Gaye wo kitabo aur coaching centre ki chakkar katane ke din. Is digital age me laptop aur mobile se study karane ke din aa gaye. Yah cheap hai. Sabse badi baat hai is medium ko use kar kahi bhi study kar sakte hai. Is karava ko Byju’s The Learning App badha raha hai. Jiski help se thousand student digitally study kar rahe hai.
–But app ke dvara mobile par study karana easy nahi hai. isse kai problem hoti hai –
-Mobile battery bahut jaldi drain hoti hai.
-Small display screen eyes par bad impact dalata hai, because small text size ko dekhane ke liye Irish size increase karana padta hai, aisa lambe time tak rahane ke karan eyes par permanent bad impact pad sakta hai.
So here I am to tell you
Byju’s Learning App Ko PC Me Kaise Chalaye
Byju’s Learning App ko Think and Learn Private Limited ne august 2015 ko launch kiya tha, apne shuruaati 3 month me hi 33 million installations pane me safal rahe. Is company ko Engineer Byju Raveendran ne 2011 me found kiya tha. Ab yah duniya ki number one edtech company hai.
About Byju’s Learning App
Byju’s The Learning App ek freemium app hai, jispar registration ke 15 din tak free me study kar sakte hai. Uske bad aapko reasonable price pay karana hoga.
Yah app Kids learning material se lekar CBSE, NCERT, ICSE, CAT, IAS, GMAT, GRE, JEE, NEET, State Board ki exam ke liye study courses available karata hai.
App Name | BYJU’s The Learning App |
---|---|
Developer | Think and Learn Pvt Ltd |
Size | varies with devices |
Install | 40M |
Byju’s Learning App Ko PC Me Chalane Ka Tarika
Think and learn Private Ltd ne Byju’s The Learning App ke alava BYJU’s Disney Early Learning App, BYJU’s App Class 4 & 5 aur BYJU’s Parent Connect App ko bhi lauch kiya hai, jo bhi behad popular hai aur unhen bhi following tarike se pc me run kar sakte hai.
Method -1
Aap directally pc me Byjus app ko run nahi kar sakte hai. Iske liye aapko android emulator ki jarurat padegi, Jiska installation and app running process jante hai
1.PC me Bluestacks android emulator download kare aur use install kare.
2.Bluestacks ko open kar usme browser open kare.
3.Google Play Store open kare.
4.Sign in kare aur BYJU’s The Learning App install kare.
5.App me sign in kare aur apni course ko start kare.
Method – 2
Yah Bluestacks ka alternative method hai, jo low performance pc ke liye suitable hai. Because Bluestack ko smoothly run karane ke liye 8 GB RAM recommend hai.
1.Noax android emulator download kare.
2.Install and open kare. Jisme Google play ki help se app install kare.
Now low performance pc me bhi is app se study kar sakte hai.
Method – 3 [For MAC OS]
Yadi aapke pas MAC OS PC hai to iske liye aapko Droid 4X android emulator download karana hoga.
1.Droid 4X android emulator install kare.
2.Droix 4X ko open kare aur Play Store se is study app ko install kare.
3.Sign in kare aur enrolled course start kare.
Method – 4
Is method me aapko kisi bhi tarah ka software download karane ki jarurat nahi padegi, but aapko kai limitations milega, Jaise Couse Video, Quiz Test etc ka access nahi milega. Keval aapko Text wise study karana padega.
1.byjus.com par visit kare.
2.Menu bar me apna course select kare aur study start kare.
Yah rahi Byjus app ko pc me run karane ka four tarika, jinse aap pc par study kar sakte hai, jo aapke eye aur smartphone life ke liye great hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply