New year se pahle hi Delhi Government ne Delhi Senior Citizens ko Happy New Year ka gift de diya, jo Gift ek scheme ke form me hai, jise Delhi Mukhyamantri Teerth Yatra Scheme name diya gaya hai. is yojana ke dvara Delhi Government every year 77,000 senior citizens ko 5 teerth rout par yatra karavayegi, jiska total expenses ke liye government money spend karegi.
- Atal Pension Yojana (APY) Kya Hai & Kaise Apply Kare
- 29 दिसंबर के बाद बदल जाएगा हर चैनल की कीमत, जाने सभी चैनल की नई कीमत 2019
To yadi aap bhi is scheme ka benefit lena chahate hai to is post ko ant tak read kare –
Table of Contents
Delhi Mukhyamantri Teerth Yatra Yojana Kya Hai
DMTYY Delhi Government dvara start ki hui Senior Citizens ke liye ek initiative hai, jiske ke dvara Government Delhi ke every Constituency (Vidhansabha Area) se every year 1,100 senior citizens yani Delhi ke total 77,000 senior citizens ko Vaishno Devi, Haridwar, Amritsar, Ajmer, Agra jaise holy cities me travel karayengi. Is dauran Govt travel, food, hotel, security and medical ki puri arrangement karegi. Is scheme me Govt 5 free travel package offer karegi.
Is scheme ke liye Delhi Tourism and Transportation Development Corporation Ltd (DTTDC) ne Indian Railways and Catering Tourism Corporation (IRCTC), Ministry of Railways ke sath MoU sign kiya hai.
Eligibility
Is scheme ka benefit lena ke liye following eligibility ko pura karna hoga-
1.Senior citizen Delhi ka resident ho.
2.Senior citizen ki age 60 ya adhik ho.
3.Senior citizen koi Government worker ya Business men na raha ho.
4.Senior citizen ki income 3 lakh rupees per year se kam ho.
5.Every year har vidhansabh area se selected 1100 senior citizen hi free package ka benefit le sakenge, jiska selection lottery ke dvara kiya jayeyga.
Free Travel Packages
Is scheme dvara India ke holy cities Mathura, Agra, Vrindavan, Haridwar, Ajmer, Amritsar ka travel karavaya jayega, jiske ke liye Delhi Govt ne 5 free travel packages ko launch kiya hai-
1.Mathura-Agra-Vrindavan-Fatehpur Sikari (4 Days)
2.Haridwar-Rishikesh-Nilkanth (4 Days)
3.Pushkar-Ajmer (4 Day)
4.Amritsar-Anandpur Saheb (5 Day)
5.Vaishnav Devi (5 Day)
Facilities
Delhi Govt is scheme ki tahat vo sabhi facilities available karavayegi, jisse travel secure and comfortable ho sake-
1.Senior citizen ko 3 Day aur 2 Night ki free travelling karavai jayegi.
2.Free Food, Hotel & Insurance (1 lakh rupees) facility
3.Senior citizen (70+) dekh bhal ke liye 18+ man ya woman sath me le jaa sakte hai, jiska total expense Delhi Govt pay karegi.
4.Chuki one year me 77,000 senior citizen ko is scheme ka benefit milega, isliye lottery system dvara final beneficiary ka select kiya jayega.
5.Traveling ke liye 15 coach wali non-AC trains book hoga, jismen ek government doctor, paramedical staff board, ek unarmed security guard aur ek tour escort hoga.
6.Sabhi trains ki journey Safdarjung railway station se hogi.
Delhi Teerth Yatra Yojana Ke Liye Online Apply Kaise Kare
Yadi aap is scheme ka benefit lena chahate hai to aap following tarike se online apply kar sakte hai-
1.Delhi Govt ki website par visit kare.
2.Home page me Citizen’s Corner show hoga, usmen New User par click kare.
3.Open form me Voter Id ya Aadhar number aur Captach code enter kar login ho jaye.
4.Ab Next form me Personal details dena hoga-
-Name of the Applicant
-Gender
-Father Name
-Mother Name
-Spouse Name
-Date of Birth
-House No
-Street Name/ No
-Sub Lacality
-Whether Residing in Delhi or Other State
-Residential Locality
-Sub Division
-District
-State
-Country
-Pincode
-Permanent Address
-Email Address
-Mobile No
Ye sab fill karane ke bad submit kar den. Iske bad department apki application check karega, eligible paye gaye to lottery system se aapko benefit mil sakta hai.
- सुकन्या समृद्धि योजना क्या है ? कैसे Rs1000 से 6 लाख कमाये
- PM Mudra Scheme Ke Tahat Loan Ke Liye Apply Kaise Kare
If you find the post helpful, please share on Facebook, Twitter and Whatsapp.
Leave a Reply