Time jitni apni speed se bitata ja raha hai, usse kai guna teji se bitcoin ki price badh rahi hai. ab bitcion ki price 10 lakh ko paar kar chuki hai.
(Jab main is post ko likh raha tha, tab 1 BTC=10 Lakh tha, jab post complete kiya to 1BTC=11 Lakh ho gaya. OMG!!)
Aise me jinhone bitcoin me invest kar diya tha, unke liye bitcoin sone ki murgi sabit ho rahi hai.
Par jo vykti abhi tak nahi bitcoin buy nahi kar paye to ve free me bitcoin earn kar sakte hai.
Bilkul aapne sahi suna….
Internet par bahut se website available hai jo game khelane jaise simple task karane ke bitcoins dete hai.
Aaj main aapko aise kuch chuninda website ke bare me bataunga, jahan par free bitcoin earn kar sakte hai.
Free Bitcoin Kaise Kamaye
1.FreeBitcoin
Free bitcoin earn karane ke liye yah great website hai. Webarchive ke anusar is website ko 2 November 2012 me found kiya gaya tha. Tab se is website se 10 lakh users se jud chuke hai.
Yah website duniya men kitani popular hai, iski alexa rank se hi pata chal jayega.
Is website ki Global Alexa rank 1120 aur India me 750 hai. aur dusre countries ke compare is website ke sabse jyada visitors Indian hai, jo 10.6% hai.
Freebitcoin Se Kaise Free Bitcoin Earn Kare
1.Sabse pahle freebitcoin par account banana hoga. (password strong banaye)
2.ab open hue page ko scroll kare. Aapko captcha dikhekha. Bas use aap enter kare.

3.yadi aapka number lucky number se match ho jata hai to aap achche satoshi (bitcoin ka small part) jit sakte hai. Yadi na bhi aaye to bhi aapko kuch satoshi reward ke rup me mil jayega.
Aise mauke aapko har ghante me ek bar milega.
4.Jab aapke pas kuch balanace ho jaye to aap jyada earning ke liye betting kar sakte hai, jise Multiply BTC par click kar play kar sakte hai.

Aapka balance manu bar ke right side me show hoga.

Freebitcoin Se Kaise Bitcoin E-wallet me Transfer Kare
Freebitcoin se bitcoin transfer karne liye bitcoin wallet ki jarurat hogi, jise aap Zebpay par bana sakte hai.
Freebitcoin Se Bitcoin Ko Tin Tarike Se Transfer Kar Sakte Hai.
Aapko page par Withdraw button dikhega, uspar click kare. Aapko tin tarike se milega.
1.Auto Withdrawal – Is tarah ke withdrawal free aur every Sunday ko hota hai. Is tarike me Freebitcoin automatically aapke bitcoin address par bitcoin transfer kar dega. Aap bitcoin address profile me change kar sakte hai.
2.Slow Withdrawal – Yah withdrawal 6-24 hours me complete ho jate hai. Par iske 0.00011768 BTC charges lagte hai.
3.Instant Withdrawal – Instant withdrawal lagabhag 15 minutes me pura ho jata hai. Par iske charge jyada hai, jo hai 0.00115163 BTC hai.
#2.QoinPro.com
Freebitco.in ke bad QoinPro.com legit website lagta hai. Is website ko 28 January 2014 me banaya gaya tha. Iski Global Alexa rank 16 K hai.
Yah website apni makasad ko lekar sabse unique lagti hai. because ye website people ko bitcoin ko bare me educate karana chahti hai.
Jiske liye vo apne member ko pay karti hai.
QoinPro.com Se Kaise Kamaye
Qoinpro.com se bitcoin earn karane ke liye aapko apna social profile aur blog ko use karana hoga.
Aap jaise hi Qoinpro.com se sign up karenge, tab aapko ek referrel link milega. Jise aap blog aur social sites share kar sakte hai aur koi visitor aapke link use karte hue Qoinpro.com ka member banata hai to aapko free bitcon milega.
QoinPro.com Se Bitcoin Kaise Transfer Kare
QoinPro.com ke wallet me jakar bitcon transfer kar sakte hai. Yah processing 24 hours me complete ho jayega.
Hope, aap achche bitcoin earn karenge!
Ye post achcha lage to jarur share kare aur question ko hoto comment kare.
Rahul Tiwari says
Ravi Bhai, Waise to aapka ye post wakai me bahut achcha hai or jo free bitcoin kamana chahte hain unke liye achcha bhi hai.. Lekin mai apni taraf se aapke sabhi readers ko ek salah dena chahuga ki vo log Zebpay me account bana lein or waha 2000-3000 amount deposit kar ke k bitcoin purchase karein…or uske baad lagatar trading karein….Rate badhe to sell kar dein or kam hote hi Buy kar lein…Isse kam samay me hi achcha khasa bitcoin mil jayega….
Maine bhi sirf 5000 rs se start kiya tha or lagatar trading kar ke bahut achcha amount bana liya… (Kitna banaya ye publicly nahi bata sakta 😛 )
Ravi Kumar says
Great advice.