Yadi aap apne blog ki loading time ka dhyan nahi rakhate hai to visitor bhi aapka dhyan nahi rakhega.
Google ke report ke anusar,
jo site open hone men 3 second se jyada time leta hai, vo apne 40% visitors lost kar deta hai.
Gomez.com, Akamai.com aur Kissmetrics ke survey ke anusar,
yadi koi online shopping website daily $100,000 ki sell karta hai aur yadi site open hone men extra 1 second lene lag jaye to us website ko salana $2.5 million ka lose ho jayega.
Par ye sabhi report laptop ya desktop par site ki loading time se related hai. Sochiye, jab laptop par website ka yeh haal hai to mobile kya hota hoga?
Kissmetrics ke mobile survey ko hi lete hai.
Survey kahti hai,
21% visitors chahate hai desktop ki time me hi site mobile par bhi khule, jab ki 25% visitors expect karte hai, site desktop ki tulana men mobile par fast open ho.
Yani total 46% visitor expect karte hai site desktop ki tulana men mobile par fast ya equal open ho.
Par ye bilkul bhi possible nahi hai ki kisi bhi site ki desktop loading time or mobile loading time equal ho, basharte us site ka mobile version na ho.
(for example Desktop version- facebook.com, Mobile version – m.facebook.com)
Yadi aap apne site ki mobile loading time check karma chahte hai, GTmerix par Signup karen aur Mobile Analyze par apne site ki real loading time jane.
Yadi aapke blog ki loading time mobile par bad experience vala hai to following points ko follow karen aur apne blog ko boost karen-
Table of Contents
#1 Image Ko Optimize Kare
Images every blog par visitor ke liye impression ka kaam karta hai. Lekin aap sidhe hi server par upload kar dete hai to aapke blog ki speed ko increase kar dega.
Isliye hamesha image ko optimize kare, jise aap is tarah kar sakte hai
1.Adobe Photoshop me Image ko Save for Web kare, yadi aap image quality se satisfied nahi hai to Save as karte samay Baseline Optimized ka option chune.
2.WP Smush plugin ya ShortPixel Image Optimizer Install kare. Ye plugin image quality ko bina nuksan pahuchaye, compress kar deta hai.
#2 Better Hosting Company Chune
Koi bhi nahi chahega, uska server slow ho. Isliye better hosting company chune.
Yadi beginner blogger hai to aapke liye Hostgator ya Bluehost se shared hosting buy karma sahi rahega.
Yadi aap high traffic vala blog ran karte hai to apne hosting plan ko jaldi upgrade kar le.
Iske alava main aapko bata dun ki kisi bhi server ka response time 200 ms hona chahiye, jo VPS hosting ka response time hai.
Ek shared hosting ka average server response time 500 ms hota hai. Yadi aapke server ka response time 500 ms se jyada hai to hosting company ke support team se contact karen.
Vaise shared hosting main problem hota hai, ki yadi aapne naya plan buy kiya hai, lekin us server par pahle se hi koi high traffic wala site maujud hai to vo aapke blog ko slow kar dega.
Aapke server par kitne site hosted hai, check kare — Network Tool
Yahi karan hai ki adhikatar professional blogger shared hosting ko dislike karte hai.
#3 Paid Theme Use Kare
Kya aap apna store banane ke liye thode se money ki vajah se low quality vala materials use karenge ? nahi naa.
Usi tarah blog apka online store hai. Tab phir kyon free theme use karte hai?
Kya aap janate hai? , free theme ki coding poor aur malware infected hoti hai. Jisse aapke blog ka hack ka chances badh jaate hai.
Poor coding ki vajah se theme ki css files, font, script load lene men extra time leti hai.
Isliye yadi aap apne blogging career ko lekar 1 % bhi serious hai to paid theme use karen.
Vaise speed aur seo ke mamale Genesis Theme no-1 hai. Jise main use karta hun.
#4 Uninstall Unnecessary Plugins
Amuman hindi blogger jyada plugins ka use karte hai. Kya aap janate hai? Ek or extra plugin ka matlb kya hai ?
Iska sidha matlab hai, aapke blog par extra coding aur loading time men extra time add ho jata hai. Jo naa to technically sahi hai naa hi as a user experience se.
Isliye unnecessary plugins aur non-active plugins ko delete kar den.
Aksar maine paya hai ki blogger poor loading speed ke liye Jetpack plugin ko dosh dete hai, jo bilkul bhi sahi nahi hai.
Jetpack ke sabhi feature enable naa kare. Iske keval Site Stats aur Photon ko enable karen. Vaaki Related Post aur Share Button ke liye kramashh WP Related Post by Sovrn, Zemanta, Social Warfare plugin install kare.
#5 CDN Use Kare
Yadi aap koi chij Other State se magana chahte hai vo chij aane me kitna time lag jayega.
Aur dusri taraf, agar vahi chij aapke bagal ke shop men mila jaye, to kitna time lagega. Bilkul yahi kaam hai CDN ka.
CDN ek Content Delivery Network hai, jiski duniya men alag- alag cities men data centers hota hai, jahan ve site ki ek latest copy save kar lete hai.
Jab koi visitor us site ko access karne ki koshish karta hai, tab sabse najdiki data center se us site ki copy send kar deta hai.
Yadi aap Bluehost India aur Hostgator India se hosting plan lete hai, to inka sever Mumbai me sthit hai.
Aise men yadi koi visitor Patna se aapke blog ko access karana chahega to ismen kafi time lag sakta hai. Isliye jyada sochiye mat, CDN use kare.
Yadi aapka budget big hai to MaxCDN ya Amazon Cloudfront use kar sakte hai. Nahi to Cloudflare use kare, jo bilkul free hai.
#6 Blog Ki Design Simple Rakhe
Aksar new blogger apne blog is tarah decorate karta hai, jis tarah nai dulhan sajati hai.
Janate hai, is tarah aap kai extra unnecessary coding and widget add kar dete hai, jo aapke blog ki KB ko badha deta hai.
Jahir hai jab KB badhegi to speed slow to hoga hi. Isliye go simple.
#7 Unnecessary Backup Delete Karen
Yadi aapka blog ek sal purana hai to apne kai baar blog ka backup liya hoga.
Yeh backups aapke server par kai sara jagah lete hai. Jiska bad impact site ki speed par padta hai.
Isliye latest backup ko yuhi rehne de aur baki old backups ko delete kar den.
#8 Cpanel Men Blog Optimize Karen
Cpanel men Website Optimize ka option hota hai, isse aap all content compress karen.
#9 Caching Plugin Use Karen
Caching Plugin site ko speed up karane men bahut hi helpful hota hai. Ye visitor ke browser men blog ki static files, jaise image, javascript ko upload kar deta hai. Jisse jab vo visitor us blog ko visit karta hai to blog fast load hoti hai.
Iske alava ye caching plugins HTML, Javascript, Content ko compress kar deta hai, jisse blog ki KB kam ho jati hai.
Main W3Total Cache Plugin use karta haun aur WP Super Cache bhi try kar sakte hai. Par ek time men ek hi plugin use karen.
#10 Javascript Ko Footer Men Add Karen
Kabhi bhi Javascript ko theme ke header men place naa karen.
Jaise yadi aap Google Analytic Code header men add karte hai to blog open hone men kuch extra time lag sakta hai. Islye ise footer men paste karen.
#11 Homepage Par 7-10 Post Hi Show Karen
Homepage par kam post show karne se blog ki speed achhi ho jati hai. Isliye WP Dashboard >Setting >Reading men jakar 7 ya maximum 10 post set karen.
#12 Jyada Ads Na Lagaye
Aapke blog par jitni ad units hogi, utne request create hoga aur utne hi extra time lagega. Isliye kam se kam ad units lagaye.
Sath hi sath Google Adsense ke Asynchronous code aur optimized banner hi blog par lagaye. Aur GIF image aur animated images avoid kare.
#13 Popular Post Ko Speed up Karen
Google Analytic> Behavior>Site Content> Landing Page par jaye, aapko yahan top post milenge, use upar bataye gaye tips se optimize kare.
#14 Database Optimize Karen
Jab aap kisi post ko update karte hai to WP database men unki revision copies ban jati hai. Jo database ki size ko unnecessary badha deta hai. Ise clear karane ke liye WP Optimize install karen.
Ye plugin revision copies delete karane ke sath spam comments, auto draft post, pingbacks, trackbacks, meta data, comment meta data, orphaned relationship data ko bhi delete kar wp database ko light kar deta hai.
#15 Version String Hataye –
Jab Apane kabhi GTmetrix men apne blog ki speed check ki hogi, tab apne kai url men ?ver=4.7.2 ya &ver=4.7.2 laga hua dekha hoga. Ise version string.
String ki vajah se un urls ki caching nahi ho pati hai, jo loading speed ke liye sahi nahi. Hai.
Isliye Appearance > Editor> function.php men yah code paste karen-
(Is code ko paste karane se pahle blog ka backup le le)
//* Remove Query String
function _remove_script_version( $src ){
$parts = explode( ‘?ver’, $src );
return $parts[0];
}
add_filter( ‘script_loader_src’, ‘_remove_script_version’, 15, 1 );
add_filter( ‘style_loader_src’, ‘_remove_script_version’, 15, 1 );
#16 Disable Comment Avatars
Commenting every blog ko complete karta hai. Lekin comment se pahle display hone vala commenter pictures hamare blog ko heavy kar deta hai.
So ise bhi Setting >Discussion men disable kare den.
Last Word
Apne blog ke liye har vo chij karen, jo behad jaruri hai. Par loading speed time ka pure khyal rakhe.
Page loading speed hi aapke blogging success ki niv hai, isliye ise pahle thik kare.
Aap apne blog ko boost up karane ke liye kya karte hai ?
Is post ko jarur share karen, taaki aapka friend ka blog ka boost up ho sake.
ROVIN SINGH says
bahut he helpful jankari share ki hai apne. thanks.
ANTESH KUMAR SINGH says
wordpress blog ke liye best cache plugin kaun si hai ?
Ravi Kumar says
W3 Total Cache
Afroz Khan says
Good Information Thank you
Ravi Kumar says
Thanks Afroz to appreciate my effort.
Hindihelp4u says
Bro ek bar meri blog check karke bata sakte hai koi problem to nahi hai.
Ravi Kumar says
2.2s onload speed hai aur 3.7s fully loaded speed hai. Jo sahi hai.
Hindihelp4u says
Bro aapne bahut achhe se bataya hai thank u..
Ravi Kumar says
Welcome…
Juhi Rani says
Blogger me popular post ko speed up kaise kar sakte hain ?
Ravi Kumar says
1.Theme aisa install kare, jo jyada HTTP request nahi create karta ho. Ise Gtmetrix me check kar skati hai.
2.Image proper offline resize aur optimize kare.
3.Blog par jydad widget na lagaye.
4.Jo Adsense Unite good perform nahi kar hai, use remove kar de.
5.Jyada theme ki designing na kare, simple rakhe.
6.Useless request create vale every chij ko blog se remove kar de, jaise Facebook Like Box.
Rohit says
“Popular Post Ko Speed up Karen” google analytics ke through, iske baare me mai nhi janta tha. Ise mai jarur try karunga.
Thanks
Ravi Kumar says
Yes, Ye bahut hi jaruri tip hai, iske alava wp database ko optimize karte rahe aur post revisions ko delete kare iske liye wp optimize install karen.