CSBC (central selection of bihar constable) aaj Bihar Police Result 2017 ka result release kar sakti hai. Vaise pahle kaha gaya tha ki CSBC 26 January 2018 ke bad kabhi bhi result announce kar sakti hai.
Par aisa naa ho saka hai. Iske piche reason bataya jar raha hai ki new examination pattern hone se kai candidates Roll Number jaise jaruri details sahi se fill up nahi kar sake.
Jiske karan CSBC ko us carefully milaane me bahut time lag raha hai.
Khair kuch media reports ke anusar aaj CSBC Bihar Police ka result announce kar sakti hai.
Aap CSBC ke official website par check kar sakti hai. Aap Kaise Eeasily CSBC Website par Bihar Police ka Result check kare sakenge, uske bare me aage batayunga.
CSBC Bihar Police Result Kaise Check Kare
Isse pahle is exam se related kuch stat ko jan lete hai-
Central Selection of Bihar Constable ne bihar police constable ke 9,900 vacant posts ki vacancy nikala tha, jise 31 July 2017 se 30 August 2017 ke bich apply kiye gaye.
Jismen takariban 11 lakh 29 hajar candidates ne apply kiye tha. Jiske liye October 2017 ke bich Admit Card issue kiya gaya tha. Jiska exam 15-22 october 2017 ke bich arrange ki gai thi. Ismen lagbhag 11 lakh candidates ne participate kiya tha.
Bihar Police Constable Ka Result Kaise Check Kare
CSBC website par bade aasani se apna result check kar sakte hai. jiske liye main easy steps bata raha hun.
1.CSBC ke official website csbc.bih.nic.in par visit kare.
2.Bihar Police 2017 Result link par click kare
3.Ab apna roll number enter aur ok kare.
Congrats! Ab aapka result screen par display ho jayaega.
Candidate Selection for Physical Exam
CSBC 9,900 posts ke liye 11 lakh candidates me se 50,000 candidates ko physical exam ke liye select karegi
Hope, aapne easily apna bihar police ka result find kar liya hoga.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp, Twitter & Google Plus par share kare.
Jina says
thanks ravi jaruri info share karne ke liye.
Ravi Kumar says
You’re welcome Jina.