Bluehost | Aaj ke time men blogging top trending online career me se ek hai. Yadi aap student, koi professionals ya house wife hai to aap apne free time me blogging kar decent money kama sakte hai.
Iske ke liye aapko custom domain aur hosting plan buy karna hoga.
Hosting thik vaise hi hai jaise kisi shop ke liye jagah ki jarurat hoti hai. Aur thik vaise hi us jagah ko pane ke liye hame kuch rent dena hota hai vaise hi hosting ke liye kuch money pay karana hota hai.
Aage main is post me bataunga ki bluehost se kaise hosting plan kharidte hai. Bluehost ki baat isliye main kar raha hun, because duniya ke sabse popular blogging platform wordpress.org dvara recommend hosting company hai aur main khud bhi do salon se bluehost ki hosting service apne do blog ke liye use kar raha hun.
Aur maine karibi se analyze kiya ki iski uptime speed, disk space, bandwidth every beginner ke liye best hai. Jise aap sabse saste damon par pa sakte hai.
Table of Contents
Bluehost India Se Plan Kaise Kharide
Ab Bluehost se hosting plan kharidane ke liye following easy steps follow kare-
Step 1
Bluehost.in par visit kare aur Menu me Hosting > Shared Hosting > Linux Hosting chune.

Linux Hosting ki jagah Window Hosting bhi select kar sakte hai, par ye mahanga pad sakta hai, because Window ek paid software, jabki Linux ek free open source software hai.
Isliye aap Linux Hosting select kare.
Step2
Yadi aap Global blog banana chahte hai, jiske visitors mostly US se ho to US ke plan buy kare.
Par yadi aap India based visitor ke liye blog launch kar rahe hai to India ke plan buy kare.
Ab yahan aa tin plan dekh rahe hai.

Standard – Is plan me bluehost following features offer karata hai.
1.Single Domain
2.Unlimited Disk Space
3.Unlimited Email Accounts
4.Include Global CDN
5.High Performance Servers
Ye features kisi bhi starter blogger ke liye suitable hai. Is plan se aap 20,000 visitors per day handle kar sakte hai aur plan sabse sasta bhi hai. Isliye ise hi buy kare.
Business– Iski feature Standard Plan ki tarah saman hai. Bus ye 3 domains ko host karne ki service deta hai, jo small business website ke liye suitable hai.
Pro – Ye bhi Standard aur Business plans ki tarah saman hai. Per ye unlimited domains host karane ka service deta hai, jo ki online reselling business ke liye sahi hai.
Ab aap standard plan ke buy now button par click kare.
Step 3
Ab aapse pucha jayega “kya hosting plan ke liye pahle se aapke pas domain hai?”
Aap no select kare.
Ab Domain Search Window open hoga.

1.Apna manpasand domain search kare.
2.Isse pahle SiteLock Aur CodeGuard ko uncheck kar de, kyonko inki tarah ki service free me bhi mil li jaa sakti hai.
Jaise SiteLock aapke blog ko safety deta hai. Jise aap free me World’s popular Cloudflare se bhi le sakte hai.
Isi tarah CodeGuard ke dvara aap apne blog ka backup le sakte hai. Iski jagah UpdraftPlus plugin use kar sakte hai, jo bilkul free hai.
Ab continue kare.
Agle window me apne domain ko select kar checkout kare.
Step 4
Ab next window me aapka order summary show hoga. Matalab aapke domain ki price aur shared hosting ka total price show hoga, jise aap kai years ke liye badha bhi sakte hai.

Isi window me left side men Have a Coupon likha hai. Yahan aap hamare dvara provide coupon ko use karke maximum discount pa sakte hai.
>Visit Bluehost India (Coupon : AFFJUL17)
Ab proceed to payment kare.
Step 5
Ab Bluehost Account create kare.
At last final payment kare.

Yahan following tariko se payment kar sakte hai
1.Credit Card
2.Debit Cards,
3.Net Banking
4.Cash Card
5.Mobile Payments
6.Wallet
7.UPI
8.EMI Options
Suvidha ke ansuar aap kisi method se payment complete kar sakte hai.
Final payment complete hone ke bad payment pura hone ka mail payenge.

Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur share kare.
Iske alava yadi aap koi problem face kar rahe hai to comment box me share kare.
sharoo says
hiii its very nice
Ravi Kumar says
Thanks for comment.