Central Board of Secondary Education (CBSE) Class 12th Result 2019 jald announce karane vala hai. Media ki mane to CBSE May ke last week me Intermediate Result declare kar sakti. Vaise generally CBSE May month me Board Exam result issue karta hai. Last year Board ne 26 May 2018 ko exam result release kiya tha.
Khair jaise hi board result date aur time announce karega, uski information aapko sabse pahle milegi, isliye aap page ko bookmark kar le aur push subscribe kar len. But result check karane ka tarika same rahega, jise ham aapko is post me two tarike batayenge, jisse aap Arts, Commerce and Science stream ke result bhi check kar sakenge.
CBSE Class 12 Result 2019 Check Kaise Kare
CBSE ne is sal 15 February se 3 April 2019 tak Intermediate exam organize kiye tha, jisme desh bhar ke lakho student ne participate kiya tha.
CBSE Class 12 Result 2019 Facts
Name Of Exam Authority | CBSE |
Name of Exam | CBSE Class 12th Exam 2019 |
Exam Date | 15 Feb – 3 April 2019 |
Result | May 2019 Expected |
Male Passed | TBA |
Female Passed | TBA |
Total Passed | TBA |
Topper | TBA |
CBSE Class 12 Result 2018 Facts
Last year CBSE ne class 12th ka result 29 May 2019 ko release kiya tha. Jisme 11 lakh student ne participate kiya. Jisme 83.01% student pass hone me safal rahe, jo 2017 ke mukabale 1% over result raha. Is baar bhi good result rahane ki ummid hai. Last year 12,737 student ne 95% se above marks earn kiye the.
Exam Date | 5 March-12 April 18 |
Result Date | 29 May 2019 |
Total Student | 11 Lakh |
Total Passed | 83.01% |
Boy Passed | 88.31% |
Girl Passed | 78.99% |
95% Above | 12737 |
90% Above | 72599 |
Passed in Compartment | 91818 |
Topper | Meghna Srivastava (99.80%) |
Yadi aap is sal ka exam result assume karana chahte hai to ye data aapki badi help kar sakti hai.
CBSE Class 12 Result Checking Method
Chahe result jari karane me kitne bhi time lag jaye but last year ki tarah is baar bhi result check karane ka tarika same rahane vala hai.
Method – 1
CBSE Class 12 ka result check karane ka best tarika CBSE ki official website par result check karana hai, because yahan authorize aur fastest result jan sakte hai. But dhyan rakhe heavy traffic ki vajah ki se problems aa sakti hai.
1.CBSE ki official website par visit kare.
2.Home page me Recent Announcements section me CBSE Class 12 Result 2019 link par click kare.
3.Open form me Roll number aur stream jaise details fill kar submit button hit kare.
4.Aapka scorecard show hoga, use download kar len.
Vaise aap digilocker se bhi Marksheet aur migration certificate download kar sakte hai.
Method -2
CBSE ne students ki sahuliyat ke liye Board Result ke liye special website bana rakha hai, jispar aap naa keval present exam result balki previous year results bhi check kar sakte hai.
1.CBSE ki result website par visit kare.
2.Website ki main page par Senior School Certificate Examination Result 2019 ka link milega, uspar click kare.
3.Open form me Roll number, School no aur Centre No enter kare.
4.Result show hote hi download kar len.
CBSE Class 12 Revaluation/ Rechecking
Every year lakho students is exam ko attend karte hai, jisme most student good marks pate hai, but yadi unme se lucky nahi hai to apne exam answer sheet ki revaluation karva sakte hai. Isliye aap CBSE ki official website par rechecking ke liye apply kar sakte hai. Jiske liye aapko kuch fixed fees pay karana hoga. Yadi number increase hota hai to Marksheet me bhi increase number milega.
CBSE Class 12 Compartmental Exam
Jaisa ki aap janate honge ki India `me CBSE Baord Exam Result sabse behatar hoti hai, lekin sabhi student lucky nahi hote hai but CBSE unhen apna one year save karane ka opportunity deta hai, jise compartmental exam kahate hai. Is exam ko main exam result declaration ke one month bad organize kiya jata hai. Jiske liye student online apply kar sakte hai aur new admit card issue kiya jayega.
In Last Word
Board exam attend karana tension wala work hota hai, lekin board result check karana bhi utna hi tensile work hota hai. Isliye hamane aapko result check karane ka two tarika bataya hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply