FeedBurner | Blog par traffic pana every blogger ka main target hota hai. Undoubted aap bhi traffic ko lekar serious honge. Aur aap achcha traffic bhi paa rahe honge.
But long term tak apne visitor ko connected rakhane ke liye aapne kya kiya?
If aapne is bare me kuch bhi nahi socha hai to aap kai quality visitors lost kar rahe hai, jo aapke blog ke long term future ke liye big barrier ban sakta hai.
Isliye aaj hi try kare Google ka Free Feedburner Service,
Table of Contents
Feedburner Kya Hai ?
Feedburner Google ka vah free service hai, jiske dvara automatically new post ki information ek certain time par subscribers ke inbox me send kiya jata hai. Jisse visitor us post ko read karane ke liye blog par revisit karta hai, jise regular visitor kaha jata hai.
Feedburner Se Kya Kya Benefits Hai ?
Feedburner jarur free hai, par iske fayade kai hai, jo hai –
1.Frequent visitors ko regular visitors me convert karta hai, jisse blog ki traffic stable bani rahti hai aur aap kai quality visitors pate hai. Jo kisi bhi blog ki secure future ke liye required hai.
2.Feedburner Stats report ke base par aap apne posts ki engagement aur quality ko easily find kar sakte hai. Jiske anusar aap apne writing skill improve kar sakte hai.
3.Feedburner Stats report se new post publish karane ki hot time ko bhi easily find kar sakte hai. Jisse aap post ko publish karne ke sath hi better engagement, sharings and sales paa sakte hai.
4.Feedburner blog feed ke liye social sharing bhi allow karta hai. Jisse ek tarah se aapke post ka promotion bhi ho jata hai.
Feedburner Account Kaise Setup Kare ?
Feedburner Account ke liye aapko gmail account ki jaurat hogi. Pahle gmail account create kar le. Fir following steps se easily feedburner account set up kar sakte hai –
Step 1
Feedburner.google.com per visit kare aur blog url ya blog feed url enter kare. Aur next button par click kare.

Step 2
Feed option ko yuhi hi rahane de aur next kare.
Step 3
Ab Feed Title aur Feed Address set kare.

Congrats! Aapka feedburner feed ready hai.

Iske bad Optimize aur Publicize section me kuch important setting karna hoga.
Feed Ko Browser Friendly Kaise Kare Aur Sharing Options Kaise Add Kare?
Iske bad Next ke bajay Skip directly to feed management par click kare. Aur Optimize section me aa jaye.

Ensure kare, Browser Friendly, Smart Feed aur FeedFlare active ho, if active naa ho to active kare. Ye tino service aapke feed ko users aur all browser ke liye fully compatible banayega aur feed me sharing options bhi add karega.
Email Subscription Option Ko Kaise Activate Kare

1.Publicize section me aa jaye.
2.Email Subscriptions me jaye aur ise active kare.
3.Ab Email Subscription ke code ko copy kare aur apne blog par paste kare.
Delivery Time Kaise Change Kare ?
1.Email Subscriptions ke niche Delivery Options ko select kare.
2.Timezone me GMT+5:30 ko chune aur Delivery time apne hisab se select kare.
Feed Ko Automatically Kaise Twitter Per Publish Kare?
Socialize subsection me jaye aur apne kisi twitter account ko connect kar de, jisse new post publish hone par feedburner automatically use as a tweet twitter par post kar dega.
Feed Ko SEO Ke Liye Noindex Kaise Kare ?

Ab Noindex subsection me jaye aur dono hi options ko select kare aur Active kar de. Jisse apka koi bhi feed search engines me index nahi hoga, jisse aapke blog ko seo se related problems nahi hogi.
Subscribers Ki Numbers Kaise Check Kare?
Kitne visitors ne aapko blog feed ko subscribe kiya hai, ye janane ke liye Analyze section me aa jaye aur subscribers par click kare.
Hope, aapne successfully feedburner account setup kar liya hoga.
Yadi aap koi problem face kar rahe hai to jarur share kare. Aur aap is post ko helpful pate hai to jarur share kare.
Nikhil says
ज़्यादातर ब्लॉगर अब Feedburner का उपयोग नहीं करते, में भी नहीं कर रहा था, मेरा ब्लॉग 2 साल तक रेंकिंग में नहीं आ पाया लेकिन मेने जैसे ही फीड बर्नर का उपयोग किया ये १ महीने में ही अच्छे से रेंक होना चालू हो गया
Ravi Kumar says
Great, Aise hi lage raho ho.
Mohammad Mustufa says
email code ko kanha pase karein
Ravi Kumar says
Footer widget ya sidebar widget me
Vijay says
Bahut acchi post hai. Sabhi bate details me samjai hai. Aapne thanks
Ravi Kumar says
Welcome Vijay
Shailendra Kumar says
Bro very helpful post for me thanx for this
pawan says
bro mere blog ki post feedburner par show nhi ho rhi, pehle 250 words feedburner par length thi fir mene full post show kiya uske baad post show nhi ho rahi. pls help
Ravi Kumar says
Hi Pawan
aapka ye error hai
“The feed does not have subscriptions by email enabled”
aapne by chance email subscription ko band kar diya hai use enable karen.
Pawan says
mera email subsription enable hai. mene abhi check kiya. Publicize >> Email Subscription >> This service is active..
Ravi Kumar says
Feed Url ko delete kar, dubara se Feed url create aur email subscription ko enable karen.