Blogging First

Learn Blogging & SEO Tips

  • Home
  • Dream 11
    • Account Verify
    • Money Withdraw
    • Win Tricks
  • Free Web Series
    • Free Netflix
    • Free ALT Balaji
    • Amazon Prime Video
  • Earn Online
  • App
  • Video Download
    • Sony LIV Video
    • Netflix Video
    • Amazon Prime Video
  • Privacy

Google Duo Ko PC Me Kaise Chalaye

By: Ravi Kumar

Google Duo Download For PC [Window 7/8/10 & Mac]: Real me ab ham ek technology age me ji rahe hai, jahan har koi technology ko use kar sakta hai aur apni life se complexity ko dur kar sakta hai.

Jiske karan is field me bahut si companies aage aa chuki hai. Jismen Search Engine Giant Google ka bhi name aata hai, Jo search engine ke success ke bad daily human life technology par bhi dhyan focus karane lage hai.

  • Whatsapp Ko PC/Laptop Me Kaise Chalaye
  • Google Datally Kya Hai & Kaise Data Save Karta Hai

Jiski vajah se unhone Video Calling App Google Duo banaya, jo ab tak aye video call apps aur software se behatar mana ja raha hai.

Iski khasiyat hai ki ye video calling ke time high quality video produce karti hai aur slow network bhi acche se work karti hai.

Table of Contents

  • Download Google Duo For PC
    • Google Duo App APK
    • Method – 1
    • Method -2
    • Google Duo App Feature (PC)
    • In Last Word

Download Google Duo For PCgoogle duo ko pc me kaise chalaye

Google Duo ko Google’s developer conference me 28 may 2016 ko announce kiya tha aur 16 august 2016 ko Android aur IOS device ke use ke liye release kiya.

Iske bad Google ne Android Smartphone Google Duo ko preinstall karavane ke liye kai Android Smartphone Manufacturer Companies se collaboration kiya. Jiske bad bahut companies ke android mobile me Google Duo App preinstalled aata hai. Aapke bhi aaya hoga.

Aap ise Video Call aur Audio Call ke liye Whatsapp se replace kar sakte hai. Is app me aapko low bandwidth network par high quality calling video milega. But ye by default mobile phone me work karta hai, lekin aap is post me Google Duo ko pc me run karna jan jayenge

  • Hike Ko PC/Laptop Me Kaise Chalaye

Google Duo App APK

Google duo ko PC me run karne ke liye Google Duo APK file ki jarurat padegi, jise google / play store se download kar sakte hai, jiske tariko ko aage janege.

AppGoogle Duo App
Operating SystemsWindow 7/8/10 Mac
Rating4.6 (3M reviews)
CategoryCommunication
App Size17MB
Last Update22 March 2019
App DeveloperGoogle LLC
Install1 Billion

Method – 1

Kisi bhi android app ko pc me run karne ke liye android emulator ki jarurat padati hai. jiska use karate hue google duo ko pc me run karenge.

1.Bluestacks android emulator download kare.

2.Install kar open kare.

3.Bluestacks me browser open kar google play store run kare.

4.Account login ho jaye aur google duo app ko install kar le.

5.Bluestack ke homepage par Google Duo App Icon ko click kare aur Video calling kare.

Method -2

Yah method first method ki tarah hai, but vah minimum 3 GB RAM PC ke liye compatible tha. Lekin aapk RAM 2 GB ya kam hai to ye method apply kare.

1.Noax Android Player install kare.

2.Noax open kare.

3.Browser me Play Store open kare.

4.Google Duo App install kare.

5.Noax ke homepage par Google Duo Icon par click kar video call enjoy kare.

  • Sony Liv Ko PC Me Kaise Chalaye

Google Duo App Feature (PC)

1.Video Quality – Google duo se video calling karte time video quality other video calling app ke compare better hoti hai. Iski video call 720p HD me hoti hai.

2.Working on Low Bandwidth Network – Kya aap aise jagah rahte hai, jahan aapko full network nahi milata hai. Don’t worry, vaha bhi aap Google Duo work karega. Yah app WebRTC aur QUIC use kar low bandwidth network bhi video call karane me able hai.

3.Knock Knock –  Is app ka knock knock feature bada hi behatar aur innovative feature  hai. Jo video call pick karane se pahle preview show karta hai. Jisse call receiver interrupt nahi hota hai. balki use invitation jaisa lagata hai.

4.Privacy – Aaj ke time me aapki privacy ki aapki real property hai. Jisko kisi bhi chij ke liye compromise nahi karana chahiye. Google ne is app me is baat ka pura khyal rakha hai. Yah dono taraf yani receiver aur dialer ends se encryption use karta hai. Jisme koi hacker ya third party tank- jhank nahi kar sakta hai aur full privacy maintain rahti hai.

5.Voice Call Only  – March 2017 me Google ne is aap me only Audio Call feature bhi add kar diya. Ab aap chahe to audio call bhi kar sakte hai.

6.Work on Contact List- Yah app user ke contact list ke base par work karta hai. Yani aapko jisse video call karana hai, contact list me jaye aur uske name par tap kare. 

  • MX Player Ko PC Me Kaise Chalaye

In Last Word

Market me bahut se video calling app hai, jinse aap video calling kar sakte hai. But Google Duo ki Knock Knock, HD Quality, Encryption, Work on Slow Network jaise features, aapko dusre app me nahi milega.

Maine aapko ise window pc me kaise install aur use karte hai, uska best method bataya hai. Jise aap follow kare.

Happy Video Calling!

Yadi aap is post ko helpful pate hai to facebook, twitter aur whatsapp par share kare aur comment karana na bhule.

Share with your world!!

WhatsAppFacebookTwitterGoogle+pinterestLinkedInBuffer

Related Posts

  • Android App/Game Ko PC Me Kaise Chalaye
  • vidmate ko pc me kaise chalayeVidmate Ko PC Me Kaise Chalaye
  • Sony Liv Ko PC Me Kaise Chalaye
  • voot download for pcVoot Download For PC [Best 4 Ways]

Filed Under: PC-Install

Get Latest Updates & Tips

(Inbox Me Confirm Link Par Jarur Click Kare)

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Recent Posts

  • The Kapil Sharma Show Download कैसे करे[Season 1-2]
  • उत्तर प्रदेश होम डिलीवरी/सप्लाई मित्र से भोजन & राशन कैसे मंगाये
  • Eros Now Subscription Free Activate कैसे करे
  • उत्तर प्रदेश कर्फ़्यू ई-पास कैसे बनवाये
  • जनधन, LPG Subsidy & किसान सम्मान निधि का पैसा कैसे ऑनलाइन चेक करे

Copyright © 2023 · About Me · Contact Me · Privacy Policy · TOS · Disclaimer · Sitemap · DMCA.com Protection Status