Jarur India ki national language hindi hai, lekin lagabhag sabhi official work English me hote hai.
Yahan tak ki,
Society me alag pahchan banana ho,
Office me promotion pana ho,
Friendsgroup me apni dhaak jamana ho,
Koi new modern Business setup karana ho,
To English aana behad jaruri hai, kam se Fluent English bolana aana chahiye.
Chaliye aaj ham batayenge
Table of Contents
English Kaise Sikhe
Fluent English sikhane ke liye ye tips follow kare
1.Long English Words Ko Tukadon Men Ucharan Kare
Main aapko suggest karunga ki shuruat me long English words ko avoid kare. But long English words ko avoid bhi nahi kiya ja sakta hai. Isliye ise bad me try kare.
Long English words ko yaad rakhane se pahle usaka pronounce karana hi behad mushkil hota hai.
Isliye ye kam tukado me karenge to bahut saral hoga.
Jaise – Circumstances
Tukada – Circu+ms+tan+ces
Pronounce – Sark+ms+ten+sej
2.Phrase Ko Yaad Rakhe
Aap jane le English ratu language hai. Isme hindi ki tarah bolane ke liye words banane nahi padte hai.
English me spelling aur phrase certain hote hai. Ye phrase kai words se milkar bane hote hai.
Ye phrase itne powerful hote hai to ki yadi aap inhe clear kar lete to aap basic English bolana turant sikh sakte hai.
Kuch phrase ke example –
1.Excume me.
2.Thanks so much.
3.I really appreciate…
4.I am sorry.
5.What do you think?
6.never mind
7.watch out.
3. Grammar Me Na Uljhe
Jaise main pahle hi kaha English ratu language hai. Isliye yadi aap phrase ko clear kar lete hai to basically fluent English bol sakte hai.
Vaise Grammar ke taur par Tense, Would, Should, ka knowledge jaruri hai.
4.Tongue Twister Ka Practice Kare
Actually ye tongue twister kisi language ke liye jibh ki exercise karte hai. Aise me English sikh rahe hai to jibh ki exercise jaruri hai.
Example
1.Betty Botter bought some butter
But she said the butter’s bitter
If I put it in my batter, it will make my batter bitter
But a bit of better butter will make my batter better
So ‘twas better Betty Botter bought a bit of better butter
2.Peter Piper picked a peck of pickled peppers
A peck of pickled peppers Peter Piper picked
If Peter Piper picked a peck of pickled peppers
Where’s the peck of pickled peppers Peter Piper picked?
5.Popular English Songs Sune aur Sing Kare
English songs me popular phrase aur words ka use hota hai aur sunane se chije jaldi yad hoti hai. Isliye pahle us popular songs ka google me lyrics me find kare. Fir sath-sath gaye. Tab dekho aapko khub maja aayega.
Vaise main aapko suggest karunga ki aap koi Indian singer ki English songs par practice kare. Result jaldi achcha mil sakta hai.
6.Subtitle Ke Sath English Movies Dekhe
Movies hamare aur logo ki life ko show karti hai. Yani English movie se kafi had tak life se judi baton ko English me jan sakte hai. Isliye subtitle ke sath English movie dekhana start kar de.
Vaise Kids English Movie se easy English sikh sakte hai, because kid movie ki story school, home and family se related hoti hai.
7.English Newspaper Read Kare
Latest English janana hoto to English newspaper se behatar tarika nahi sujhata. English newspaper me English News sabse easy write ki jati hai. taki sabh level ke English reader padh aur samjh sake.
Yadi aap new hai to English newspaper me aise khabar ko padhe, jo aapki favorite ya pahle se jante ho.
8.English Blog Padhe
Blogger easy English ka use karte hai, taki unke sabhi readers easily read kar sake. Aise me aapke liye English blog ki help lena English sikhne ke liye behatar option ho sakta hai.
9.Friends Ke Sath Practice Kare
Kisi bhi art ya passion ke liye practice behad hi jaruri hai, jo na keval yad rakhane me madad karti hai, balki usme improvement bhi lati hai.
Isliye friends ke sath English practice kare. Yadi friends ke samane jhijhakte hai to shuruat me aaine ke samne practice kar sakte hai.
Par bad me doston ke sath jarur kare.
10.English Books Padhe
Books ko gyan ki ganga mana jata hai. Isliye English learn ke liye English books padhna jaruri hai. aap apni ruchi ke ansuar aise books padh sakte hai, jo love story, success story ya ghost story ki ho.
Ant Me
Friends, English angrejo ki language hai, hamari nahi. Isliye yadi aap teji nahi sikh pa rahe hai to aapki galati nahi hai. Bas aapko ise time dena hoga.
Matalab dhire hi sahi but regular English learn karte rahana jaruri hai aur aap tamam tips ki helps se English sikh jayenge.
Yadi aap is post ko pasand karte hai to jarur share and comment kare
Hajari prasad says
Kaphi achhe tips btaye hai aapne, ager inko dhyan me rkha jaye to kaphi hadd tak english bolne me hone wali samsya kam ho skti hai.
Thanks
Ravi Kumar says
Thanks Hajari ji