Wrong insaan nahi hote, balki vichar (intention) hote hai. ye vichar Ganga ki chhalakati jaldhara ki tarah hoti hai. Jise dusre disha me modna aasan nahi.
Aksar aise wrong intention ki janm hone ka sabse bada reason hota hai. Greed…(lalach)
Jab koi new blogger ya koi person kisi popular blogger ki six figure vali income dekhata hai to vo dhero paiso ki soch me phas jata hai. Aur vo blogging ko keval cash machine samjh leta hai. Jise vo kuch hi samay me pana chahata hai.
Isse yah hota hai ki vo apne interest ki pehchan nahi kar pata hai. jispar vo honest blogging kar sakta hai.
Iske bad start hota hai copy paste ka khel. Jahan dekha achi post. Bas copy-paste. Kabhi kabhi to pure blog ki copy paste kar diya jata hai.
Jise content infringement ya copyright infringement kaha jata hai.
Maine kai bloggers ke content infringement issues ko analyze kiya aur paya ki content copy paste karne ke mamale me blogger platform vale bloggers sabse aage hai.
Isi dauran mujhe behad chaukane vali baton ka pata chala.
Table of Contents
1.Kya Popular Hindi Blogger Bhi Copy-Paste Karte Hai?
Ji han, Jise maine full proof ke saath Shoutmeloud Forum me share kiya tha.
Us popular blogger ne ek English blog ki ek post ko Hindi me translate kar apne blog par publish kiya tha. Jiske bad agle hi din mere pas us popular blogger ka call aaya aur dispute hua.
Yah issue bahut bada tha, jispar Shoutmeloud.com ke founder Harsh Agrawal ne kaha ki 25% copy content ko Google mind nahi karta hai.
Lekin yahan to full copy thi, kya Google is par kuch karega? Google kuch bhi nahi karta hai, jab tak aap kuch nahi karte hai.
Iske alava kai bloggers ne bhi issi tarah ke issues share kiye. Jisse prove ho gaya kuch popular bloggers bhi copy karte hai.
2.Kya Media Company Bhi Copy Paste Karte Hai ?
Karib ek saal pahle maine Acchikhabar.com par secure shopping tips topic par ek guest post kiya tha. Aaj se kuch din pahle main Google browsing kar raha tha. Tabhi mere guest post ka ditto copy ek media website par mila.


In reports se prove hota hai ki keval beginner blogger hi copy-paste nahi karte balki kuch popular bloggers and media company bhi copy –paste karte hai.
Aise me hame apne content ko chori hone se bachane ke liye plugin install kar sakte hai.
Par Kya Yeh Method Effective Hai ?
Bilkul nahin, because is tarah ke plugins me heavy javascript hote hai, jo blog ko 1 second tak slow kar deta hai. Jisse SEO aur User Experience par big bad impact padta hai.
Isliye maine apni research se aisi coding find kiya hai, jo aapke blog post ko chori hone se bachayega bhi aur sath hi blog ko thoda sa bhi slow nahi hone dega.
Yeh CSS Codes Hai
Basic code
-webkit-user-select: none;
Yeh code kuch browser me work nahi karta hai.
Advance code
-webkit-user-select: none; /* Chrome all / Safari all */
-moz-user-select: none; /* Firefox all */
-ms-user-select: none; /* IE 10+ */
-o-user-select: none;
user-select: none;
Yeh all browser me effectively work karta hai
Inme me se ek code ko under “body{……………..}” me paste karana hoga.
Kaise CSS Code Ko Paste Kare
(Isse pahle aap apne blog ka backup le le)
1.Wordpress Dashboard me jaye
2.Appearance >> Editor
3.CTRL+F press kare and search “Body {“
4.Is code paste aur save karen.
5.ab browser ki caching files delete kare.
6.Yadi aap Cloudflare use karte hai to Login to Cloudflare >>Caching>>Purge Cache par jaye Purge Everything kar de.
Uske bad blog ko open kare aur test kare css code work kar raha hai ya nahi.
Yadi ye code aapke blog par work nahi kar raha ho to jarur bataye.
Iske alava yadi aap content ko copy hone se bachane ke liye dusre method use karte hai to jarur share kare.
uday shankar says
thanks for grate article.
uday shankar says
but want to know about how can i disable copy to content in blogspot.
Ravi Kumar says
Isi code ko aapke template ke css body me add karana hoga.
Vishal Verma says
Mera apk niche site h like apk pure to main ispe google play store se app ke descriptions read krta hu or apne man se change kar ke likhta hu to kya ye copy h
Or apk site h to kya word mayne rakhte h top pe aane ke liye
Ravi Kumar says
1.Nahi, ye copy paste nahi hai
2.Ranking ke liye keyword jaruri hai. Details ke liye is post ko padhe