Blogging First

Learn Blogging & SEO Tips

  • Home
  • Dream 11
    • Account Verify
    • Money Withdraw
    • Win Tricks
  • Free Web Series
    • Free Netflix
    • Free ALT Balaji
    • Amazon Prime Video
  • Earn Online
  • App
  • Video Download
    • Sony LIV Video
    • Netflix Video
    • Amazon Prime Video
  • Privacy

Blog Kaise Banaye – A Complete Guide with Pic

By: Ravi Kumar

Ab internet keval entertainment ka chij nahi rah gaya hai, balki aap chahe to ise earning ka jariya bana sakte hai. Jiske bare me main pahle hi bata chukka hun, jise aap is post me padh sakte hai.

  • Internet Se Paise Kamane Ke 10 Best Tarike

Internet se paise kamane ke kai tarike hai, but usme sabse behatar tarika hai – Blogging karana

Because-

1.Blogging se aap Fast Online Identity bana sakte hai.

Jaise Labnol.org Founder Amit Agrawal aur Shoutmeloud.com Founder Harsh Agrawal ke bare me most Indian bloggers janate hi hai aur unke bare me kai Technology Magazine print karti hai.

Isi tarah Supportmeindia.com Founder Jume Deen Khan ke bare me 24 -12-16 ko Indore Patrika ne mention kiya tha. Jabki Jume deen Khan SMI ko October 2015 ko found kiya tha.

Indore-patrika-mention-Supportmeindia-blog
Indore Patrika Mention SMI, Source- Indore Patrika

2.Blogging se earning karane ke liye kai tarike (Adsense, Affiliate Marketing etc.) available hai.

3.Yadi aap seriously blogging karte hai to ek din aapki income itni ho jayegi ki aap kisi other general job se nahi pa sakte.

Jaise Shoutmeloud.com ke founder Harsh Agrawal study se engineer hai, but ve blogging se per month 34 lac rupees earn lete hai.

shoutmeloud income
Shoutmeloud July 17 Income, Source – Shoutmeloud

Really me blogging new generation ka new business idea hai. Jise Professionally kiya jaye to big income ke sath big identity bhi milti hai.

Table of Contents

  • But Ye Blogging ya Blog Hai Kya ?
    • Free Blog Kaise Banaye
    • Blogger Par Blog Kaise Banate Hai.
    • Blogger Overview
    • WordPress Par Free Blog Kaise Banaye
    • WordPress Overview

But Ye Blogging ya Blog Hai Kya ?

Blogging online knowledge provide kar earning karane ka behatarin tarika hai. aap kisi bhi topic par blogging kar sakte hai, jisme aapko knowledge aur interest ho. Lekin topic select karte time hamesha dhyan rakha jaye ki jis topic ko select kar rahe, use people search karte ho.

Blogging karane ke liye blog ki jarurat hoti hai. Jise aap free aur premium tarike se bana sakte hai.

Blog ek weblog hai, jise HTML, CSS, PHP, Javascript language se banaya jata hai.

But ab blogger aur WordPress platform ke use se non – technical people bhi blog bana sakte hai.

Free Blog Kaise Banaye

World popular platform WordPress aur blogger par free blog bana sakte hai. Jisme sabse pahle janate hai

Blogger Par Blog Kaise Banate Hai.

Blogger Google ka free blogging platform hai. Jise millions of people use karte hai.

Blogger Par Blog Banane Ke Fayade-

1.Adsense Ad laga sakte hai.

2.Affiliate Marketing se earning kar sakte hai.

3.Direct Ad se earning kar sakte hai.

4.Free hosting milati hai.

5.Blog ki speed fast hoti hai.

6.Free HTTPs milata hai, jo Google ka ranking factor hai.

Nuksan

1.Blogger ka permalink SEO friendly nahi hai. Isliye Google SERP me only 2% blogger blog ke post show hote hai.

2.Google kabhi bhi aapke blog ko delete kar sakta hai, jab aap rules ko violate karte hai.

3.Google hamesha fresh content like karta hai, but aap blogger par post update karenge to permalink change ho jayega. Jisse aapki traffic down ho jayegi.

Chaliye ab jante hai, Kaise blogger Par Blog Banaye (Aap video bhi dekh sakte hai)

[eh_optimize_youtube_embed video=”https://www.youtube.com/watch?v=dViOBrbu0KE” banner=”http://img.youtube.com/vi/dViOBrbu0KE/mqdefault.jpg” alt=”blogger blog kaise banaye” width=”722″ height=”350″]

1.Blogger.com par visit kare

2.Create Your Blog par click kare.create your blog

3.Ab Gmail account banakar Sign kare, ya existing Gmail Account se bhi sign in kar sakte hai.

4.Ab Google Plus Profile ya Blogger Profile banaye.create google plus profile

Blogger Profile keval aapke blog ke reader ko show hoga, jabki Google Plus Profile apke blog reader ke sath Google ke sabhi service jaise Gmail, Drive ke liye equal show hoga.

Blogger Profile me keval Display name enter karana hota hai, jabki Google Plus Profile me Name, Gender, Date of birth.

Yadi aap blogger profile create karana chahte hai to Create a limited Blogger profile par click kare.

Isme bas aapko Display Name dalana hoga.enter name

 

Ab continue to blogger kare

5.Now Create New Blog par click karecreate new blog

Ab ek box open hoga.create blog final step

  1. Blog Title Dale
  2. Blog Address enter kare. Aapke keval blog ka name dalana hoga, .blogspost.com automatically add ho jayega. Ye aapke blog ka address hai. Ise subdomain bhi kaha jata hai.
  3. Theme select kare. Aapka blog ka look kaisa hoga, usi ke anusar select kare.
  4. Ab Create Blog! Par click kare.

6.Ab Google Domains Box pop up hoga. Use No Thanks kare.google domains

Ab Google bhi domain sell karta hai. Aap custom domain buy kar blog se setup kar sakte hai. Jise next tutorial me janege.

7.New post par click. Post Title and Post likhe aur Publish kare.new postpublish new post

Blogger Overviewblogger overview

1.Post – Yaha aap published aur draft post check aur new post kar sakte hai.

2.Stats – Kitne people ne aapke blog par visit kiya hai. Uska information yahan milega.

3.Comments – Aapka post kaisa hai, isko lekar readers comment karte hai. Jo yaha check kar sakte hai.

4.Earnings– Jab aap Google Adsense ka ad blog par lagaye to usse ki gai earning yahan check kar sakte hai.

5.Campaigns – Traffic pane ke liye paid campaigns run kar sakte hai. Jo aap yahan se kar sakte hai.

6.Pages – Yahan se pages create kar sakte hai.

7.Layout – Present Template ki layout ko change kar sakte hai.

8.Theme – Blog ki theme change kar sakte hai.

9.Settings – Blog ki important setting kar sakte hai.

WordPress Par Free Blog Kaise Banaye

World ke 28% blogs powered by wordpress hai, jo batata hai ki WordPress kitana popular hai.

WordPress.com Par Free Blog Banane Ke Fayade

1.Free Hosting

2.Free SSL certificate

3.Affiliate Marketing aur direct ad se money earn sakte hai.

Nukasan

1.Permalink SEO friendly nahi hota hai.

2.Yoast, W3Total jaise important plugin install nahi kar sakte hai, jo SEO ke liye jaruri hai.

3.Premium Theme upload nahi kar sakte hai.

4.Google Adsense support nahi karta hai.

Chaliye ab jante hai WordPress.com Par Blog Kaise Banate Hai (Aap Video bhi dekh sakte hai)

[eh_optimize_youtube_embed video=”https://www.youtube.com/watch?v=CZgCK1JQjKU” banner=”https://i1.wp.com/bloggingfirst.com/wp-content/uploads/2017/11/blog-kaise-banaye.jpeg” alt=”free WordPress blog banaye” width=”722″ height=”350″]

1.WordPress.com par visit kare.

2.Get Started par click kareget started

3.Click on Get Start With Blogstart with blog

4.Search blog address aur address.wordpress.com ko select kare.search domain

5.Select Free Planselect plan

6.Create account.create account

Ab aapka blog ready hai.

7.Write par click kar, new post write kare aur publish kare.writewrite post

WordPress Overviewwordpress overview

1.View Site – Blog par ja sakte hai.

2.Stats – Visitors report dekh sakte hai.

3.Site pages – Pages dekha aur new page create kar sakte hai.

4.Blog Posts – Post dekh aur create kar sakte hai.

5.Media – Image upload kar sakte hai.

6.Comment – Reader comment check kar sakte hai.

7.Theme – Theme change aur customize kar sakte hai.

8.Sharing – Isse blog par social sharing button add kar sakte hai.

9.People – Author, subscriber add kar sakte hai.

10.Plugins – blog par essential plugin install kar sakte hai. But ye pro feature hai.

11.Settings – Blog ki Title, Language, Timezone jaise important setting kar sakte hai.

Hope apne blog successfully bana liya hoga, yadi koi problem face kar rahe hai to jarur share. 

Post helpful pate hai to social sites par share karana na bhule. 

Share with your world!!

WhatsAppFacebookTwitterGoogle+pinterestLinkedInBuffer

Related Posts

  • beginner bloggers ki top 12 galatiyanHindi Bloggers Ki Top 12 Mistakes
  • best 4 free digital marketing courseBest 4 Free Digital Marketing Course in Hindi
  • Cloudflare Free SSL HTTPS Kaise Install KareKaise WordPress Blog Par Cloudflare Free SSL / HTTPS Certificate Install Kare?
  • blog post ko copy hone se kaise bachayeBlog Post Ko Copy Hone Se Kaise Bachaye (Without Plugin)

Filed Under: Blogging

Get Latest Updates & Tips

(Inbox Me Confirm Link Par Jarur Click Kare)

Comments

  1. Jaisalmer News says

    at

    aapko kisi bhi ek khas subject pe blog shuru karna chahiye. micron niche blog jaldi success hota hain .

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      Ji aapne sahi kaha, but hindi blog me traffic ki bahut problem hai

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Recent Posts

  • The Kapil Sharma Show Download कैसे करे[Season 1-2]
  • उत्तर प्रदेश होम डिलीवरी/सप्लाई मित्र से भोजन & राशन कैसे मंगाये
  • Eros Now Subscription Free Activate कैसे करे
  • उत्तर प्रदेश कर्फ़्यू ई-पास कैसे बनवाये
  • जनधन, LPG Subsidy & किसान सम्मान निधि का पैसा कैसे ऑनलाइन चेक करे

Copyright © 2023 · About Me · Contact Me · Privacy Policy · TOS · Disclaimer · Sitemap · DMCA.com Protection Status