Rajasthan Govt state me kai welfare schemes run karati rahati hai, jisme se kai scheme ka benefit lene ke liye Bhamashah Card ki jarurat padti hai. Aise me aap state ki kisi bhi scheme ka benefit lena chahate hai to Bhamashah Card jarur banavaye.
Khair yadi aap apne is card ke liye apply kar diya hai aur status check ya download karana chahate hai to yah post aapke liye hai.
Bhamashah Card Yojana Status Check / Download 
15 August 2014 ko Rajasthan Government ne Udaipur ke Mevad me is yojana ko launch kari thi. Jismen Rajasthan ke woman ko powerful banana main object tha, because is card scheme me Family ki woman ko mukhiya banaya jata hai. Sabhi schemes ki beneficial money Bhamashah Card yojana se jude Bank Account me transfer kiya jata hai.
Jise woman apni family ki welfare ke liye kharch kar sakati hai. Isse woman ko financial freedom milata hai aur family ke liye better contribution kar paati hai.
Bhamashah Card Status Check Kaise Kare
Bhamashah Card status check karana behad easy hai, jiske liye Rajasthan Government official website run karti hai. Ham usi par Bhamashah Card status check karana janenge-
1.Bhamashah Card Yojana ki official website par visit kare.
2.Card Status par click kare.
3.Bhamashah Raseed Sankhya enter kare. Yadi aapke pas Bhamashah Receipt number available nahi hai to apna Parivar Pahchana Sankhya (Family Identity Number) enter kare.
4.Iske bad aapko apne bhamashah card ki status dikhegi. Yadi ban gai hai to download kare.
Bhamashah Card Download Kaise Kare
Yadi aapki Bhamashah Card ban chuki hai to aap following tarike se online download kar sakte hai –
Tarika-1 [Online Method]
1.SSO.Rajasthan.Gov.in par visit kare.
2.SSOID/ username and password enter kar login ho jaye.
3.Left side me Service par click kare.
4.Open box me Bhamashah Enrolment/ Seeding/Secondary Entry search kar click kare.
5.Ek box pop up hoga aur vo third party portal par redirection ke liye puchhega, use ok kare.
6.Open new box me E-Bhamashah Card par click kare.
7.Parivar Pahanchan Sankya ya Bhamashah Raseed Sankhya enter kare, card prakar (Parivar ya Sadasy) select kare aur E-Card prapt par click kare.
Watch Video
Tarika-2 [CSC]
Yadi online tarike se apna Bhamashah Card download nahi kar pate hai to aapko yaha tarika jarura istemal karana chahiye.
1.Aapne apne najdiki CSC (common service centre)/ e-mitra me jaye.
2.Bhamashah receipt ya Family Identity number ke sath jaye.
3.Vaha kuch fee pay kare aur apna cad download karva len.
Friend, is tarah aap easily Bhamashah Card Status check ya download kar sakte hai. Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Google Plus par share kare.
Leave a Reply