Kya aapne abhi tak Cloudflare Free SSL / HTTPS Certificate blog par install nahi kiya?
Yadi aap ise install karte hai to aapko sidhe-sidhe do fayade honge–
- Google bina https vale blogs ki tulana men aapko blog ko priority dega. Jisse aapki traffic badha sakti hai.
- Visitors aur blog ke bich men trust badhega, jisse aap jyada sales kar apni income badha sakenge.
Aaj hi mere dvara bataye steps ko follow karke ke cloudflare free SSL / HTTPS Certificate easily install kar sakte hai.
Table of Contents
Blog Par Kaise Cloudflare Free SSL / HTTPS Certificate Install Kare
Isse pahle summary me jane-
SSL / HTTPS Certificate kya hota hai?
SSL (Secure Socket Layer) ek web certificate hota hai, jisme aapka naam, domain name, company name, SSL expiry date hota hai. Jise ham HTTPS (Hyper Text Transfer Protocol Secure) ke naam se bhi janate hai.
Yah visitor aur blog ke bich encrypted link create karta hai, jiske through securely data transfer hota hai. Is encrypted link men koi hackers tank-jhank nahi kar sakta.
Cloudflare Ke SSL / HTTPS Certificate Kitane Types Ke Hote?
Cloudflare tin type ke SSL certificate available karta hai.
1.Flexible SSL – Yeh certificate visitor aur cloudflare ke bich encrypted link create karta hai. Lekin aapke server aur cloudflare ke bich encrypted link create nahi karta hai. Jisse hacker cloudflare aur server ke bich ke protocol men tank – jhank kar sakta hai.

2.Full SSL – Yeh certificate visitor-cloudflare aur cloudflare-server dono ke liye encrypted link create karta hai. Ise install karne ke liye server par kuch configuration karne padta hai. Per cloudflare ke point of view se ye SSL real authenticity ko show up nahi karta hai

3.Full SSL (Strict) – Yeh Full SSL ki tarah hi encrypted link create karta hai. Par ise install karne ke liye server par authorized SSL certificate install karna padta hai.

Full SSL Certificate me kisi certified authority ki sign nahi hoti hai, jabki Full SSL (Strict) Certificate me kisi certified authority ki sign jaruri hota hai.
Main aapko blog me Clouflare ki Free Flexible SSL Certificate kaise install karte hai, vo batayunga
Step 1.
Cloudflare free account setup kar le. (New Cloudflare Account Setup ke liye hamare tutorial ko padhe)
Step 2. SSL Enable Kare
1.Top bar me show ho rahe Crypto par click kare.
2.Ab SSL men Flexible option ko select kare.
Step 3. Ye Plugins Install Karen
Step 4. WP HTTPS/SSL Ki Setting Karen
1.Is plugin ki setting men jaye, iske liye wordpress ke left navigation me HTTPS par click karen.
2.Proxy ko auto karen. Fir save kar de.
3.Cloudflare Flexible SSL Plugin me koi setting nahi karni hai.
Step 5. Page Rule Setup Kare
1.Cloudflare Account men jaye.
2.Page rule par click karen.
Yadi aapka domain www.yourdomain.com jaisa hai to ye do page rule create kare.
http://www.yourdomain.com/* (ismen Always Use HTTPS options select kare)
http://yourdomain.com.com/* (ismen bhi Always Use HTTPS options chune)
dhyan de, domain se pahle http:// hi likhe.
Yadi aapka domain yourdomain.com jaisa hai to aapko ek hi page rule create karna hoga
http://yourdomain.com/* (select Always Use HTTPS)
Step 5 WP Dashboard Me URL Change Kare
1. Ab aap WP Dashboard> Setting> General Option me Jaye.
2.Wordpress Address (URL) aur Site Address (URL) ke http ko https me badal den.
Ab aap apne blog ko refresh karen. Congrats aapke blog par Cloudflare Free SSL/ HTTPS Certificate install ho gaya hai.
Iske baad aapko following points karna hoga
- Resubmit Your blog to Google and Bing (taki https version ke sath post ko index kar sake)
- Resubmit Sitemap
- Update Robots.txt
Hope, aapne successfully Cloudflare free SSL / HTTPS Certificate install kar liya hoga, yadi aap koi problem face karte hai to jarur share kare.
bhupendra kumar nagar says
nice information bro
rovin singh chauhan says
its perfect post. bahut he badiya article likha hai apne thank you.
ik bar hamare blog ko bhi visit jarur kare.
Ravi Kumar says
Thanks and sure, I had visited your blog.
Yahaira says
Thanks for the info!
dev says
sir maine ek hi page rule create kiya hai www ke sath dosra hua nhi par meri site par ssl lag gaya toh isse koi nuksaan toh nhi hai
Ravi Kumar says
aap sabhi browser me blog ko open kar check kare len.
Nehal says
sir flexible ke niche activate certificate ka option nhi aa raha hai par overview mein status active bata raha hai.kya kare sir
Ravi Kumar says
kya aapke blog URL ke aage Green Padlock show ho raha hai ?
dev says
sir mere WP blog me na koi post hai na koi page create hai maine abhi apna blog banaya hia toh mera ho jayega ssl https
Ravi Kumar says
Bilkul, aap SSL setup kar sakte hai.
Nidhi says
Very nice article and website
Ravi Kumar says
Thansk Nidhi
Ravi Kumar says
Thanks Nidhi
Hindi jankari 4u says
Its very interesting and informative post
Thanks for sharing keep up the Good work
Deepak sahu says
robot.txt kaise update karna hai? iske bare me jankari ni hai plz zara detail me batayenge aap
Ravi Kumar says
Hi Deepak Ji, aapne robots.txt kabhi set kiya hi nahi hai. Isliye aapko robots.txt change karane ki jarurat nahi
aap yahan robotx.txt dekh sakte hai http://onlinedailytips.com/robots.txt
pulkit says
wordpress install ki achi jankari di apne thanks for sharing this information