Zee News ke editor in chief Sunil Chaudhary ne kaha tha ki yadi Internet koi country man liya jaye to to Bitcoin uski currency hogi.
Ye baat sahi sabit ho rahi hai. Aaj people bitcoin me itna jyada invest kar chuke hai ki bitcoin ko invent karane vale Satoshi Nakamoto World Richest Person ki list me 247 ve place par aa chuke hai. J0 ab Samsung Group ke vice chairman Jay Y Lee se keval 9 place piche rah gaye hai.

Jabki 9 year pahle koi unhen janata bhi nahi tha. Vaise personally unhen abhi tak koi nahi jan saka.
Is baat ko main yahi chhodta hun aur post topic ki baat karte hai.
Table of Contents
India me Bicoin Kaise Buy & Sell kare ya Trading Kare
Main aapko bata dun ki bitcoin buy ya sell karana Bitcoin Trading kahlata hai. Jo bilkul hi simple.
Yah bilkul usi tarah jaise aap koi chij online kharidate hai ya sell kar dete hai.
Bas isme thoda antar ye hai ki bitcoin ki price every minutes me up-down hoti rahti hai.
Aise me aapko bitcoin ki price every hours janate rahana behad jaruri hai. Taaki aap badhe hue price par bitcoin sell kar big profit earn kar sakte hai.
Vahi iske ult bhi ho sakta hai. isliye bitcoin ki price check karte rahana, bitcoin trading ki sabse important task hai.
Ab main aapko India ke No-1 Bitcoin Exchange (Jaha biotin buy & sell karte hai) Zebpay se kaise Bitcoin trading karte hai vo batayunga. Uske sabse pahle jaruri hai.
Zebpay par Account Create Kaise Kare
1.Zebpay app ko install kare.
2.ab mobile number enter kare, OTP dal kar verify kare

3.Account PIN setup kare. Aisa PIN set kare, jo difficult ho. Yah future me Bitcoin Transaction me use hoga.
Ab aapka Zebpay Account ban chukka hai. Ab Bitcoin buy karane ke liye Account Verification ki jarurat hogi.
Zebpay Account Kaise Verify Kare
1.Menu icon se Verification par click kare.

2.Ab Email-address verify kare
3.PAN Card details enter kare & PAN Card copy upload kare aur Next kare
4.Bank Account details enter kare & Bank Passbook copy upload kar aur Next kare
5.Ab Aadhar card ka front page aur back page upload kar aur details dale aur submit kare.
Important – PAN, Aadhar Card aur Bank Account aapka same name hona chahiye.
Aadhar card verify turant hi ho jata hai. Par PAN Card aur Bank Account Verification me 3 day ka time lag sakte hai.
Jab aapka account fully verified ho jayega tab aap bitcoin buy & Sell kar sakte hai.
Zebpay par Bitcoin Kaise Buy Kare
Zebpay par Bitcoin buy karane se pahle Amount deposit karana hoga.
Important : Bitcoin buy karte time REF48992964 code enter kare. Aapko Free Rs 100 milega.
1.Deposit par click kare

2.Amount enter kare
3.Ab Payment mode select kare.
Important : RTGS/NEFT/IMPS se amount transfer me ek din lag jata hai.
Jabki Payment Gateway yani Netbanking se 30 minutes lagte hai.
Jab payment successfully ho jaye to aap Buy button par click kar bitcoin buy kar sakte hai.
Zebpay Par Bitcoin Kaise Sell Kare
Sell button par click kare aur us time ki bitcoin price ke base par aapko sell ki gai bitcoin ki sold amount milega. Jise aap Withdraw par click bank me transfer kar sakte.

Aapka amount 24 hours me transfer ho jayega.
Zebpay par Smart Bitcoin Trading Kaise Kare
Generally bitcoin buy sell karana, bitcoin trading kahalata hai. Is tarike se trading karane se aap jyada profit kamayenge, iski possibility bahut hi kam hai.
Because kab bitcoin ki price increase hogi ya decrease hogi, koi nahi janata.
Ye price aapke sone ke bad bhi badh sakti hai aur highest ho sakti hai. tab to aap big profit earn se rah jayenge. Isi situation me lowest price me bitcoin buy nahi kar sakenge.
Par aap Smart Bitcoin Trading se big profit earn kar sakte hai. Isme is baat ki koi matter nahi karta hai ki aap so rahe ya jag rahe hai.
Aaiye janate hai –
Lowest Price Par Bitcoin Buy Karana
1.Aap Zebpay App ke home page par bid (hammer icon) ko click kare.


2.ab rate me, jis rate par bitcoin buy karana chahte hai, use enter kare.
3.ab amount enter kare
4.quantity box ko change naa kare.
5.Confirm bid kare.
6.ab PIN dale, aapka order confirm ho jayega.
Jab aapka order current bitcoin rate se match ho jayega to Zebpay use automatically execute kar dega.
Highest Price Par Bitcoin Sell Karna
Isi tarah aap ask (hand icon) par click kar bitcion ko highest rate par automatically sell ke liye set kar sakte hai.
Important: Ab aap bitcoin trading karane se pahle jan le ki world ke popular economic experts kah chuke hai ki bitcoin price predict karana impossible hai. Iski price minutes me bhi down ho sakti hai.
Aise me yadi koi advise deta hai ki bitcoin ki price keval badhegi to vo bilkul galat hai. Isliye aap apni sense ke base par bitcoin trading kare.
Have Good Luck !!
Hope ye post aapko pasand aaya hoga.
Vaise Aapko kya lagta hai, “Online Money earn karne ke liye Bitcoin behatar option hai?”
Manish. Tiwari says
Bhaiya trading ban ho gayi ab paise kaise nikale.
Ravi Kumar says
abhi possible nahi hai, RBI ne ban kiya hai.