ke liye banate hai.
Isliye free theme-
1.SEO Friendly nahi hoti hai, jisse google se jyada traffic nahi milti.
2.Theme me clean coding na hone ki vajah se theme fast nahi hoti, Jisse blog slow open hota hai.
3.Slow speed ki vajah se bounce rate badh jata hai. Jisse blog ki ranking down ho jata hai.
Yadi aapne kahin se Popular Premium Theme ko free me download kiya hai to vo cracked / nulled theme hai.
Jiske original version me hacker spamming code hide tarike se implement kar free me offer karte hai.
Jab koi blogger is tarah ke theme ko apne blog par install kar leta hai. Tab vo blog ke sabhi data jaise Username, Password etc ko chura lete hai.
Jab blog popular ho jata hai. Tab us blog ko hack kar leta hai. Sath hi is dauran vo apke subscriber ke email id ko sell karke money earn kar rahe hote hai.
Is baare me details me janane ke liye SMI par kiya gaya mera guest post padhe-
Isliye yadi aap apne blog ke liye seriously traffic aur security chahte hai to premium theme hi use kare.
#4.Short Post
Yadi aapko koi adhpakka food de de to kya aap kha lenge?.
Nahi na. Yahi haal hota hai visitors ka, jab kisi beginner blog par uncompleted post pata hai. Visitor turant us blog ko left kar deta hai aur ek seconds ke kam time me us blog ko bhul bhi jata hai.
Aakhir aisa post hi kyu likhe, jise visitor ek second tak yaad tak nahi rakhte ?
Isliye long, complete and quality post likhna chahiye, isse ye fayade hote hai
1.Readers happy hote hai, jisse post ko adhik share kiye jate hai aur isse maximum social media se traffic milta hai.
2.Bounce decrease hota hai. Jisse Post ki ranking badh jati hai.
3.Quality post hone ki vajah se koi blogger apne related post ko us post se link kar sakta hai. Jisse us post ko ek natural backlink mil jata hai.
4.Post long hone ki vajah se apne se related sabhi search words ko target karta hai. Jisse organic traffic increase ho jati hai.
#5.Short Post Title
Aksar story, shayari likhane vale beginner blogger post title keval two ya three word vale banate hai. Jiske karan ve related words ko target nahi kar pate hai. jiske karan blog ki traffic nahi badhati.
Isliye Post Title me related words add kar long kare. Iske alava ye tips follow kare-
1.Post title me powerful word add kare.
2.Search Engine aur Blog Post ke different title banaye.
3.Add numbers
4.Read All tips in details
#6.Low Quality Image
Most of beginner blogger is bat se darte hai ki yadi unhone high quality image laga diye to blog ki speed slow ho jayegi. Isliye majburan low quality images use karte hai. Jisse blog ka impression hi khatm ho jata hai.
Par aap chahe to high quality image use kar sakte hai, par use Adobe Photoshop aur WP Smush Plugin se optimize kare. Image ko speedup karane ke liye Jetpack Plugin install kare aur Speed up Media Feature on kar de.
Aur dhyan rakhe, jitni size ki image post me lagana hai, utni hi size ki image ko upload kare.
Vaise aap HD Feature Image Gravit.io se create kar sakte hai, jo high quality hone ke sath low weight ke hote hai.
#7.Image without Related Post Section
Related post section me image ke sath posts show karana chahiye, jisse user engagement badh jati hai.
But kuch beginner blogger related post section me post title hi show karte hai. Jab Ki unhen image ke sath post show karana chahiye, jo bounce rate decrease karta hai.
#8.Spam Comment
Comment na keval blogger me confidence badhata hai, balki ye blog ki SEO me bhi help karta hai because comments me kai aise words hote hai, jo post me nahi hote.
Jisse search engines me un keywords ko target kar traffic ko badhaya ja sakta hai.
Par aksar beginner blogs par comments behad kam hi aate hai, jisse frustrated hokar beginner blogger spam comment ko bhi approve kar dete hai. Jo SEO ke liye negative value add karta hai.
Isliye spam comment ko sidhe delete kar de. Iske alava every comment ka reply kare, isse first impression create hota hai.
Dusri galati– Aksar beginner blogger dusre blog par apne original name se comment nahi karte hai. Jisse unka behad kam hi comment approve hota hai aur unki real online identity bhi nahi banati hai.
#9.Inappropriate Widgets
Blog ko professional look dene ke liye sidebar ki bhi professional look hona jaruri hai. Isliye sidebar me minimum widget sahi kram me lagaye. Iske liye aap popular blogs ko dekh sakte hai.
#10.Jaldi Adsense Account Apply
80-90% beginner blogger pahle din se paise kamane ki chahat rakhte hai. Isliye ve jaldi hi adsense account ke liye apply kar dete hai.
Par blog low traffic aur low content hone ke karan jaldi approval bhi nahi hota hai. Jab approval milta hai to low traffic hone ke karan per day $1 tak ki income bhi nahi hoti hai.
Jabki iske ult-
1.Beginner blogger ki greedy rup ko show karta hai. Jisse visitors par negative impact padta hai.
2.Adsense approval ki khushi me most of beginner blogger jaldi jaldi post karane lagte hai. Isse post ki quantity to badh jati, par quality down ho jata hai. Jisse blog ki regular readers ghatane lagate hai.
3.Yeh bilkul sach hai ki Adsense blog ki speed ko 2-3 second tak down kar deta hai. Isse direct user experience aur post ranking par bad impact padta hai.
Jabki beginner blogs ki traffic behad kam hote hai, jo adsense ke karan aur bhi kam ho jata hai.
4.Low traffic hone se Adsense Account close hone ka sabse jyada risk hota hai. because Adsense hamesha beginner blogger ke adsense account ko radar par rakhta hai. Jaise hi koi invalid action hota hai, ve account ko ban kar deta hai.
Main suggest karunga ki pahle 6 month tak blog par regular posting aur traffic badhaye. Jab aapki traffic minimum 500 per day ho jaye to tab adsense account ke liye apply kare.
Vaise yadi pahle din se income karana chahte hai to Affiliate Marketing, Newsdog ya UC News try kare.
#11.Pop Up Box
Google December 2016 ko declare kar diya tha jo mobile user experience ka khyal nahi rakhega, uske blog ki ranking down kar diya jayega.
Maine dekha abhi bhi kai beginner blogger ispar dhyan nahi dete hai.
1.Isliye mobile me pop up box ko 5 second ke liye delay kar de ya close kar de aur keval jaruri floating social sharing button lagaye.
2.Post ko chote-chote paragraph me likhna chahiye, jisse mobile user easily read kar sake.
#12.Visitors ko Subscribers Me Convert Na Karana
Blog ki regular visitors ki numbers badhane ke liye behad jaruri hai ki blog ke visitors ko subscriber me convert me kare. Iske liye blog ko Feedburner se connect kare ya Getsitecontrol ya Hellobar jaise email collector service use kare.
In Last Word
Blog ko successful banana ke liye jaruri hai ki ham vo sabhi chije kare, jo user aur SEO ke liye best ho. Yahi success mantra hai.
Yadi aap iske alava beginner blogger ki galatiyan pate hai, to hamare sath share kare.
Post like karte hai to jarur share.
Bigg Nutrition says
Very good article shared, thanks for this.
K Store says
Good information was shared, thanks for this.
abhishek says
bikul sahi chije likhi bhai, mostly sabhi yhi same mistakes karte hai.
Gaurav Sharma says
Thank you so much brother for this information and I am a beginner in this field.
PARMOD KUMAR says
A good informative post that you have shared and thankful your work for sharing the information. I appreciate your efforts and all the best.
phaguni mandal says
me bhi blogger hone ke naate sabhi ko yahi salah dunga ki wo blogging start kare to kisi expert ke salah jarur le
Shreya says
Useful info , that help the blogger to start their journey
Nitin says
Bahut hi acha information bataya aap blogging mistakes ke bare me.
Mera ek sawal tha. Kya mein hindi blog me affiliate marketing ka links add kar sakta hu.
agar laga sakta hu to kon sa affiliate market best hoga
Thanks
Ravi Kumar says
aap niche kya hai, uski ke anusar affiliate link ad kare. Jaise hosting ka post likhate hai, to kisi hosting company ka affiliate link ad kare.
Anny says
Thanks…
Bro..
Nice article
Naveed IFX says
Hello,
My name is Naveed & I am an Affiliate Program Manager for InstaForex Group.
We would like to offer you the affiliate program cooperation that allows you getting $15-53 from every standard market lot of your customer. If you are interested, please contact me and I will provide the details.
Become an affiliate right now and get the informational materials for your web-site with the integrated affiliate link!
Looking forward to hearing from you soon. Please reach me through Skype ID: Naveed IFX (naveed_482) or email – partners@mail4.instaforex.com. We will be glad to establish mutually advantageous cooperation with you.
Thank you.
Sincerely yours,
Naveed
Partner Relations Department
InstaForex Group
Skype : Naveed IFX (naveed_482)
Facebook: Naveed IFX (facebook.com/profile.php?id=100014438569333)
Twitter: twitter.com/Naveed_IFX
Yahoo: Naveed Partners IFX
Ravi Kumar says
What products you offer? would you explain ?
Arman says
new bloggers ke liye bhuat hi useful article hai.
fawad ch says
this is very helpful information for new bloggers…!!!
Ravi Kumar says
Thanks Fawad
Sudhanshu Sam says
Hey Awesome article, i found your article very useful.
Thanks for sharing your great knowledge..
Ravi Kumar says
Glad to know it helps.
Cyber Tech Warrior says
bro social bookmarking site kya hota hai
Ravi Kumar says
Facebook par blog ka link share karana social bookmarking hai. Facebook ki tarah kai websites hai, jo social bookmarking jaise work karti hai. Vaha aap apne post ka url submit kar easily backlink bana sakte hai.
Check Social Bookmarking Site List >> https://bloggingfirst.com/social-bookmarking-sites/
akshay says
This Is very useful for bloggers. thank you for this article sir
Ravi Kumar says
Thanks Akshay 🙂
HindIndia says
बहुत ही उम्दा लेख …. शानदार प्रस्तुति …. Thanks for sharing this!! 🙂 🙂