Indian people technology ko apane me behad dhime rahe hai. Iske piche reason dete hai ki technology jobs chhin rahi hai. Yah baat sahi hai, lekin technology job bhi de rahi hai. Ye bhi sach hai.
Yadi aap unemployed hai to E-Rickshaw buy kar easily money earn karana start kar sakate hai. E-Rickshaw Technology ka admirable product hai, jo nature ko nuksan bhi nahi pahunchati hai aur logon ki life set kar rahi hai.
Shayad aap janate honge ki E-rickshaw ke liye koi big capital ki jarurat nahi padati hai. But aapke pas vo bhi nahi hai to ham aapko is post me batyenge –
E-Rickshaw Loan Par Kaise Buy Kare [Best 5 Tarika]
Ham aapko bata de ki PNB ko chhodkar kisi bhi bank ne E-Rickshaw ke liye customized loan product launch nahi kiya hai, jisse apko PNB ke alava E-Rickshaw ke liye loan lena mushkil ho sakta hai. But don’t worry, ham kai tarike se batayenge, jisse aap apne manchaha bank se loan le sakenge-
E-Rickshaw Loan Ke Liye Jaruri Document
Is tarah ke liye loan ke liye general loan ki tarah documents ki jarurat padegi, jise ham aage jan lete hai-
1.Aadhar Card
2.Pan Card
3.Driving License
4.E Rickshaw Quotation
5.Advance Payment Receipt
6.Local Authority Permission Letter
Loan Lene Ka Tarika
#1.Mudra Loan
– Indian Government ne 8 april 2015 ko chhote businessman ko dhyan me rakhkar is scheme ko launch kiya tha. Jisse businessmen cheap rate par loan le sakte hai. Vaise is scheme me diye jane vale loan ki khasiyat general loan se behad alag hai.
1.No Processing Charge – Sabhi banks general loan pass karane ke liye processing fees lete hai, but is scheme ki tahat loan lene koi extra charge nahi dega, jo ise sasta banata hai.
2.No Guarantee – Yadi is scheme ka Shishu loan lete hai to aapko kisi bhi tarah ki koi guarantee nahi denga hoga, Keval aapko apny KYC full fil karna hoga.
3.Flexible Repayment of Loan – Loan lene ke bad loan taker ko loan amount sahi time par chukane ki badi tension rahti hai. But ye scheme ko laon chukane ki flexibility deta hai. Aap loan chukane ke liye extra time le sakate hai.
4.Mudra Card – Is scheme dvara loan approve hone ke bad bank aapko Debit card deta hai, jisse aap loan amount withdraw kar sakte hai. But ye ATM se withdrawal amount keval 10% hi ho sakta hai.
Mudra Loan Kaise Le
1.Apne hisab se bank ka chunav kare.
2.Mudra Loan Application form fill kare
3.Form ke sath document attach kare aur submit kar de.
4.Application approve hone ke bad loan amount aur Mudra card jari kar diya jayega.
Jyada details ke liye read kare >> PM Mudra Scheme Ke Tahat Loan Ke Liye Apply Kaise Kare
#2.Gold Loan
Yadi aapke pas gold hai, samajho aapka kaam ho gaya. But use sell nahi karana hai, otherwise gold buy karna mushkil ho jayega. Aap use loan ke liye try kar sakte hai. India me bahut se Bank aur Financial institutions gold dete hai. jisme pramukh hai –
1.SBI Gold Loan
2.ICICI Gold Loan
3.Muthoot Finance
4.Manappuram Finance LTD
5.Axis Bank Gold Loan
Gold Loan lene behad easy hai, jiski processing time minimum 1 hour hai. Vahi jyada document ki bhi jarurat nahi padegi.
#3.PNB Green Ride
India ki national bank hone ke naate PNB ne E-Rickshaw buy karane valo ke liye ye shandar loan product laya hai, jisme aapko naa keval new vehicle ke liye hi finance milega, balki one year ke bad battery ke liye finance milega.
PNB Green Ride Loan Kaise Le
PNB ne is loan ke liye eligibility set kar rakhe hai, jise pura karte hai to loan le sakte hai –
-Aapke pas driving license ho
-E-Rickshaw ke liye ki gai advance payment slip ho,
Note- PNB aapko Onroad price ka 80% ya invoice cost ka 85% hi loan dega, baki amount aapko arrange karana hoga. Isi tarah aap one ya two year bad battery replacement ka 85% amount bank se le sakte hai.
-Aapke pas vehicle chalane ke liye local authority se permission mila ho.
Ab aap document ke sath form fill kare aur jama kara den.
#4.LIC Loan
Yadi aap LiC ki policy le rakhe hai to aap uske surrender value ke 90% ya paid up amount ke 85% jitna loan le sakte hai. LIC ki loan processing free and easy hai, jiske liye aap ghar baithe online apply kar sakte hai. Vahi aapko is loan ko pay karne ke liye flexibility bhi milegi.
#5. Loan on FD
FD par loan lena popular tarika hai, jiske liye aapko apne bank se contact karna hoga. LIC ki tarah is loan ke liye aapko koi guarantee ki jarurat nahi padegi, jald hi loan processing ho jayega.
Conclusion
Friend, yadi aap technology se love karte hai to aap unemployed nahi rah sakte hai. Aap upar bataye gaye tarike se aaj loan ke liye apply kare aur apne life aur future ko design karana shuru kare.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebook, Twitter and Whatsapp par share kare.
nikhlesh roy says
nice post