Yadi aapne kabhi share market ya share ke bare me charcha kiye honge to aapne jarur Demat Account ke bare me suna hoga. Tab aapke man ye question jarur aaye honge –
Demat Accout Kya Hai ?
Ise Kaise Open Kar Sakte Hai?
Ise Kis Work Ke Liye Use Kiya Jata Hai?
Iske Kya Benefit Hai ?
Aaj ham aise hi question ke answer janenge, chaliye start karte hai.
Demat Account Kya Hai
Purane jamane me jab koi person kisi company ka share buy karta tha. Tab uske badale use kuch document milata tha, jo us share buy karane ka proof hota tha, jise paper share / share certificate aur is system ko entry book system kaha jata tha.
Par is tarike se share sell-buy karana ek complex process hota tha. Jisme time aur energy khub waste hoti thi. Kabhi-kabhi share late sale hone par share holder ko loss bhi ho jata tha.
Iske alava aur bhi reasons the, jiske karana is system se share sell buy karana ghate ka sauda tha-
1.Share paper winter & rainy season me aur chhote jiv se spoil ho jate the.
2.Inka chori aur destroy hone ki bahut jyada possibilitiy bani rahti thi.
3.Paper jyada purana hone par uske verification me bhi problem aata tha.
4.Share transfer ke liye stamp duty fees lagata tha, jo jyada tha.
Inhi karano se jab share market sector me technology aayee to jaldi hi share ko rakhane ke liye demat account ke concept ko create kiya gaya. Jo banking account ki tarah work karta hai.
Demat Account ek electronic form hai, jisme share ko dematerialized (paperless) kar rakha jata hai.
Sidhe words me kahe to shares ko demat account me electronic form me rakha jata hai. Jise aap chhu aur dekh nahi sakte, use price aur quantity me calculate kar sakte hai.
Demat Account Kaise Open Kar Sakte Hai ?
Individual demat account personal bank account open karane jaisa hai. Ye process two step me pura ho jata hai. Jabki Institution demat account open karane me bahut se formalities pura karna padta hai, jo ek long process hai.
Ham keval individual demat account opening process ko janenge. Individual demat account open karane ke liye DP (Depository Participant) ya Broker se contact karana hoga. Tab vo aapko demat account opening booklet dega, jise fill up kare aur sath main ye document attach kare.
- Identity proof (Aadhar Card, Voters id, Pan card)
- Address proof (Aadhar Card, Voters id, Ration card, Post paid mobile bill)
- Photographs (2 or more, depends)
- PAN Card (Mandatory)
- Bank account details (DEMAT account se link karane ke liye)
Is process ke liye DP ya broker kai tarah ke fees charge karte hai, jo totally Rs 500 ya Rs 600 ho sakta hai.
Aap demat account ko online aur offline dono methods se open kar sakte hai.
Demat Account Kaun Open Karta Hai ?
India me demat account open karane ke liye do government institutions NSDL (National Securities Depository Limited) aur CDSL (Central Securities Depository Limited) hai. Jiske 500 se adhik agent hai, jinhen DP ya Depository Participants kaha jata hai.
Iske alava demat account open karane ke liye private institution bhi work karti hai. Jisme kuch Sharekhan, India Infoline etc hai.
Ab aap chahe SBI, PNB, HDFC, ICICI IDBI, Kotak, Axis, Zerodha, jaise bank me bhi demat account open kar skate hai.
Demat Account Me Kaunse-Kaunse Charges Lagte Hai
Demat account open karne se lekar manage karne tak kai tarah ke fees lagate hai, jinme pramukh hai –
1.Opening Account Fees – Account open karte time ye fees charge kiya jata hai, jo approx. Rs300 hai.
2.Annual Management Fees – Account open hone ke bad company account ko properly run karavane ke liye manage karti hai. jiske liye Annual management fees leti hai. Yah fees year me ek bar hi charge kiya jata hai, jo Rs300- Rs500 hota hai.
3.Custodian Fees – Company ye fees share ke number ke base par charge karti hai. Jise vo ek sath ya monthly charge kar sakti hai. Yah charge Rs 0.5 – Rs 1 per share lagata hai.
4.Transaction Fees – Demat account se hone vale share buy sale transaction par yah fees charge kiya jata hai.
Yah charge number of share ya price share par basis ho sakta hai.
Demat Account Se Transaction Kaise Kare
Demat Account me transaction karana net banking ki tarah hai. Jise aap internet connected laptop/pc aur mobile se kar sakte hai.
Demat account access karane ke liye password ki jarurat hoti hai, jo hame demat account open karane ke time me set karana hota hai aur koi share deal karane ke liye transaction password ki jarurat padti hai.
Transaction password share ko secure karti hai.
Demat Account Ke Benefits
Demat account open ka sabse bada benefit hai ki aap easily share trading kar sakte hai. Iske liye naa apko kisi specific place aur naa hi specific time ki jarurat padti hai. Iske alava bhi kai fayade hai, jise janate hai –
1.Paper share ke compare electronic share jyada safe hoti hai.
2.Every transaction par stamp duty fees nahi lagta hai, keval transaction fees lagta hai. Jo behad kam hota hai.
3.Kisi ko share easily transfer kar sakte hai.
4.Fastest time me share dealing kar, high profit earn kar sakte hai.
5.Aapke demat account me bonus share aur dividend automatically credit ho jayega.
In Last Word
Aaj ke time share trading karane ke liye demat account jaruri hai. Aap chahe 500 paper share buy kar sakte hai. But aap achchi tarah se janate hai ki paper transaction me kitna time aur energy waste hoti hai.
Demat account open karana behad simple hai, jise aap bank account ki tarah kai demat account open kar sakte hai. But ek institution me 3 account hi open kar sakte hai.
Aap apne demat account ko dusre person ko transfer nahi kar sakte, keval share transfer kar sakte hai.
Kya aap share trading karna chahte hai to main aapko suggest karunga ki trusted financial adviser ki advice le.
Yadi aap is post helpful pate hai to facebook, google plus aur twitter par share kare aur comment karana na bhule.
Leave a Reply