Kya aap CBSE CTET (Central Teacher Eligibility Test) ke liye apply karana chahte hai ? to aapke liye good news hai ki CBSE ne CTET ke 11th edition ka notification issue kar diya hai.
Ab aap CTET ki official website par visit kar CTET ke liye apply kar sakte hai. Vaise kaise karenge ye sab, jise aage jante hai-
Table of Contents
CBCE CTET Ke Liye Apply Kaise Kare
CBSE ne CTET ki 11th edition ka notification two weeks late release kiya hai. Jise aap 1 august 2018 se apply kar sakte hai.
Report ke according CBSE CTET ki 11th edition ko September 2018 ko organize karegi, jisse passed candidate class 1-8 ke liye teacher ban sakte hai.
Is exam se passed candidates Schools of Central Government (KVS, NVS, Central Tibetan Schools, ) aur Schools of State Government me teacher banane ki eligibility rakhenge. Jiske liye CTET Certificate provide kiya jayega, jo issue date se 7 years tak liye valid hoga.
CTET Registration Kaise Kare
1.CTET ki official website par visit kare
2.Apply Online link par click kare.
3.Forum Fill up kare.
4.Scanned images & signature upload kare.
Note- Size of photograph 10 se 100 kb aur 3.5 x 4.5 cm dimension ki honi chahiye, vahi Signature image 3-30 kb aur 3.5×1.5 cm dimension ki ho.
5.e-challan/debit card/ credit card se examination fees pay kare.
6.Ab Print kar len.
Examination Fees
General/OBC:
Only Paper I or II: Rs 700
Both Papers I and II: Rs 1200
SC/ST/Differently-abled:
Only Paper I or II: Rs 350
Both Papers I and II: Rs 600
LANGUAGES FOR CTET 2018
CTET exam ko different languages me held kiya jata hai. Is bar ise 17 regional languages me organize kiya jayega, jinme pramukh English, Hindi, Assamese, Bangla, Garo, Gujarati, Kanada, Khasi, Malayalam, Manipuri, Marathi, Mizo, Nepali, Oriya, Punjabi, Sanskrit, Tamil, Telugu, Tibetan aur Urdu hai.
Yadi aapp is post ko helpful pate hai to Facebook, Whatsapp, Twitter aur Google Plus par share kare.
Leave a Reply