Bitcoin trading ka sabse important step hai Bitcoin ki latest price se updated rahana. Tabhi aap good bitcoin trading kar sakenge aur big profit earn kar sakenge.
Aaj ham internet par available aise sources jaise App aur Website ki baat karenge, jisse aap Bitcoin ki latest price jan sakenge. Chaliye Jante hai-
Bitcoin Ki Live Price Kaise Jane
Bitcoin Price Janane Ke Liye Website
1.Coinmarketcap.com – Is website ko 9 May 2013 ko found kiya gaya tha. Is website se aap Bitcoin sahit Ethereum, Ripple jaise 1491 cryptocurrencies ki latest price USD me dekh sakte hai. Iske alava aap Today’s Gainers aur Loser cryptocurrencies ko bhi jan sakte hai.
Aap is Website se
-Crypto currencies ki last 7 days ki price graph dekh sakte hai
-Crypto currency ki circulation amount jan sakte hai.
-Last 24 hours ki volume jan sakte hai.
-Last 24 hours ki price change in percentage jan sakte ahi.
-Cryptocurrency ki market cap jan sakte hai.
-Kisi crypto currency ki USD ke sath BTC aur ETH me bhi price dekh sakte hai.
2.Coindesk.com – Latest bitcoin price dekhane ka yah simple website hai. Ismen aap Bitcoin, Ethereum, Bitcoin Cash, Litcoin, Ripple ki latest price check kar sakte hai.Is website ko 24 march 2004 ko launch kiya gaya tha.
Is website se aap
-Cryptocurrency ki Today’s open price jan sakte hai.
– Cryptocurrency ki Today’s low price dekh sakte hai.
– Cryptocurrency ki Today’s high price jan sakte hai.
– Cryptocurrency ki Supply, Market Cap aur Change dekh sakte hai.
-Iske alava aapko cryptocurrency price ki behatar analysis ke liye depth bitcoin price chart milega. Jismen Last 6 six hours, Last 12 hours, Last day, Last Month, Last 3 month, Last 1 year aur all time basis par price analysis kar sakte hai.
-Cryptocurrency ki price in dollar hi dekh sakte hai.
3.CCN.com – Yah ek behad hi old website hai, jise 5 may 1998 ko launch kiya gaya tha. Isme popular cryptocurrencies ki latest price show ki jati hai.
Is website se aap –
-Bitcoin, Ethereum, Litecoin, Altcoins jaise popular coin ki latest price jan sakte hai.
-Crypto currency ki today’s low & high price jan sakte hai.
-Top gainer aur top loser cryptocurrency ke bare me bhi info milti hai.
-Crypto currency ki price USD, Yen, Euro me chart ke sath show kiya jata hai. Is chart se aap last 1 minute se last 1 month tak ke price analysis kar sakte hai.
4.Cryptocompare.com – Crypto currency ki live price janane ke liye yah best website hai. because is website me kisi bhi cryptocurrency ki Market Capital, Volume of 24 hours, Open Price of 24 hours, Low/High Price of 24 hours live update hoti hai. Is website ko 23 November 2013 ko found kiya gaya tha.
Is website se aap
-Popular cryptocurrencies se related data jaise price, market capital etc ki live update pa sakte hai.
-Every cryptocurrency se related chart bhi milati hai, jo price analysis ke ke liye helpful hoti hai.
-Cryptocurrency ki price 50 se adhik currencies jaise USD, INR me jan sakte hai.
-Cryptocurrency ki history bhi jan sakte hai.
5.Cryptowat.ch – Popular crypto currencies jaise BTC, ETH, BCH, LTC, BCH ki ek sath live price update janane ke liye yah best website hai.
Yah website live price ke sath pricing chart bhi show karta hai. Specially cryptocurrency ki price par based is website ko 4 march 2014 ko launch kiya gaya tha. Yah website every cryptocurrency ki values dollar me show karta hai.
6.Tradingview.com – Is website par aap BTC aur ETH ki live price ko jan sakte hai, lekin sath me aapko pricing analysis ke liye interactive chart milega. Is website ko 28 November 2003 ko found kiya gaya tha. Is cryptocurrency ki price USD me show kiya jata hai.
Bitcoin Price Janane Ke Liye Apps
1.Zebpay – India me behtar tarike se bitcoin ki live price janane ke liye Zebpay App best hai. Yah ek Cryptocurrency Exchange bhi hai, jahan se aap bitcoin aur bitcoin cash buy-sell kar sakte hai.
But ise app me pricing ki updated chart nahi milta hai aur bitcoin aur bitcoin cash ke alava kisi aur currency ki price nahi dekh sakte.
2.Unocoin – Unocoin Zebpay ka best alternative ho sakta hai. Ise 2013 me found kiya gaya. Yah ek bitcoin wallet hai, jo live price updates ke sath updated pricing chart bhi available karta hai. Yah keval bitcoin ke price show karta hai, jo INR me hote hai.
3.Coinsecure – Yah India ki tisri sabse popular cryptocurrency exchange hai jo abhi keval bitcoin exchange karti hai. aap is app se bitcoin ki latest price, today’s high price, today’s low price aur INR volume jan sakte hai.
But ye pricing chart available nahi karta hai, jo pricing analysis me problem laa sakta hai.
Hope aapko bitcoin ki latest and live price janane ke liye websites aur apps ki pasand aaya hoge.
Is post ko aap jarur Facebook, Twitter, Google Plus aur Whatsapp par share kare.
Leave a Reply