Bitcoin ke badhte price ke karana aapne bhi bitcoin buy kiya hoga, taki aap good benefit earn kar sake. Lekin kya aap janate hai, bitcion buy karane ke alava ek tarika hai, jisse aap biotin earn kar sakte hai, vo tarika hai Bitcoin mining
Lekin bitcoin mining bitcoin buy-sell karane jaisa easy nahi hai. Par ye bitcoin system ka important part hai.
Aaiye details me janate hai-
Table of Contents
Bitcoin Mining Kya Hai
Jaise ki aap janate honge ki Bitcoin ek decentralized crypto currency hai. Jispar koi Government Body control nahi karti, balki ise world me faiyle hue people control karte hai. Jinke pas computer aur required software hota hai. Inhe Bitcoin Miner kahte hai.
Ye bitcoin miner every bitcoin transaction ko verify karta hai. Ise verify karan ke liye kai complex mathematical problem solve karane padte hai. Tab jakar ve us transaction verify kar pate hai.
Uske bad ve is transaction ko public ledger me darj karta hai. jise Block chain kaha jata hai.
Yahi work karne ke liye bitcoin miner ko kuch bitcoin rewards ke rup me milta hai. Is pure process ko Bitcoin Mining kahte hai.
Bitcoin Mining Se Kaun Kaun Se Work Hote Hai ?
Bitcoin mining ke bina bitcoin system ki kaplana bhi nahi ki ja sakti, jo bahut se important work done karte hai
1.Bitcoin transaction verify karna
2.New bitcoin banana
3.Transaction ko blockchain me darj karna.
Bitcoin Mining Ke Liye Required Equipment
Jab bitcoin ke bare me jyada people aware nahi the, tab bitcoin mining ek simple pc se bhi kiya jata tha aur achchi earning bhi ho jati thi.
Lekin jaise-jaise adhik numbers me people bitcoin mining karane lage, isse mining ke liye kiya jane vala math calculation complex aur time consuming ho gaya. Jisse bitcoin mining ki competition badh gaya aur earning bhi kam ho gai.
Isliye aaj ke competition ke anusar bitcoin mining karne ke liye inki jarurat hogi-
1.Heavy CPU/GPU
2.High Power Supply Unit
3.Much Electricity
4.Mining Software
5.Cooling System
Ek second me GPU jitna math problems solve kar sakta hai, use hash rate kaha jata hai. Is hash rate ko requirement ke base par meghashes, gigahashes aur terahashes per second ke rup me measure kiya jata hai. Jise MH/sec, GH/sec aur TH/sec ke rup me indicate kiya jata hai.
Yani aap mining ke liye aisa system setup kare, jiska hash rate high ho. Jisse aap jaldi math problem solve kar sakenge aur achchi earning kar sakenge.
Bitcoin Mining Kitne Type Ke Hote Hai
1.Hosted Mining – Is tarah ki mining ke liye desired person ko khud required equipment buy aur setup karana padta hai. Jisme cooling se lekar electricity setup karana padta hai. Isme expanses jyada hota hai aur risk 100% rahta hai.
2.Pool Mining – ye hosted mining ki tarah hai, but hosted mining me individual person mining karta hai, but pool mining me kai miner milkar work karte hai. Jisse unhen ek ratio me investment karana padta hai aur usi ration me unki benefit aur risk ko divide kiya jata hai.
3.Cloud Mining – Cloud mining karana kuch had tak blog ke liye hosting plan buy kar use karane jaisa hai. Cloud Mining me companies mining ke liye desired people ko mining service available karati hai. Yani sabhi mining equipment us company ki hoti hai aur koi bhi person monthly charges pay kar mining kar sakta hai.
Starter miner ke liye yah tarika best hai.
Bitcoin Mining Kaise Kare
Jaise ki aap pahle hi jan chuke hai Bitcoin Mining ke liye kin chijo jarurat padti aur aap ye bhi jan gaye hai ki bitcoin mining kaise kiya ja sakta hai.
Isliye main aapko suggest karunga ki ab bitcoin mining me competition bahut badh chukka hai Aise me profit earn karane ke liye high power hardware ki jarurat padti hai. Jiska maintenance, cooling aur electricity requirement bahut jyada hoti hai.
Isliye yadi aap starter hai to pooling mining ya cloud mining kare.
In Last Word
Bitcoin buy-sell se great profit earn sakte hai. But aap bitcoin se related business setup karana chahte hai to Bitcoin mining kare. Par pahle ki tarah ab bitcoin easy nahi raha. Ab bahut se people mining karane lage hai.
Jisse mining ke dauran ane vale math problem bahut hard ho gaye hai. Aise me vahi profit earn sakega, jiska equipment fastest time me math problem ko solve kar sakge. But isme kafi paise lagtea hai. Isliye puri tarah soch samjha kar hi bitcoin mining start kare.
Yadi aap is post ko pasand karte hai to facebook, twitter aur google plus par share kare aur comment kare. Thanks
Leave a Reply