Blogging First

Learn Blogging & SEO Tips

  • Home
  • Dream 11
    • Account Verify
    • Money Withdraw
    • Win Tricks
  • Free Web Series
    • Free Netflix
    • Free ALT Balaji
    • Amazon Prime Video
  • Earn Online
  • App
  • Video Download
    • Sony LIV Video
    • Netflix Video
    • Amazon Prime Video
  • Privacy

Blog Se Kaise Kamaye ? Best 7 Tarike

By: Ravi Kumar

Ab blogging keval passion hi nahi raha gaya hai, balki ye online career banane ka great opportunity ban chuka hai.

Because isme money aur popularity kisi bhi other job-career ke compare jaldi milti hai.

Even Blogging me popularity jaldi milti hai. Isliye kai professionals aur corporate companies blogging karati hai, taki apni field me pahchan bana sake.

Anyway 90% bloggers ka blogging karane ka final target money earn karana hota hai, jo unhen ek complete professional bloggers banata hai.

Isliye aaj main aise tarike batayunga, jisse aap apne blog se money earn kar sakte hai.

Table of Contents

  • Blog Se Kaise Kamaye
    • #1.Display Ad Network / Display Advertisement Network
    • #2.Affiliated Marketing
    • #3.Paid Post
    • #4.Direct Ad 
    • #5.Service 
    • #6.Sell Ebook  
    • #7.Review Post 

Blog Se Kaise Kamayeblog se kaise kamaye

#1.Display Ad Network / Display Advertisement Network

Yeh Blog monetization karane ka sabse popular tarika hai. Bas aapko minimum 500 visitors per day ki jarurat hoti hai, aap is tarah ke Ad network ko join kar apni earning start kar sakte hai.

How it works

Ad Networks third parties (advertisers) ke Ad ko partner publisher ke website/ blog par show karte hai. Month ke ant me earning ka kuch parts apne pas rakhkar, publisher ko pay kar deti hai.

Ad Model

Yah ad network popular three ad model ke base par work karta hai.

1.CPC – Is tarah ke model ko follow karane vali ad networks publisher ko ad click ke base par money pay karti hai. Isliye is model ko cost per click kaha jata hai.

Ye cost per click rate Marketing Inflation, Traffic, Money Exchange Rate ke base par har pal change hoti rahti hai.

Kuch ad network fix cpc bhi follow karte hai.

Is Ad Model ki popular ad network hai 

1.Google Adsense

2.Adnow (Ise adsense ke sath use kiya ja sakte hai )

3.Desipearl (Ise adsense ke sath use kiya ja sakte hai )

4.Chitika

2.CPM –

CPM Kya Hai
CPM Calculation Formula

Is model ki Ad network, is formula ke adhar par publisher ko pay karti hai.

Yahan impression reader ke view hai. Is model ki sabse achchi baat hai ki yadi ad par click na bhi mile, tab bhi earning continue rahti hai. Yeh model high traffic blogs ya website ke liye suitable hai.

Is Ad Model Ki Popular Ad Network

1.Adsoptimal

2.Propeller Ads

3.Conversant Media

3.CPA – Yeh Ad model affiliated marketing jaisi hai. Affiliated Marketing me products sell karana hota hai to is CPA model me reader ko kuch task jaise Sign up, Email Subscribing ke liye push karana padta hai.

Jaise hi koi readers Advertising website se sign up ya email subscribing karta hai, usse earning ho jati hai. Jise Cost per acquisition ya cost par action kaha jata hai.

Is model ki ad network publisher ko high pay karti hai.

Is Ad Model Ki Popular Ad Network

1.Cuelink

2.Vcommission

Payment Mode – Jo Ad Network India based hai, ve payment bank account me send karti hai, aur other ad networks paypal account me.

Yeh payment nishchit date ko ek amount ki limit (Threshold)  pura hone par pay karti hai.

Pros

1.Instant Payment

2.Fast Income Increment

Cons

1.Slow blog speed

2.High Bounce Rate

3.Low User Engagement Time

4.Account ban ko khatra jyada.

#2.Affiliated Marketing

Yah blog se kamai karane ka sabse best method  hai, jo blogging career ki future secure karta hai.

Jab kisi merchandise website ki product ko apne blog par promot karte hai aur koi visitor blog par us product ko buy karane ki ichcha se product link par click kar merchandise website par us product ko kharid leta hai,

tab hame uske badale kuch commission milata hai. Is pure process ko Affiliated Marketing kaha jata hai.

Other earning method ki tulana me Affiliated Marketing ek slow method hai. Jo puri tarah blog par ane

vale traffic aur quality post par depend karta hai.

Affiliated Marketing Karane Ke Liye Jaruri Chije

1.Quality Traffic, Post me aise keyword use karana chahiye ki affiliated post par product buy karane ki chah rakhane vale visitors hi aaye. Naa ki keval janakari lene vale visitors.

2.Quality Post, jo true information dekar Product ko buy karane ke liye visitors ko convenience kare .

3.Professional Blog Look, blog open hote hi half work to blog ka professional look hi kar deta hai, jisse most of visitors ko product ko buy karane ke liye convenience karana easy ho jata hai.

Kisi Bhi Blog Ye Chije Professional Banati Hai-

-Premium Theme

-HD Logo

-Impressive About Me Page & Author Profiles with Picture

-Fast Blog Speed

4.Experience, Kisi product ke bare me likhane se pahle experience hona jaruri hai, tabhi product ki every choti se choti details ke bare me bata sakenge. Tabhi complete and quality post likha ja sakte hai.

How it works

Affiliated marketing start karane ke liye kisi merchandise website ki affiliated program ko join karana hota hai. Jab ham us website ki kisi product ko apne blog par promote karana chahte hai.

Tab hame ek special link milata hai, jismen us product ki aur hamari id code hoti hai, jise affiliated link kaha jata hai.

Jab koi visitor us link par click karta hai aur merchandise website par us product ka page open hota hai. Jab visitor use product buy kar leta hai.

Tab ID code ke dvara hamare sale ko track kar liya jata hai aur commission ko hamare Affiliated Account me credit kar diya jata hai.

Best Affiliated Marketing Program

1.Amazon Affiliated Marketing Program

2.Flipkart Affiliated Marketing Program

3.Cuelink

4.Bluehost India

5.Hostgator India

Pros

1.Lifetime Stable Income Source

2.No bad impact on Visitors and Blog

3.Big Income

4.Fast Growth

Cons

1.Kuch new companies fraud bhi karti hai, isliye achchi tarah se check kar join kare.

2.Kabhi kabhi tracking problem bhi ho jati hai, jisse aapke dvara sale product ki commission nahi milata hai. But ye problem naa ke brabar hoti hai.

#3.Paid Post

Jab kisi brand ya product ke bare me post likhane se paise mile, use paid post/paid review kaha jata hai. Paid post ki opportunity keval popular blogs ko hi milata hai. because brand/ company kam time me jyada se jyada popularity chahte hai.

Ek paid post ke liye popular blogs Rs5000 se Rs 6000 charge kar sakte hai.

How it Works

Market me aayi new company / brand ko apni business establish karane ke liye exposing ki jarurat padti hai. Jise ve related popular blogs se puri kar sakte hai.

Isliye ve popular bloggers se apni brand / product ke upar post likhane ko kahte hai aur uske badale pay karte hai.

Kaise Paid Post Ya Paid Review Ki Opportunity Paye    

Iska ek hi jabav hai, apne blog ko complete professional and popular banaye. Isse pahle aap affiliated brand/ products par review par likh sakte hai.

Jisse aapka review knowledge aur skill me improvement hogi. Jo brand company ko lubha sakti hai.

Iske bad koi bhi brand/ company aapke blog ko beneficial pate hai to ve khud aapse contact karenge.

Pros

1.Instant Payment

2.Big Money

3.Brands se related Traffic increase hoti hai,

4.New Identity in Marketing

Cons

Paid post karane par paxpat ki najaron se dekha jata hai. Aksar kai youtubers aur bloggers par injam lag chukka hai, ve paise ke chalte product ke bare me galat information deta hai.

Isliye paid post karane se pahle product ko khud use karana chahiye aur correctfull info hi dena chahiye.

#4.Direct Ad 

Jab aapka blog popular ho jaye, tab aap apne blog par advertisement start sakte hai, jise Direct Ad kaha jata hai.

Direct Ad ke tin format hote hai –

1.Text Link Ad

2.Banner Ad

3.Text Link Ad in Post.

Aap format ke adhar par monthly payment le sakte hai.

Pros

1.Nischit & Instant Income

Cons

Similar Field ke Blog ka Ad show karane se aapke visitors kam ho sakte hai.

#5.Service 

India me vaise hi SEO and Designing expert ki kami hai, jo hai ve bahut fees lete hai.

Aise me Yadi aap blog setup, SEO optimization, Speed Optimization aur blog customization me interest rakhte hai to cheap rate par is tarah ke service start kar sakte hai.

Kaise Kare Service Offer

1.New page / new subdomain par service offer kare. (Dhyan rakhe, aapka blog aur service ka nature ek hi ho.)

2.Offer page par service le chuke clients ke website aur review show kare.

3.Kisi bhi client ko service dene se pahle unhe apne pure term & conditions bataye.

4.Payment aap service se pahle ya bad me bhi le sakte hai. Ye aap par depend karta hai. Jise aap Instamojo ki help se collect kar sakte hai.

5.Apne Service ka Banner post aur sidebar me lagaye aur email-subscribers & push message subscriber ko is bare me mail send kare.

6.Apni service se related guest post popular blogs par kare, (Dhyan rakhe, guest post me kabhi apni service ke baare na bataye, otherwise guest post approve nahi hoga.)

7.Apni service promote karne ke liye popular blogs par ad de sakte hai.

Pros  

1.Fastest Income

2.Fast Popularity and Fans

3.Secure Future

#6.Sell Ebook  

Yadi aap kisi khas field jaise motivation, blogging me achcha knowledge rakhte hai to use aap ebook ka rup dekar visitors ko sell kar sakte hai. Jisse aap achchi kamai kar sakte hai. sathi aapko popularity bhi milega.

How it Works

1.Apne knowledge ko ebook ka rup de.

2.Fir use Amazon ya apne blog par hi promote kare.

3.Blog par promot karte hai to Instamojo jaise payment collector company ki help payment collect kar sakte hai.

Pros

1.Great Income

2.Big Popularity

#7.Review Post 

Review post me basically future customer ko batana padta hai ki kyon is product ko kharidana chahiye. Jise ke liye aapko genuine opinion dena chahiye.

Review post kuch had tak paid post ke saman hai aur affiliated marketing ka part hai.

Isliye ise kaise kare, uske liye Affiliated Marketing Method dekhe.

In Last Word

Blogging start hoti hai passion se, lekin ise continue rakhane ke liye money earn karana jaruri hai. Aaj aap upar ke methods try kar sakte hai.

Ismen Kuch aise bhi method hai, jo blogging ke shuru din se hi start kar sakte hai. Jaise Affiliated Marketing and Service.

Iske alava kisi aur method se blogging income karte hai, to jarur share kare.

Aapko ye post pasand aayi ho to jarur share kare.

Share with your world!!

WhatsAppFacebookTwitterGoogle+pinterestLinkedInBuffer

Related Posts

  • blog kaise banayeBlog Kaise Banaye – A Complete Guide with Pic
  • Blog Design Kaise Kare
  • affiliate marketing kya haiAffiliate Marketing Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Earn Karte Hai
  • adnow reviewAdNow Se Kaise Kamaye

Filed Under: Blogging, Earn Online

Get Latest Updates & Tips

(Inbox Me Confirm Link Par Jarur Click Kare)

Comments

  1. WilliamHem says

    at

    Lakshmi Flow

    Reply
  2. Anjali Gupta says

    at

    Very good info. thanks for sharing to us

    Reply
  3. Rehan khan says

    at

    Sir mere adsense account approval hogaya hai lekin sir me apne blog me konsa ads show karao matalb auto ads ya manually konsa best hai aur kisse best earning hoti hai plz sir bataye

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      Bhai donon lagayo. Main dono laga rakha hai.

      Reply
  4. Verma says

    at

    Great and an informative content!

    Reply
  5. Sudarsan Panda says

    at

    Ravi kumar ji apne kafi badhiya post likha hai jishe indian blogger ke liye bahut important hai.Wese sabse badhiya google adsence hai par iske alawa dusre ki baat karte hain to CPA network bhi badhiya hai.

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      Well blog par quality traffic paate hai to Adsense se jyada CPA se kama skate hai.
      Thanks.

      Reply
  6. Rahul Tiwari says

    at

    Ravi bhai, Ek problem ho gai hai…UC news ne mera ek post suspend kar diya hai or uska karan bataya hai ki mera vo post already kisi website par hai…Jab maine unke diye hue link ko check kiya to paya ki vo website wala mere UC post ka ek-ek word copy kar liya tha…Maine uske view source me jakar uska publish date nikal or UC care ko screenshot dikhaya ki mere publish karne ke 3 din baad isne copy kar ke publish kiya hai…

    UC wale ye to maan gaye ki us bande ne mera copy kiya hai lekin ab kah rahe hai ki aap usko mail kar ke vo post hatwao tabhi hum aapka post approve karenge…Maine us website wale ko kai mail kar ke dhamka bhi chuka fir bhi vo post nahi hata raha…or uske post hataye bina UC par mera post approve nahi hoga…

    Vo post mere liye bahut jaruri hai kyuki us post se mujhe sirf 3 din me 2.5 lakh views mil gaye they…Ab agar vo post approve nahi hua to kahi aisa na ho ki ussey hui income ko bhi UC wale disapprove kar dein…

    Maine UC news Authorize person ko bhi SS ke sath mail kar diya lekin udhar se bhi reply nahi aaya… Mujhe samajh me nahi aa raha kya karu…Aap hi kuch upay bataiye…

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      Mujhe lagata hai UC News vale us post se ki gai income nahi katenge, kyonki vo jan gaye hai. Ye post aapka hai.
      Rahi baat use website owner ki, uski Whois data nikalon. Usme aapko mobile number mil sakta hai. Fir use aap call kare.

      Dusri Idea, Title aur post body me kuch changes ke karke try kare.

      Reply
      • Rahul Tiwari says

        at

        Whois data usne hide kar rakha hai…isliye uska number nahi mil pa raha hai…waise aapka bataya hua dusra upay hi karna hoga… is Idea ke liye Thanks ..

        Reply
        • Ravi Kumar says

          at

          Bro, uske social media par complain kare. Ya Uske website ki old version check kare. Kuch helpful mil jaye.
          http://web.archive.org/web/*/https://bloggingfirst.com

          Reply
  7. सुरेन्द सिंह says

    at

    CPA marketing sabse badhiya way hai online income karne ke liye, Me ise kafi samay se use kar raha hu.

    Reply
    • Ravi Kumar says

      at

      CPA ke liye kaunsa Ad Network Use Karte Hai?

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Recent Posts

  • The Kapil Sharma Show Download कैसे करे[Season 1-2]
  • उत्तर प्रदेश होम डिलीवरी/सप्लाई मित्र से भोजन & राशन कैसे मंगाये
  • Eros Now Subscription Free Activate कैसे करे
  • उत्तर प्रदेश कर्फ़्यू ई-पास कैसे बनवाये
  • जनधन, LPG Subsidy & किसान सम्मान निधि का पैसा कैसे ऑनलाइन चेक करे

Copyright © 2023 · About Me · Contact Me · Privacy Policy · TOS · Disclaimer · Sitemap · DMCA.com Protection Status