6 March 2018 ko Sri Lanka ke 70th freedom anniversary ke mauke par T-20 tri-series khela jayega. Is series me India, Sri Lanka aur Bangladesh ki T-20 cricket team khelengi. Jiska first match isi din is series ke favorite team Sri Lanka aur India ke bich khela jayega.
Is series me total seven matches khele jayenge, jisme sabhi teams 4-4 match khelengi aur point ke base par do teams final match khelegi. Jo 18 march 2018 ko hoga. Is tri series ke all matches Colombo me khela jayega.
- Live Cricket Match Score Kaise Dekhe [Best 8 App]
- Rishtey Cineplex Par Live Cricket Kaise Dekhe [Mobile Per] [Best 3 Ways]
Lekin in match ka live telecast na hi Star Sports Network par hoga aur naa hi Sony TV Network par. Aise me cricket fain Ind vs SL ka match kaha dekhen?
To main aapko bata deta hun, aap India Vs Sri Lanka ke T-20 match D Sport, DD Sports, Rishte Cineplex, Cineplex HD par dekh sakte hai.
Lekin in channels ke help se aap TV Screen par live cricket match dekh sakte hai, mobile par nahi. To chaliye jante hai,
Kaise Dekhe Mobile Par Live Cricket
1.JIO TV – Yadi aap Jio user hai to aapko chinta karane ki bilkul bhi jarurat nahi. Is app ki help se aap Mobile par easily live cricket match dekh sakte hai. Bas keval aapko D Sport, DD Sports, Rishte Cineplex, Cineplex HD TV Channel tune karna hoga.
2.D-Sport App – Aap D Sport App ko install kar mobile par live cricket dekh sakte hai. Lekin ye app keval iOS users ke liye available hai, android platform ke liye nahi. Ye behad hi surprised karane vali bat hai, D Sport ne abhi tak android user ke liye app launch nahi kiya hai. Hope ve coming time me jaldi hi android app ko bhi launch kar denge.
In Last Words
Aap Rishtey Cineplex, Cineplex HD, DD Sports aur D Sport Channel ke help se easily TV Screen par live cricket match dekh sakte hai. Par Mobile par dekhane ke liye aapko thoda compromise karana pad sakta hai.
Main aapko do best tarike bataye hai, jiski help se aap mobile phone par live cricket dekh sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter, Google Plus aur Whatsapp par share kare.
Leave a Reply