Ham sabhi achchi tarah se janate hai ki data kitana expansive hai, even Jio ke aa jane ke bad bhi data less ki chinta satati rahti hai.
Aksar ye sab mobile phones ke background me run kar rahe apps ki vajah se hota hai. Jo actually hame dikhate nahi hai, but hamare data ko finish kar jate hai. Jiske chalate Jio ke jamane me bhi data less ki tension lagi rahti hai.
Isi ke liye Google ne 30 november 2017 ko Google Datally App launch kiya hai. Jo behad hi powerful app hai, jo data saving karane me aapki help kar sakta hai.
Is app ko launch karane se pahle Google ne Philippines ke 5 lakh people ko is app ko use karane ke liye diya tha. People ne kai months tak ise apne smartphone me use kiya.
After a while, people ne paya ki unki 30% data saving hui. Yani aap bhi Google Datally se data saving kar sakte hai.
- Google Ke Top 15 Secrets & Tricks
Table of Contents
Google Datally Kya Hai
Google Datally Search engine giant Google dvara data saving ke purpose se create kiya gaya app hai. jise 5 million se jyada people ne install kar chuke hai.
Yah app behad hi light weighted hai, but data saving ke mamle bahut hi powerful hai.
Yah only 4.86 MB ki hai. Ise 9000+ user ne 5 rating di hai. Overall Google Play me iski rating 4.2 hai.
Google Datally Work Kaise Karta hai
Aap yu samjhe, mobile phone me jitane apps hai, uska 50-60% app background run karte rahte hai. Jaise UC News, UC browser.
Gajab baat hai ki aap chahe in open hi naa kare, tabhi ye automatically background me run karte hai.
Pure din bhar me dhire–dhire ye aapke data pack ka 20-30% data finish kar deta hai.
Google Datally aise hi apps ko close kar deta hai aur sath hi aapko aas-pas available wi fi ki list bhi available karta hai.
Jisse aap connect hokar, phone ki data save kar sakte hai.
Bakayada ye app yah bhi show karta hai ki kaunsa app sabse jyada data finish kar raha hai aur kis time kitna data finish hua hai.
Yani is app ke sahare aap apne apps par full control kar at least 30% data saving kar sakte hai.
Google datally kaise work karta hai, ise ye tin feature se easily samjh sakte hai-
1.Understand Your Data – Yah app aapko hourly, daily weekly or monthly basis par data finishing ko dikhayega Jisse aap data plan ko manage kar sakte hai.
2.Control Your Data – Data Saver Bubble on karane ke bad ye app background data usage ka real time reporting karega, jisse aap adhik data finish karne vale app ko jan block bhi kar sakte hai.
3.Save Your Data – Yah aapko nearest wi fi list bhi provide karta hai. Jise aap use kar data saving kar sakte hai. Is feature ke liye Google map data ki help leta hai.
Google Datally Kaise Use Kare
Yah app behad hi light weighted aur iski installation process behad easy hai.
1.Play Store me Google Datally search kare. & install kare
2.Open kare.
3.Continue kare
4.Allow Datally to make and manage phone calls? Allow kare
5.Click Open Usage Access.
6.Ab Installed App list open jayegi. Jis App ke Usage Access off hai, use on kare.
7.Ab Set up Data Saver par show ho rahe Lock ko tap kare.
8.Allow kare
9.Ab Data Save On ho chukka hai.
10Aapko jis app data saver on karna hai, use Manage Data me jakar Lock sign par click kar kar sakte hai.
Google Datally Permission List
Is app ko install karte time ye request karta hai. jise grant kar de.
Phone
Location
SMS
VPN
In Last Word
Aaj ke time apps bahut hi important hai, lekin ve bina grant me background run kare aur aapke data ko eat kare to kya ye sahi hai? nahi na.
Aap is tarah ke apps ko Google Datally se control kar sakte hai aur useless data ko save kar sakte hai. jo behad hi simple hai. Sath hi ye nearest wi fi list provide karta hai, jise use kar aap apna pura data save kar sakte hai.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to facebook, twitter aur google plus par share kare aur comment bhi kare
Leave a Reply