Bitcoin ko lekar world ke people 2014 me hi aware ho chuke the. Tab bitcoin Google Search ka Top fourth search keyword tha.
Par hamesha ki tarah ham Indian ab bitcoin ko janane ki koshish kar rahe hai. because world ki technology ko late accept karana hamari habbit hai.
Isliye filhal ye keyword Google India aur Youtube ka hottest keyword bana hua hai.
People Google Search aur Youtube video se janane ki koshish kar rahe hai –
Bitcoin Kya Hai ?
Bitcoin Kisne Invent Kiya Tha ?
New Bitcoin Kaise Banta Hai ?
Bitcoin Kyu Banaya Gaya?
Bitcoin Kaise Work Karta Hai ?
Block Chain Kya Hai ?
Bitcoin Minining Kya Hai ?
India Me Bitcoin Kaise Kharid Sakte Hai ?
Bitcoin se kya fayade hai ?
Bitcion Ke Kya Nuksan Hai ?
Aaiye janate hai, in popular question ke answer details men
Table of Contents
Bitcoin Kya Hai ?
Bitcoin electronic decentralized crypto currency hai aur ise P2P currency bhi kaha jata hai. Bitcoin ko BTC se ingit kiya jata hai. Ise details me samjhte hai.
Electronic – Bitcoin ko coding aur difficult mathematical calculation ke dvara banaya jata hai, jise mining kahte hai. Isliye ye puri tarah se digital hoti hai. Jise aap dekh aur touch nahi kar sakte hai. Bus number me gin sakte hai.
Decentralized – Bitcoin duniya ki ekmatr aisi currency hai, jispar koi bhi Government Bodies control nahi kar sakti hai. Isliye bitcoin peer to peer coin bhi kaha jata hai.
Normally jab hame kisi ko money send karana hota hai to ise ham kisi bank dvara send karte hai. Par bitcoin transaction me keval sender aur receiver hi hote hai.
Crypto Currency – Army ya terrorist apni secret mission achieve karane ke liye secret code use karte hai, taki koi bahari people na samjhe. Jise cryptography kaha jata hai.
Bitcoin bhi thik aisi hai. Isliye bitcoin transaction karane vale person ki identity hide rahti hai.
P2P Currency – Jaise pahle hi bata chukka hu bitcoin se hone vale transaction me keval receiver aur gainer hote hai aur koi bhi bank jaise institutions nigrani nahi karti hai. Isliye ise P2P Currency kahte hai.
In simple word, Bitcoin ko aap koi App ya koi Software samajh sakte hai, because ise coding aur mathematical problem solution dvara banaya jata hai.
Jise e-wallet me store kiya jata hai. Is tarah e-wallet aap apne computer me create sakte hai. Par cloud e-wallet me bitcoin rakhana sabse safe mana jata hai.
Bitcoin Ko Kisane Invent Kiya Tha ?
Kuch source se bata chala hai, 2009 me Japanese citizen aur Irish student Satoshi Nakamoto ne bitcoin banaya tha. Par ye keval dava hai. Personally is vykti koi bhi nahi janata hai.
Nakamoto ne bitcoin system ko open source software ke rup me release kiya tha. Isliye uske 2010 me chale jane ke bad kai developers bitcoins par work kare rahe hai. Aaj bitcoin revolutionary currency ban chukka hai.
New Bitcoin Kaise Banata Hai ?
New bitcoin mining se banta hai. Mining kya hai, ise aage janege.
Filhal Market me kitna bitcoin aa sakta hai, ye Rupees, dollor jaise currenty ki tarah limited hai.
World me 21 million bitcoin banaye jaa sakte hai. ab tak 13 million bitcoin ban chukka hai.
Bitcoin Kyu Banaya Gaya Hai ?
Payment system ko easy aur cost free banana hi bitcoin invent karane ka main maksad tha.
Taki do person bina kisi authority institutions ke apas me len den kar sake
Par aaj people paise kamane ki chaht me buy kar ise e-wallet me store kar rahe hai.
Satoshi Kya Hai ?
Jis tarah rupee ka chota rup paisa hota hai. Usi tarah satoshi bitcoin ka chota rup hai.
1 bitcoin me 10 crore satoshi hote hai.
Aise me yadi apke pas bitcoin buy karane ke liye jyada money nahi hai to satoshi buy kar sakte hai.
Bitcoin Kaise Work Karta Hai ?
Simply aap bitcoin exchange se bitcoin buy kar sakte hai. Jo aapke e-wallet me store ho jayega. Ab aap apne e-wallet se kisi dusre vykti ko send kar sakte hai. Bas aapko use vykti ke e-wallet ka address chahiye.

Ye pura process Paytm wallet se money send karane jaisa hai.
Bitcoin Mining Kya Hai ?
Do person ke bich hue bitcoin transaction ko jo verify karta hai, use bitcoin miner kahte hai aur is process ko bitcoin mining kahte hai.
Bitcoin miner mining software se bitcoin transaction ko test karte hai. Bitcoin transaction ko test karane ke liye bahut se complex mathematical equation solve karane padte hai aur coding bhi karna padta hai. Jo ye sab mining software ke dvara kiya jata hai.
Jab ye process complete ho jata hai, tab miner use public ledger (sarvjanik bahi) me transaction ko shamil kar deta hai. Jise koi bhi dekh sakta hai.
Is public ledger ko block chain kahte hai. Iske badale miners ko new bitcoins milte hai.
Bitcoin Value
First bitcoin transaction 12 January 2009 ko Satoshi Nakamoto aur Hal Finney ke bich hua tha.
Par public me first transaction 22 may 2010 ko hua tha. Jab Jacksonville, Florida programmer ne ek pizza ke liye 10,000 BTC pay kiye the. Us pizza ki price $25 thi.
Yani us vakt BTC ke bare me jayda janakari nahi hone ke karan BTC ki koi jyada value na thi.
Par 19 November 2013 me ek BTC ki price $1000 ko par kar gai. Jo 20 may 2017 ko $2000, june 17 me $3000 aur December 17 me $11000 ko touch kar gai.
India me Bitcoin Kaise Kharid Sakte Hai ?
1.Bitcion Exchange – aap bitcoin exchange se bitcoin easily buy kar sakte hai. Bitcoin exchange se bitcoin kharidane ke liye bank se online payment ki jarurat hoti hai.
India me Zebpay aur unocoin sabse popular bitcoin exchange hai.
2.Product Selling – aap aise customer ko product sell kare, jiske bad bitcoin ho. Aap ye transaction offline aur online dono tarah se kar sakte hai.
3.Bitcoin Mining – Bitcoin mining se bitcoin kama sakte hai. Par ye bahut hi competitive ho gaya hai. Jiske karan yadi aap mining ke liye ordinary hardware use karte hai to aapko jyada benefit nahi hoga.
Bitcoin Ke Kya Fayade Hai ?
Bitcoin ek secret currency hai, jo normal persons ke sath terrorist jaise people ke liye bhi useful hai.
1.Low Transaction Fees – bitcoin transaction karane me charges behad kam lagta hai, jo ordinary money transaction ki tulana me kafi bachat hoti hai.
2.Privacy Maintain – bitcoin transaction me keval wallet address ka use kiya jata hai. Jisse receiver aur gainer ki real identity unhide nahi hoti hai.
3.Any time aur Any where – Generally holidays me banks se money sending jaise transaction nahi kar sakte hai. Par bitcoin transaction me aisi koi bat nahi hai.
Aap bitcoin transaction kabhi bhi kahi bhi kar sakte hai, because transaction ko verify karane vale miners puri duniya me faile hue hai, jo hamesha available hote hai.
4.No Account Frozen – Bitcoin par kisi governing authorities ka control nahi hai. Isliye bitcoin account ko freeze bhi nahi kiya jaa sakta hai.
Bitcoin Se Nuksan Kya Kya Hai ?
Bitcoin teji se ubharata hua currency hai. Islye ye jitana aapko lubhavana lag raha hai. Yah utan hi risky hai.
1.Risky – Bitcoin ki young economy hai. Jo kabhi bhi down ho sakta hai ya kabhi bhi up ho sakta hai. Ise koi bhi predict nahi kar sakta hai.
2.Non-formatable transaction – ek bar complete hua bitcoin transaction me changes nahi kiya jaa sakta hai. agar aise me aapne kisi galat vykti ko bitcoin send kar diye hai. to aap use return nahi pa sakte hai.
3.Heaven Currency For Bad Person – bitcoin transaction me real identity reveal nahi hoti hai. Isliye bitcoin ko sabse jyada bad person use kar rahe hai.
Kya Bitcoin Me Invest Karana Beneficial Hai ?
Yadi aap short term ke liye bitcoin me invest kar rahe hai, to ye aapke liye beneficial ho sakta hi. Par long term ke liye invest karana bahut hi risky ho sakta hai.
Because Bitcoin ki economy bahut hi young hai, jo kuch hi minutes me down bhi sakti hai. Ise koi bhi predict nahi kar sakta hai.
Isliye Bitcoin me invest soch samajh kar kare.
Kya aap bitcoin money kamane ka behatar tarika manate hai ?
Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur share kare aur comment kare.
ABHISHEK SONI says
Ravi sir aapka contact number milega kya…..pls contact me 8770500045
Ravi Kumar says
Please mail me at bloggingfirsthindi@gmail.com
Rahul Tiwari says
Jabardast Article Ravi bhai… Bitcoin ke bare me thoda bahut mai janta tha lekin aapne is post me bahut achche se samjhaya hai…or isey padhne ke baad ab to mai bhi kisi ko bahut hi achche se iske bare me samjha sakta hu.
Waise mai bhi Aajkal Bitcoin ki trading kar raha hu..or lagatar rate badhne ke karan maine isse achcha khasa paisa kama bhi liya hai…Ye Risky to hai lekin abhi ye Sone ka Anda dene wali murgi bani hui hai…
Ravi Kumar says
Thanks Rahul bro, Ha Bitcoin abhi sone ka anda dene wali murgi bani hui hai. Par ismen risk bahut hai. Jara sambhal kar. Best of luck.
Rahul Tiwari says
Thanks Ravi bhai…. Mai aapki baat yaad rakhunga…
gurwinder says
Rahul ji Bitcoin ki trading kaise karte hai,, please bataye,, kon si site ya app se ap bitcoin ki trading kar rahe ho
Ravi Kumar says
Trading simple hai. Zebpay ya Unocoins se bitcoin buy kare, jab price high ho jaye to sell kar dale.
Rahul Tiwari says
Gurwinder ji, Mai to Zebpay ke through trading karta hu. bahut hi easy hai trading krna. Sabse pahle zebpay install kar lijiye or usme apna PAN, Bank Details, Aadhar Detail update kar dijiye….3 dino me verify ho jayega…Uske baad usme NEFT/IMPS ke through amount daliye or Trading suru kar dijiye…
or Koi problem aaye to Ravi bhai to hain hi, aapko guide karne ke liye…
Ravi Kumar says
Right Rahul Bro. Bitcoin trading is so easy.