Pahle Indian Government ne PAN card aur Mobile number ko aadhar card se link karna compulsory kar diya tha, lekin ab EPF Account ko bhi aadhar card se link karna jaruri kar diya hai.
Isliye aap jitna jaldi ho sake to aap apne EPF Account ko aadhar card se link karva le.
Lekin iske liye aapke Aadhar details EPF Account se same hone chahiye, otherwise linking process successfully nahi hoga.
Aap offline EPF account ke UAN name, gender aur date of birth correction kar sakte hai. lekin ismen kafi time lag sakta hai. Isliye online tarika use karana samajhdari hai.
To aaiye jante hai,
Kaise EPF UAN Name, Date of birth & Gender Me Correction Kare
Main aapko jo method batane jaa rahun, usse aap ek sath UAN name, date of birth & gender me correction kar sakte hai. ab aap steps follow kare.
1.UAN Member Portal ki website ko open kare.
2.Ab Apna UAN no aur password dalkar login ho jaye.
3.Menu bar me Manage par click kare aur Modify Basic Details par click kare
4.Open Next window me aapka name, date of birth and gender show hoga, jise aap aadhar card ke details ke according update kar de.
5.Ab ye data aapke employer ko send kar diya jayega.
6.aap correction ki status Pending Request section me dekh sakte hai.
Jab aapka employer update ko approve kar dege to aapka EPF account me sabhi correction ho jayega.
- Aadhar & Bank Account Linking Status Kaise Check Kare [Best 3 Ways]
- Bank Account Ko Aadhar Card Se Link Kaise Kare
- Mobile Number Ko Aadhar Card Se Link Kaise Kare [Best 3 Tarika]
In Last Word
Apne EPF account ko aadhar card se link karvana jaruri hai, aise me aapka EPF details aur aadhar card details same hone chahiye. Yadi same nahi hai to uske liye maine sabse easy tarika bataya hai, jise follow karate hue aap only one minute me kar sakte hai.
Hope is post aapko help milegi, jisse aapne easily apne EPF UAN Number, Gender aur Date of Birth ko change kar liya hoga.
Yadi aap is post ko pasand karte hai to Facebook, Whatsapp, Twitter and Google Plus par share kare.
nikunj says
pending request ko kese approved kare
Ravi Kumar says
Wait kare ya helpline par call kare
virendra says
this is only half process
after your employer approve your request it goes to field office and they simply reject your request static document not received. 5 times I have sent document proof and gone through this process . this online process is not making any output. offline hi karwana padega
Ravi Kumar says
India me keval 4G chuki hai, Par aaj bhi Government Bodies paperwork par believe karti hai. Online Mechanism durust nahi hai.