Gmail Google se related products ko access karne ki key hai. Yadi ye aapke pas nahi hai to Google ke product jaise Online Word, Excel, Drive, Google Plus, Youtube ko use nahi kar sakte.
Table of Contents
Gmail Kya Hai?
Basically Gmail Account ek e-mailing service hai, jiski help se kisi bhi vande ko e-mail ke rup men apna message send kar sakte hai aur dusre vykti se receive kar sakte hai.
Bas iske liye hame virtual unique address banana hota hai, jise Email Address (Email ID) kaha jata hai. Aur Gmail se related address ko Gmail Address (Gmail ID) kaha jata hai.
Gmail ko Google ne 1 april 2004 ko launch kiya tha, jab ye 1 GB data storage ki free facility deta tha, jise ab badhakar 15GB kar diya gaya hai
Aur Gmail ki help se 50MB ke data receive aur 25MB tak ke data ko send kar sakte hai.
Ab janate hai-
Gmail Account Kaise banaye
(aap video bhi dekh sakte hai )
Step 1
1.G mail.com par jaye
2.Create An Account par click kare.

Step 2
Ab ek form open hoga. Is tarah ki-

Is form ko is tarah fill up karna hai-
1.Name – Name ke first section me apna first name likhe aur last section me apna surname likhe.
Yadi aapka middle name bhi hai to first name ke sath likh de.
Is tarah RajKumar(First Name) Sharma(Last Name)
2.Choose your username – Username real me aapka email address hai. Isme jaise rajkumar dale, yadi not available bata raha hai to apne pasandid number apne naam ke last me jod de.
rajkumar123
3.Create a password– yahan apne pasand se kuch bhi dale, par dhyan rahe-
-date of birth, date of anniversary naa dale
-kisi friend ya relatives ka naam na dale
Aisa me isliye kah raha hun, koi bhi aapko password ko aasani se guess kar sakta hai. Isliye hamen passward me special character (@#$%&^!) jarur dalana chahiye.
4.Confirm your passward – apne jo pahle password set kiya, vahin enter kar de.
5.Birthday – Is section apna actual date of birth dale. Sahi hi dale varna bad me problem ho sakti hai.
6.Gender – Apna gender select kare.
7.Mobile Phone – Mobile no- dale, jispar account banana chahte hai.
8.Your Current Email Address – Yadi aapka koi purana email address hai to enter kare, nahi hai to empty rahane de.
9.Location – County me India select kare.
10.Ab next step par click karen.
Iske bad Privacy and Term ka Window open hoga. Use dhyan se read kare aur I AGREE par click kare.
Step3
Ab aapko apna account verify karana hai.

1.Phone number me apna number dale
2.Text Message (SMS) ya Voice Call Select kare.
Suvidha ke anusar SMS vala option select kare aur continue kare.
Step4
Kuch seconds ke bad aapke number par Google ek verification code send karega. Yadi aap nahi paa rahe hai, to atleast 15 minute tak wait kare aur dubara try kare.
Yadi fir bhi nahi ho raha hai to dusre mobile number se try kare.
Step5
Ab is window me verification code enter kare aur continue kare.

Congrats !! ab aapka gmail account ban chukka hai. Keval continue gmail par click kare aur gmail account me jaye.
E-mail Kaise Send Kare-
Gmail se mail send karane ke liye ye steps follow kare
1.Left Side me Compose par click kare

2.Ab ek box open hoga, ismen –

-To ke samane jise mail send karana chahte hai, uski e-mail id likhe.
-Subject me subject likhe
-Message Body me main message likhe.
-Photo ya koi file send karana hai to use attach kare.
-Last men Send button par click kare.
Pro-Tips
1.Starred Section me Starred kiye mail milega.
2.Sent Mail Section me sent mail ke details milega.
3.Drafts Section me aapko saved mail milenga.
4.Spam Section me aap spam mail milega.
5.Trash Section me delete kiye gaye mail milega.
Last jab aapka all work pura ho jaye to sign out hona naa bhule.

Iske liye top right corner me apne name ke pahle character par click kare aur sign out ho jaye.
- Internet Se Paise Kamane Ke 10 Best Tarike
- Google Ke 10 Best Interesting Secrets
Hope, aapne successfully apna Gmail Account create kar liya hoga, yadi aap koi problem face karte hai, mujhe comment ke rup me puche.
Aur yadi aap is post ko helpful pate hai to apne friends jarur share kare.
Leave a Reply