Aap chahe kitane bhi post likh le, yadi aap apne blog ke liye traffic drive nahi kar pate hai to aapke dvara kiye sabhi hardwork waste hai.
Maine personally hundreds hindi aur hinglish blogs ko analyzed kiya, jiske baad maine paya ki 97% bloggers traffic pane ke basic rules ko bhi follow nahi karte.
Aise me ve low traffic aur post index naa hone ki regular complain karte hai. Isliye maine unki hi kamiyon ko dhyan men rakhakar yeh post ready kiya hai.
Is post maine koi extraordinary tips nahi bataye, balki vahi normal se tips bataye hai, jo kisi bhi bloggers ko basically follow karane chahiye.
Yadi aap bhi low traffic se suffered hai to is post ko carefully read kare-
Table of Contents
Blog Ki Traffic Kaise Badhaye
#1 Post Title
Post read karane se pahle hi, post title se hi reader jan jata hai ki post kya kahane vala hai. Isliye hamesha post title attractive aur message-full banane chahiye, jo direcatlly reader ke mind se request karta ho.
Post title two types ke hote hai.
Post Title – Yeh title aapke blog me showup hota hai. Jise aap WordPress text editor me sabse pahle set karte hai.
Ise visitors ko dhyan me rakhakar create karana chahiye.
Web Title – Ise Yoast jaise SEO plugin ki help se create kiya jata hai. Jise aap bhi WordPress Text Editor ke niche Yoast plugin ki help se set kar sakte hai.
Yah Google SERPs me show up hota hai. Isliye web-title me trafficable keyword include karana jaruri hai.
Ab ham post title ke structure par kuch baat kar lete hai, jismen pahle aata hai-
(i) Long Tail Keyword
Long Tail Keywords se matble hai, post se related words. Jinhen aap post ke web title me add karte hai to aapki traffic badhane ke 50% chances badh jate hai.
Because long tail keywords ke karan aapka target ek se adhik trafficable words par ho jata hai.
Post related long tail keywords ke bare me kaise jane-
(a) Google Keyword Planner – Google ka yeh tool bilkul free aur easy usable hai. Bas aapko Google Adword Account setup karna hoga.
Jiske bad is tool ki help se post related important keywords ek stroke me find kar sakte hai.
(b) LSI – Yadi aap Google ke SERPs ko thode se seriously lete hai to aapne page ke ant me SERPs se related kai words denkhe honge, jise Latent Semantic Indexing kaha jata hai.
In keywords ko jagah Google traffic ke base par deta hai.
Matalab yadi LSI ko post title me add kare to post ki traffic badhai ja sakti hai.
(C) Major Competitors – Yeh bahut achcha hoga, yadi aap kam se kam weekly apne competitor blogs par visit karte hai. Isse aapko competitor ki ranniti ka pata chalta hai.
Isi tarah related post ke web-title me use kiye gaye, keywords ko analyze karana chahiye aur important keywords ko apne post ke web-title me include karna chahiye.
Per dhyan de : apke post ki web-title aur aapke competitors ke web-title same nahi hone chahiye. Nahi to puri traffic aapke competitors hi le jayenge.
(ii) Kaise (word) aur Number Word Use Kare –
Kya aap janate hai?
Kissmetrics ke report ke anusar Kaise (how to) aur Number words title vale post sabse jyada share kiya jate hai.
Kyonki ye keyword visitors ko attract karane ke mamle me powerful hote hai.
Aur kaise (word) har Insaan ke kaise word se match hota aur numbers unhen post read karne ka proper reason deta hai.
#2 Proper Keyword Density
Sambhavatah har hindi beginner bloggers ke man me question hota hai ki kaise keyword density pura kare, kyonki ve post ko puri tarah se hindi font me ready karte hai.
To main bata dun ki focus keyword ko aap English me likhe aur per 500 words ke liye tin bar focus keywords ka use kare.
Jisse aap proper keyword density pura kar sakenge.
Yes! ek baat ka jarur khyal rakhe ki pahle 100 words me ya pahle paragraph me focus keyword use kiya gaya ho. Isse post ki subject fast clear hoti hai aur Google bot post ko jaldi index karta hai.
#3 Readability
Readability ka sidha sa meaning hai, post ko is tarah se taiyar karana ki reader easily aur smoothly read kar sake.
Isliye aap chahe kitane hi quality post likhe le, lekin yadi readability ka dhyan nahi rakhate hai to sab waste hai.
Jab maine is mamlen men hindi blogs ko analyze kiya to maine paya ki 90% blogs readability ka bilkul bhi dhyan nahi rakhate.
Masalan ve apne post me computer ke enter key ka kanjusi se use karte hai. Jisse unke post lambe-lambe paragraphs se bhar-pade hai.
Isi vajah destop par hi post ko read karane me badi mushkil feel hoti hai.
Fir sochiye, smart phone ki choti screen par kaise use post ko read kiya ja sakega ?
Is karana readers ko post read karne me hardness feel hoti hai. Ve dusre blog par move kar jate hai. Jisse us blog ki bounce rate increase, ranking aur traffic decrease ho jati hai,
Isliye post ko aisa likhe, jise readers happy-happy read kar sake aur aapke blog ka regular visitor ban sake.
Iske liye aap prayas kare ki do se tin lines ki paragraph banaye. Jisse desktop aur mobile par asani se read kiya ja sake.
#4 Images & Infographics
Yadi aap image proper tarike se use karte hai to ye aapke thousand words ke barabar hai.
Vaise bhi 2017 men images SEO ke liye bahut hi important factor hai, jo aapke liye backlink ke sath good traffic bhi driver kar sakta hai.
Isliye Images ke liye –
1.Pixabay jaise free stock vale websitese se high resolution vale images use kare, jinka impression bahut great hota hai.
2.Infograhic ka use kare, jo backlinks ke chances badhata hai.
#5 Theme Design & PNG Logo
Theme design thik vaise hi jaise aap aur aapke aspas ke poeple smart dikhane ke liye achche-achche clothe, oil, beauty creams use karte hai.
Jab aap general life men itne sajate sanvarate hai to profession life ko kyon ugly rakha jaye?
English me ek idiom hai, “Well begin is half done.” Ise main blogging ke sandarbh kahta hun “First Good impression is half done”
Yani……
1.Aapke theme ka design profession ho.
2.Ek PNG transparent logo ho.
3.Ek sidebar ho.
4.Important widget right place kiye gaye ho.
5.Feature Image ke liye High Resolution Images Use kiya gaya ho.
Tabhi aap first impression ke conditions ko fulfill karte hai.
Isliye free theme ki jagah premium theme use kare.
Kyonki….
1.Unki coding clean hoti hai. Jisse blog ki speed fast ho jati hai.
2.Inmen pahle se Schema.org ki coding installed hoti hai. Jo aaj ke SEO ka main part hai.
3.Inki look profession hoti hai aur easily customization karke ise or bhi professional banaya ja sakta hai.
Lekin mai samjh sakta hun kisi bhi beginner blogger ke liye premium theme buy karana out of budget ho sakta hai.
Isliye aap mujhse saste rate par premium theme buy kar sakte hai, Jo fast loadable and superb seo friendly theme hoga.
Bilkul bloggingfirst.com ki tarah.
Jiski profession design aap dekh sakte hai, jo first impression ke sabhi condition ko fulfill karta hai aur iski speed bhi check kar sakte hai, jo 1.5s hai…. >> bloggingfirst speed report
Theme ke alava logo aapke blog ka taaj hota hai. Taaj jitana sundar hota hai. Uksi chamk utni hi dur jaati hai.
Isliye poster jaise dikhane vale logo naa lagaye, balki uske jagah high resolution vale PNG transparent logo lagaye.
Yadi aap High Resolution PNG Transparent Logo create nahi kar sakte hai to aap mujhse behad hi kam kimaton par logo design karva sakte hai. Iske liye aap mujhe contanct kar sakte hai.
#6 Email Marketing
Most beginner blogger readers ke email collect karane par focus nahi karte. Jiske karan ve lagatar regular visitors pane ki jagah lose karane lagate hai.
Aaj hi Getsitecontrol ya Hellobar jaise free email collector se visitors ke email collect karana start kare aur MailChimp se 2000 email-subscribers ko free mail send kar sakte hai.
Email collect karane ke lihaj se sabse achcha popup email collector hota hai.
Lekin ye visitors ko annoy karta hai.
But yadi popup email collector ki setting ek visitors ke liye ek din me ek baar hi open ho jaisi kar diya jaye. To ye kafi effective hogi.
Ye puri setting aap Getsitecontrol dashboard me easily kar sakte hai.
Aur iske alava yadi aap RSS Campaign run karana chahte hai to Google ka Feedburner Service hi best hai, jo puri tarah se free hai.
Jiski puri setup read kar sakte hai-
Par kuch baton ka dhyan rahe-
1.Har blogging niche ka effective time hota hai, usi time me mail deliver karne ki koshish kare.
2.Google ke naye updates ke ansuar mobile phones me pop email-collector ko stop kar de.
3.Keval Google ke feedburner service par hi depend na rahe, Mailchimp se custom aur offer vale mail bhi send kare aur jisse aapki revenue bhi badh sake.
#7 Social Marketing
Aap Facebook par pakke taur par honge aur aap iske effectiveness se achchi tarah se introduce honge. But keval Facebook par hi promotion karne se kaam nahi chalega.
because Google aapke blog ki social profiles ko dekhata hai aur ranking karta hai.
Isliye Google Plus, Pinterest, Stubleupon, Reddit, Twitter, Instagram ko bhi join kare.
Social Marketing par great promotion ke liye in tips ko follow karana hoga –
1.High resolution vale images ya infographics jarur social post men include kare. Ise aap Canva se free me create kar sakte hai.
2.Email marketing ki tarah har social sites ka apana peak time and day hota hai. Jaise Facebook ka peak day Wednesday aur time 3-4 pm hai.
Yani is time aur day me koi post karte hai to uske performance better hoga. Isi tarah others social sites ke peak time ko follow kare.
3.Twitter ke co-founder Evan Williams ka manana hai ki kisi bhi vykti ko social sites par 15 minutes se jayda time nahi spend karna chahiye.
Vaise ek blogger ke liye social promotion work ke liye daily ideal time 30 minutes hai.
Isliye aapko bhi Buffer jaies social marketing tool ka use karna chahiye, jiski help ek time me kai social sites par post kar, kafi time save kar sakate hai.
#8 Commenting
Commenting traffic pane ke lihaj se kitana important hai, iska proof main aapko is example dena chahunga-
Xtremegaminerd.com ke founder Sarfraz Khan ne Feb 2015 me apne blog ko launch kiya.
Aur pahle hi month se same niche ke blog aur website par regular comment karte rahe.
Jisse unke blog ki traffic istarah se increase hui-
June 2015 – 10-20 visits per day
July 2015 – 20-30 visits per day
Aug 2015 – 50 visits per day
Sept 2015 – 100 visits per day
Oct 2015 – 200 visits per day
Nov 2015 – 200-300 visits per day
Dec 2015 – 400-500 visits per day
Jan 2016 – 600-700 visits per day
Feb 2016 – 700-800 visits per day
March 2016 – 800-100 visits per day.
Aur regular commenting policy ka hi result raha hai ki ve ab 3000 visits per day paate hai.
Aur Ek badi baat gajab rahi ki unhone do years me matr 45 post hi likhe hai. Lekin itne se traffic se monthly affiliated marketing se $4000 earn kar lete hai. (Source – SML Forum)
Isliye aap bhi same niche vale blog par comment kare. Isse aapke blog ki traffic bhi badhegi aur aapki ek online identity bhi banegi.
Commenting ke samay kuch baton ka care kare-
1.Aapka comments one line ya two lines vala na ho. Aaap jitna long comment karenge. Aapka impression utna hi badhega.
2.Other blogs per kisi visitors ne question kiya ho to aapko uska reply karana chahiye, jo aapke knowledge ko show karega.
3.Comment me hamesha rich words ka hi use kare.
4.Non-essential commenting se bache, nahi to ye aapke Goodwill ke liye bad ho sakta hai.
5.Apne main email id ko gravator se connect kare aur smart look vala apni pic laga de.
6.Hamesha koshish kare same niche vale blog par hi comment kare, jisse aap maximum targeted traffic drive kar sakenge.
7.Comment ke liye real naam ka hi use kare, kyonki Google aapke har comment ko analyze karta hai.
#9 Guest Posting
Same niche ke high domain authorities vale blog per guest posting karna kisi beginner blogger ke liye quality backlink earn karne jaisa hai.
Sathi blogging relation bhi banata hai, jo aapke blogging future ke liye jaruri hai.
Iske alava aap kafi quality traffic apne blog ke liye drive kar sakte hai.
#10 Long Post
Kya aap long post likhate hai ? mera matlab 700 se 800 words vale post se.
Yadi aap long post nahi likhate hai to iska matalab aap adh-pakka cooking kar rahe hai. Jise lena naa aap pasand karenge aur naa hi aapka visitor karega.
Filahal Google ne Fred update laya hai, jiska impact un blogs par padega, jinke content short hai. Iskaran un blogs ki ranking decrease ho jayegi.
Isliye is bare me jaldi decide kar len, nahi to kahin aapka blog na is update ke chapet naa aa jaye.
Long Post likhane ke fayade-
1.Long post se sabhi related sub topics ko clear kiya ja sakta hai. Jo trafficable hoga.
2.Reading time increase hogi aur automatically bounce decrease hogi. Jisse us post ki ranking increase hone ke great chances ban jayenge.
3.Short post ki tulana me long post ko natural backlink milane ke chances 100% jyada hota hai, kyonki usmen har topic ki full details hoti hai.
4.Jab kisi topic ko details me likha jata hai to use kisi bhi readers dvara understand karana behad easy ho jata hai. Jiske karan readers long post ko love karte hai.
5.At last jab reader aapke post ko love karega to Google ko love karna hi padega.
#11 Optimize Old Post
Kya aap janate? Backlinko ke founder Brian Dean 5 years me only 34 post hi likhe hai, lekin ve daily lac views pate hai.
Iske piche kya reason hai ?
Ve new post likhane se jyada old post ko monthly optimized karne par focus karte hai. Old post me new trafficable keywords incluce karte hai aur new date par republish kar dete hai.
Aur aap jante hai, Google hamesha fresh post ko high rankings deta hai. Jiske karan ve dubara apne old post high traffic pane lagate hai.
Par jab hindi blogging community ki bat aati hai to main dekha, yaha daily post karane ki hod si machi hui to fir ve kaise old post ko optimize karenge ?
Isliye main suggest karunga, thoda laptop ke keyboard ko rest de aur old post ko optimize kar new date par republish kare aur uske bad traffic dekhiye.
#12 Blogging Directories Me Blog Submit Kare
Indiblogger.in aur Blogarama.com jaise blogging directories par apna blog submit kare. Isse aap quality backlink aur traffic pa sakte hai.
#13 Interview
Always every beginner bloggers ko popular bloggers ke bare men read karana aur maximum janana achcha lagata hai.
Aise me yadi aap popular blogger ke interviews lekar apne blog par publish kare to aapka blog ki ek alag identity ban sakti hai.
Aur plus me popular bloggers se interact karne ka great opportunity bhi milega, jisse aapko bahut kuch learn karane ko milega.
Last Words
Aaj ke time me traffic Designed Theme + Logo + Quality Content + Marketing Strategy ke sanyog se hi better traffic pai ja sakti hai. Isliye pahle in charon par pahle focus kare aur jaldi se inhen fulfil kare and apne blog ke liye quality traffic paye, jo aapke revenue ko double kare.
Iske alava aap traffic badhane ke konsa method apnate hai ?
Hope, ye post aapke liye helpful hoga aur aapne ise pasand kiya ho. So Please share and comment.
gaurav kapoor says
Such an informative article thanks to google for landing me on this page and off course to you.
Mr Rahman says
Really amazing blog, post & design? keep up the work..
Ravi Kumar says
Thanks Mr Rahman
Rushikesh Sonawane says
Exlent article! Ravi sir. And most important theme bahut badiyaa hai.. Kya aap batayenge theme ka name kya hai. Aur kahase kharida hai?
Umesh says
Blog traffic badhane ke liye aapne boht hi badhiya jankari share ki hai brother par muze ek problem aarhi hai adsense ads ko lekar please meri Website dekh kar ads placement ke bare me kuch bta dijiye
Ravi Kumar says
aapka do ad unit post body se bahar ho raha hai. use thik kare.
rovin singh chauhan says
sir apne bahut he badiya article share kiya hai or apka blog bhi good looking hai.
Ravi Kumar says
Thanks
Ravi says
Thank you Ravi ji apki post kafi achi hai
Ravi Kumar says
You’re welcome.
vijay patel says
bahut achchhi jankari he apki trafik ke bare me thanks
Ravi Kumar says
Welcome Vijay !
vijay patel says
nice
sadhana says
Really Bro Bahut Acchhi jankari di apne. thanks
Ravi Kumar says
Welcome Sister!
Vikash Choudhary says
Nice blog Ki traffic bdane ka trika btaya hai vo muje liked good post keep it
Vikash Choudhary says
Aapke article different hai or best bhi hai kyoki traffic badhane ka trika ek hi hai unique likho
Ravi Kumar says
Thanks Vikash, Unique content ek unique identity provide karti hai. Jiske karan log aape naam ko yaad rakhate hai.
Junaid Khan says
Traffic kisi bhi blog ya website ke liye bahut hi jaruri hai aur ye motivate karta hai kisi bhi blogger ko lekin starting me hume quality post karna hota hai aur regular blogging aur dheere dheere humko traffic milne lagta hai.
Ravi Kumar says
Absolutely Right Junaid
vikram kumawat says
m to aapka fan ho gaya bhai .. aapka likhne ka tarika bahut badhiya hai
Ravi Kumar says
Wow, It’s great compliment. Thanks bro.
kumar says
bro apke is blog par mera ye second ya third visit h or ab to me bhi apke blog se impress hokar apne blog ko redisgn karvana chahunga lekin me ye janana chahta hu ki kya aap mujhe mere blog ke design me hi modification kar sakte h ya fir ap ek hi design use karte h. mujhe mere blog par kafi kuch change karvana h. me apko email kar chuka hu wait karunga. thanks bro cheap rate me achhi service provide karvane ke liye
Ravi Kumar says
Mail check karen
Manoj Patil says
Sign up Widget impressive hai. Brothers krupay kya aap apne blog par laga Sign up Widget ka code de sakate hai , if you yes then please send my mail admin@hindimepadhe.com.
Thanks.
Manoj Patil says
Hallo brother,
After few days apki same post padhi maza aaya krupaya aapne jo Gmetrix ki link lagai hai wo broken ho gai hai.
Mere blog ki performance bahuta hi badhiya rahi traffic bhi kafi increase huwa.
Ravi Kumar says
Wow, Great News From You !!
Thanks to inform me Bro about broken link. I will update it soon.
Manoj Patil says
It’s my pleasure big brother, krupaya mere blog par visit kar apna experience jarur share kare. I will waiting for your comment.
Ravi Kumar says
Hi, If You want details about your blog, please allow me somedays.
Manoj Patil says
Ok brother visit as early as possible and share your openian in comment thru.
Thanks
Monika says
Article was very informative .Do u provide ur services?? How do I contact u
Ravi Kumar says
Yes, You can details at bloggingfirsthindi@gmail.com
vivek says
Bro kafi acchi Jankari share kiye ho .Very useful information. but mere blog par shayed backlink ke karun traffic nhi hai. .mujhe fast tarika se backlink banane ke liye kya karun chahiye jisse backlink jaldi received ho plzz jarur bataye.
Ravi Kumar says
1.High Traffic Wale Blog par Guest Posting Karen
2.Comment Kare
3. SEO Forum Join aur Dusron Ke Problem Solve Kare,Badle me Apko Quality Traffic Milega.
Manoj Patil says
Content long likhane ka prayas kare, daily blog par update rahe, social media forum par active rahe automatically traffic badhegi.
Shaikh Muneer says
first time aapke site pe visit kiya pata hi nhi chala 50 min kab gujar gaye bahut ache aur unique articles likhe hai aapne padhne me maza aaya maine aapke site ko bookmark hi karliye hai taki samay ke sath aur bhi gyanpurn bate padh saku.
Ravi Kumar says
Thanks Bro..Is post ke liye ki gai meri mehanat safal hui.
Manoj Patil says
Apke blog ke content bahut achhe hai, aur Long bhi likha hai. Jo blog ke kya bahut achha hota hai. Kripaya Do sawal ka Reply kare jisse mere blog ko help ho.
1.Mere Blog par Comment ka option Full Nahi show kar raha hai means blogger ke liye URL dalne ke liye option nahi show ho raha hai kripaya suggest kare.
2.Har Sambhav Koshish Karli But Page Speed Loading 8 se 10 second le raha hai. Jo ki Kam hi nahi ho raha hai Halaki Pahale 13 second tha Ab 8 se 10 second hai.
Krupaya Reply jarur kare