Yadi aap school ki study puri kar chuke hai to ek baar us din ko yad kare ya fir aap school me hai to aapko aise bahut se student mil jayenge, jo Maths subject me weak hote hai, isliye vo koi interest nahi rakhte hai.
Iska reason hai ki Math baki all subject ke theorical hone ke bajay ye practical hai. Jisme aapko practice hi genius bana sakta hai. But book se practice karana boring sa lagata hai. Isliye ham aapke liye laye hai best 5 math app, jisse aap enjoy karte hue apne math skill ko improve kar sakte hai.
Best 5 Math Quiz & Game App 2019
Math app ki sabse acchhi khasiyat hai ki books se dur yah game, quiz, simple task ke dvara math improve karane ki koshish karta hai, jise aap cricket ke ground ya Chhotu chai ki dukan par tea pite hue use kar sakte hai. Iske alava aap math calculation ka latest trick bhi jan sakte hai, jisse aap kuch seconds me hi math calculation kar sakenge.
1.Math Master – Brain Quizzes & Match Puzzles
Installs – 500K
Language– English/Hindi
Work – Online/Offline
Size -12 MB
Rating – 4.6
Feature –
10 Chapter Books
Is App me aapko Addition, Subtraction, Multiplication, Division, Average, mean and median, Power, Statistics, Equations, Sequence and Series, Profit Loss, Simple or Compound Interest, Stock and Share, Age, Calendar, Clock, Fractions, Logarithm, Time and Work, Time & Distance, Mission Numbers, Area & Volume, Permutation & Combination, Probability se related per topic 10 chapter ebook milega, jisse in topics me apne aapko basic se genius level tak le ja sakte hai.
Unique Math & Brain Quiz
Yadi aap math ka basic level complete kar chuke hai to apne knowledge level ko test kar sakte hai, jisse aapki pakad or strong ho jayegi.
Math Tips & Tricks
Kaise kuch seconds me math question ko solved karte hai, usse related latest tips & tricks milega.
Multilingual Support
Yadi aap English ya hindi me comfortable nahi to apna regional language select kar sakte hai.
2.Match Exercises for the brain, Puzzle Math Game
Installs – 1M
Language- English
Work – Online
Size -12 MB
Rating – 4.7
Feature –
Quick Match – yah timeless quiz hai, jisme addition, subtraction, multiply, division, power etc ke quick question pucha jata hai, jiske liye four option milega, aapk only 10 second me right answer choose karana hoga.
Multiplication Table – aap table me weak hai to ye feature is weakness ko dur kar sakta hai.
True & False – Sabse easy math game hai, jisme aapko Math question aur answer ko dekhkar true or false karna hai.
Google Play Store’s Editor Choice App – Play store me yah app apni quality content ke liye behad popular hai, isliye play store ne ise brain exercise category me featured bhi kiya tha.
3.Match Games
Installs – 500K
Language- English
Work – Online /Offline
Size -14 MB
Rating – 4.5
Feature –
Playing Mode – Aap is app me math game ko single players, two players ya online bhi play kar sakte hai.
Basic to Genius – yah app math sign identity se lekar dice, triangle or square puzzle bhi offer karta hai, jo sabhi age ke people ke liye suite karata hai.
High Level Puzzle – is app ke math puzzle kafi high level ke hai, aise me yadi aap math superior banana chahte hai to jarur try kare.
Math Calculator – Aap is app ko general calculation ke liye bhi use kar sakte hai.
4.Toon Math : Endless Run and Math Games
Installs – 500K
Language- English
Work – Online /Offline
Size -45 MB
Rating – 4.6
Feature –
Yadi real game ke sath math skill improve karana chahte hai to yah app aapka best choice ho sakta hai. Yah bilkul Subway Surfing ki tarah hai.
5.Math Game
Installs – 100K
Language- English
Work – Online
Size -12 MB
Rating – 4.4
Feature –
Aapne kabhi KBC dekha hai, yahi hai to aap jarur KBC ka fan honge, yah app bhi usi tarah hai, jo aapko KBC Math Game ka experience dene vala hai.
Iske alava aap apne area top math player se compete kar sakte hai.
Conclusion
Maths se fear ke din gaye, ab majedar math game apps se day by day apne math skill ko improve kar sakte hai. sabse acchhi baat hai ki school ki tarah timetable ki jarurat nahi hai. jab man kare, jahan man kare, vahi practice karo. Good Luck.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to apne friend ke sath FB, Whatsapp aur Twitter par share kare. Spreading Knowledge is a great work.
Leave a Reply