Market me keval crypto currency ke rup me Bitcoin hi nahi hai, balki ab market me bahut se cypto currencies aa chuki hai. Ab kuch samay ke bad Jio Coin bhi aane vala hai.
Aaj ham Bitcoin Cash ki baat karenge, Bitcoin aur Bitcoin Cash me name ko lekar confusion ho sakti hai.
Par main aapko bata dun, dono hi different currency hai. Aage janate hai details me-
Table of Contents
Bitcoin Cash Kya Hai?
In simple word me kahun to Bitcoin Cash Bitcoin ka improved form hai, jo Bitcion ke compare advanced technology ka use karti hai.
Bitcoin ki tarah Bicoin Cash Peer to Peer Electronic Decentralized Cryptocurrency hai, jise koi particular group ya institution handle nahi handle karti, balki world me freely maujud developers handle karte hai aur koi bhi developer is community ko join kar sakta hai.
Jaisa aap janate hai ki crypto currency ke rup me sabse pahle bitcoin hi aaya tha. Jiske karan bahut se people buy karane lage. But bitcoin ki technology old hone ke karan every transaction me jyada time lagane laga, tab Bitcoin Cash ki jarurat samjhi gai
Ise pahli bar Beijing based Computer Software Company Bitmain Technologies Ltd ne introduce kiya tha. But jo bhi groups, companies aur developer bitcoin cash ki development ke liye work karti hai, vo independentally work karti hai.
Bitcoin Cash ko 1 august 2017 ko launch kiya tha.
Bitcoin Cash Ko Market Me Kyun Laya Gaya
Jaisa ham janate hai ki Bitcoin Blockchain Technology par work karti hai. Jisme kisi transaction ko fulfill and verify karne ke liye block create karna padta hai.
Ham aapko bata de, Block me sender’s signature, public id, receiver’s address aur code hota hai.
Bitcoin block ki size just 1 mb hoti hai. Jiske karan transaction process shuru hone me 1 second lag jata hai aur use pura hone me 10 minute.
Duniya me available aur technology ki compare bitcoin transaction badi slow ho gai hai.
For example- debit card company Visa every day 150 million transactions handle karti hai. Yani ek second me 1,700 transaction ko nipta deti hai, vaise unki capacity 24,000 transactions per second hai
Vahi agar bitcoin ki technology ki bat kare to vo ek second me 7 transaction start kar sakti hai aur use complete hone 10 minute lag jata hai.
Itna jyada time lagane se bitcoin transaction verification ki cost bahut badh jati hai.
Jiske karan bitcoin community ke kuch member ne isme improvement lane ki sochi aur Bitcoin Cash laya.
Jismen Block ki size 8MB hai, jisse bitcoin ki tulna me bicoin cash me transaction fast hoti hai. jo miner aur investors ke liye beneficial hai.
Bitcoin aur Bitcoin Cash me Difference Kya Hai
Bitoin aur Bitcoin Cash me bahut difference hai, jinhen ham points me janate hai
1.Transaction Speed – Bitcoin’s Technology me every transaction me start hone me ek second lagta hai aur use pura hone me 10 minute lagta hai. But Bitcoin Cash’s technology me transaction start hone ek second aur pura hone 1 minute lagta hai.
2.Transaction Cost – Transaction slow hone ke karana bitcion me transaction cost jyada aata hai., jabki Bitcoin Cash me transaction fast hone ke karan cost low hota hai
3.Block Size – Bitcoin block size 1 MB hoti hai, jabki Bicoin Cash ki block size 8 MB hai. jo mainly transactions par impact dalta hai.
4.Technology – donon ki technology same hai, but bitcoin cash ki technology, bitcoin ki improved technology ka rup hai. Jiske karan Bitcoin Cash ki technology jyada stable aur secure hai.
5.Transaction Signatures – Bitcoin’s transaction me old signature technology ko use kiya ja raha hai, jisme Quadratic hashing problem hai, jabki Bitcoin Cash me new transaction signature ko use kiya jata hai, jo quadratic hashing problem free hai.
6.Sign Mark – Bitcoin ko BTC se ingit kiya jata hai, jabki Bitcoin Cash ko BCC se.
Bitcoin Cash Price
1 august 2017 ko bitcoin cash ki price $278.30 thi, jo ab January 2018 me $1923 hai. December 20, 2017 ko sabse jyada price thi, jo $4091 thi.
- Bitcoin Mining Kya Hai & Kaise Karte Hai?
- Jio Coin Kya Hai ? Iske Kya Benefits hai [Best 3 Benefits]
In Last Word
Bitcoin father hai to Bitcoin Cash son hai. Isliye Bitcoin Cash Bitcoin se behatar hai. But bitcoin cash price me abhi bhi bitcoin se bahut piche hai. Vaise kuch Bitcoin Expert ki mane to Bitcoin cash bicoin ko pricing me nahi hara sakti.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur share kare.
Jina says
thanks sir, muje actually jannaa tha bitcoin ke bare mai. aaj kal news pe iske bare mai bahut sunne ko milta hai lekin samaj mai kuch nahi ata. Lekin apke bahut hi bhakufi se samajaya hai ise
Ravi Kumar says
Thanks Jina, you liked it.