Google lagbhag every six month me koi na koi new algorithm implement karta hai, Jo ek new Google Ranking Factor ban jata hai.
Aise me Google SERP me high ranking pane ke liye un factors ko follow karana jaruri hai. otherwise Google Penalization face karana pad sakta hai.
Isliye maine khas hindi bloggers ke liye Google Ranking Factors laya hai, jise janana aapke liye behad jaruri hai-
Table of Contents
Google Ranking Factors
Domain
1.Keyword in Domain– Domain me keyword hona ranking me help karti hai.
2.Exact Matched Domain– Exact match domain se kisi bhi keyword ke liye top ranking mil sakti hai. Par blog content top quality vala hona nahi chahiye. Otherwise Google penalize bhi kar sakta hai.
3.Country TLD Extension- Google always country TLD (.in, .us, .jpn) based blog/website ko .com .net .org TLD based blog/website ke compare related country me jyada ranking deta hai.
4.Domain Age – Google engineer Matt Cutts ke anusar yadi aap quality content likhte hai to Domain Age se ranking par impact nahi padta hai. But one year domain + low content hone se blog ko flag as spam kiya ja sakta hai.
5.Domain Authority – High DA se high ranking milati hai. Ise quality backlink se badha sakte hai.
Focus Keyword
6.Focus Keyword in Title- Title me focus keyword hona On Page SEO ka important part hai. Jo post ko search engine friendly aur user friendly banata hai.
7.Focus Keyword in Description – Behatar SEO ke liye description me focus keyword hona chahiye.
8.Focus Keyword in URL – Good SEO ke liye URL me focus keyword hona jaruri hai, lekin URL long na ho.
9.Focus Keyword in Subtitle – Subtitle me focus keyword hone se post ki topic clear hoti hai.
10.Focus Keyword Density – 500 words me 3-4 focus keywords hona chahiye. Jyada keywords avoid kare, isse over SEO ho jayega.
11.Focus Keyword in 100 words – Google crawler pahle 100 words se hi post ka topic clear karta hai. Isliye post ke pahle 100 word me focus keyword include kare. But ek hi keyword include kare.
12.Focus Keyword Word Order – Focus Keywords se exact match hone vale title post keyword se matched title post se pahle appear hota hai.
Jaise – Focus Keyword “Blog Se Kaise Kamaye”
Post-1 “Blog Se Kaise Kamaye | 7 Best Tarike”
Post-2 “Blog Se Paise Kaise Kamaye | 7 Best Tarike”
Post 1 ko high rank milega.
Content
13.Post Length – Ek complete post large hota hai, Isliye large post ko google short post ke ovar ranking deta hai.

14.Latent Semantic Indexing in Post – LSI se blog ki traffic increase kar sakte hai.
15.LSI in Title – LSI title me bhi include karana chahiye
16.LSI in Description – LSI ko post aur title ki tarah description me include karana beneficial hai.
17.Duplicate Content– Duplicate content ke karana Google Panda penalize kar sakta hai.
18.Copied Content – Dusre blog se content copy karane se blog Google ke radar me aa jata hai. Yadi aap koi affiliate blog run karte hai aur product description ke liye merchandise website se us product ki description aur user reviews copy karte hai to penalty face karana pada sakta hai.
19.Speed – Fast blog ko slow blog ke over high ranking milti hai.
20.Image optimization– Image compressed ho aur uska alt tag, caption, description, title, post topic ke anusar ho.
21.Fresh Post – Google hamesha old post ki bajay latest post ko high ranking deta hai.
22.Video – Post me Video aur Audio include karane se post super quality vala mana jata hai..
23.Reading Level – Yadi aapke post ko 8-10th standard ke bachche samjh jate hai to aapko high ranking milegi.
24.Readability – Chote-chote paragraph ko padhane me asani hoti hai. Isliye 2-3 lines ki hi paragraph banaye
25.Bullets and Number List – Post me bullets aur number include karana post quality hone ki nishani mana jata hai.
26.Post age – Post old hai aur use update kar diya jaye to easily high rank mil sakta hai.
27.Useful content – Content ka useful hona jaruri hai, jo comment aur bounce rate se pata chalta hai.
28.Guest Posts – High DA vale blog par guest post karane se aapki online identitiy majbut hoti hai aur quality backlink bhi milta hai.
29.Bounce Rate – Blog Post ki bounce rate ideal hona chahiye, jo important ranking factor hai.
30.URL Length – Post ka long url hone ke karan google url ko SERP me full show nahi kar sakta, jo Google URL Standard ke anusar sahi nahi hai.
31.URL Structure – yourdomain.com/postname ko sabse achcha URL Structure mana jata hai, Jo SEO friendly hone ke sath short bhi hai.
Link
31.External link- Post me high quality external link add karane se post genuine lagata hai.
32.Number of External links – Ye SEO ke liye behatar hai, Lekin jyada external link add karane se SEO par opposite impact pad sakta hai.
Link aise blog se kare, jo hamare blog ko relink kare, jo SEO ke liye sabse behatar hota hai.
33.Internal Links – Internal links se ek post ki PA se dusre post ki PA increase kar ranking badha sakte hai.
34.Broken Links – 404, Sorry Not Found hone se Google post ko unindex kar sakta hai.
35.Affiliate Links – Jis post me affiliate links add karana hai to content high quality ka bhi hona chahiye, otherwise Google penalize kar sakta hai.
36.Link from .edu or .gov or newspaper site – .edu, .gov aur newpaper site sabse Highest DA vale hote hai. Inse mile Backlink se blog ki ranking increase ho sakti hai.
37.Links from Bad Neighborhoods – Apne se kam DA vale blog se backlink lena SEO ke liye ghatak hai.
38.Backlink from Homepage – High DA blog ke homepage se mile backlink se high juice pass hota hai. Jo blog ki DA jaldi increase karta hai.
39.Bundle of Link – Ek hi blog se kai backlink banana ya kam time me adhik backlink banane se Google blog ko Sandbox me dal sakta hai. Jiske bad ranking down ho sakta hai.
40.Sponsored Links – Paid Link, Sponsored Link, Powered By jaise anchor text vale backlink SEO ke liye bad hai.
Yadi aap paid link chahte hai, to nofollow tag use kare.
41.Link From Post – Post backlink pana natural aur reasonable lagta hai.
42.301 Redirect – Blogspot se wordpress migrate karne bad 404 se bachane ke liye 301 link redirect karna padta hai. Par ye SEO ke liye good idea nahi hai.
43.Link Location in post – Post ke shuruat me mila backlink sabse effective hota hai.
44.Backlink From Relevant Domain – Relevant Domain se backlink pana SEO ke liye great hai.
45.Backlink From Relevant Post – Relevant post se mila backlink sabse relevant mana jata hai. Jo ek natural backlink hai.
46.Forum Profile Links – Forum se backlink pana sabse easy hai, par Forum se mila backlink SEO me koi help nahi karta hai, balki yadi jyada backlink mil jaye to SEO ko heart bhi kar sakta hai.
Sitewide
47.W3C Validation – Yadi blog me W3C error hai to ranking par bad impact pad sakta hai. jise aap yaha check kar skate hai. Validator W3C
48.Contact Us Page – Blog me ek contact us page bhi hona chahiye, jisme Genuine address aur phone number hona chahiye. Jo aapki real identity ko show karta hai.
49.Visibility – Blog loading hone par sabse pahle main content dikhana chahiye, otherwise bounce rate badhega aur ranking down ho jayega.
50.Privacy Policy – Blog par Privacy Policy page hone se patta chalta hai ki aap Internet ke Global Standard ko follow karte hai.
51.Term Of Service- Term of service page na hone se Google ise users ke sath cheating karne jaisa samjhata hai.
52.About Us – About us page ko google ignore nahi kar sakta hai. Isse blog owner ki real identity aur motive clear hoti hai.
53.Site Uptime – Bar bar server down hone se user experience par bad impact padta hai. Isliye cheap hosting ki bajay achchi hosting buy karani chahiye.
54.Server Location – Yadi hosting server India me hoto use blog ko India me ranking achchi milegi.
55.SSL Certificate – Google pahle hi clear kar chukka hai SSL (HTTPS) vale blog ranking me benefits milega.
56.Breadcrumb Navigation – Breadcrumb navigation se user ko patta chalta hai ki vah kis category ka post padh raha hai. Jisse user experience achchi ho sakti hai.

57.Mobile Optimized – January 2017 ke bad se hi Google ne mobile optimized blog ki ranking badha di hai.
58.Site Usability – blog ka navigation bar, pagination, sidebar widget ko user easily use kar pa rahe ya nahi. Isse bhi ranking par impact padta hai.
59.Google Analytics & Google Webmaster Tools – Ye dono tool aapko behatar tarike blog se related data aur problem ke bare me batata hai, jise Google bhi use karta hai.
60.Youtube- Youtube Google ka hai, jise vo avoid nahi kar sakta hai. Isliye blog ka youtube channel hona fayademand ho sakta hai.
61.Social Share Number of Referring page – high social share number vale social post se referral traffic milati hai, to blog ki seo ke beneficial hai.
62.Country TLD of Referring Domain – Country TLD (.in, .jpn) vale website se bachlink milane par us country (.in, .jpn) me ranking milati hai.
63.Schema.org Markup – schema.org markup ki help se search engine behatar tarike se blog ko read kar pati hai. Tabhi Google ranking deta hai.
64.DMCA Complaints – DMCA complaints blog ki goodwill ko down kar deta hai.
65.Google News Box – Google kisi topic se related news ko Google News Box me show karta hai, jo actual post ranking se upar hota hai. Is box me keval news site ke article hi show hote hai.

66.Local Searches – Yadi user “restaurant near me” “motel near me” search kare to uske location ke base Google SERP show karta hai.
67.Shopping Result – Jab Google me product search karte hai to SERP me sabse pahle product picture show hota hai, jo sponsored aur eCommerce website se jude hote hai.

68.Spam IP Address – Hosting plan buy karne ke bad Hosting Company Server IP provide karta hai. Yadi vo spam listed hai to Google aapke blog ko spam list me shamil kar sakta ahi.
69.Meta Title Spamming – Title jarurat se jyada long rakhana ya title me kisi popular blog ka name dala spamming hai.
70.Meta Description Spamming – Limit se jyada long description likhana, spamming hai.
71.Shared Hosting – Beginner blogger ke liye sabse cheap hosting plan shared hosting hota hai. Jisme ek hi ip address ke server par kai blogs ko host kiya jata hai. Jismen yadi koi blog porn, adult content vala ho to uska bad impact dusre blogs par bhi padta hai.
72.WhoIs Privacy Protection – WhoIs privacy protection se blog owner ki real identity chupi rahti hai, jo spam hone ka suchak hai.
User Interaction
73.High CTR Keyword – Web title me high CTR keyword include karane se ranking badhai ja sakti hai.
74.Direct Traffic – Direct Traffic regular visitors se milati hai, jo blog ki trust value ko increase karti hai.
75.Regular Visitors – Regular visitors blog ke real fans hote hai, jis blog ke jitne jyada hai. Use Google utna hi importance deta hai.
76.Chrome Bookmarks – Google user ke Chrome ke sabhi data analyse karta hai. Jisme bookmarks bhi shamil hai. Is bookmarks me jin blog ki link hote hai. Use Google trust value deta hai.
77.Comments – Comment users ke engagement ko show karta hai, jo blog ke content useful hone ka suchak hai.
78.User Engagement Time – User blog ko kitna time spend karta hai, jo content value show karta hai.
79.Geo Targeting – Google un blog ko high rank deta hai, jo kisi country, place se relate karte hai. Is tarah ke SERP us country aur place se related user ko dikhata hai.
80.Google Plus Circles – Google SERP me us user ko us blog ka post jarur show karta hai, jo Google Plus par us blog se jude hote hai.
81.Popups or Distracting Ads – 2012-2013 ke bich bloggers blog me itna ads add kar dete the, ki main content ka hi patta nahi chalta tha. Tab Google ne users ke complain par is tarah ke action ko penalize kar diya. Isi ab yadi content se jyada ad lagaye to Google penalize kar sakta hai.
82.On Page SEO Optimization – On Page SEO optimization ka Google ka important ranking factor hai.
83.Off Page SEO Optimization – Off Page SEO optimization bhi Google ka important ranking factor hai.
84.User Browsing History – Google every user ke browser history ko read karta hai. Usi ko dhyan me rakh kar us user ke SERP show karta hai. Histroy.Google.com par aap apni history dekh sakte hai.
Social
85.Number of Tweets – Blog ke twitter account se huye adhik number me tweets Google ko green signal deta hai.
86.Authorized Twitter Users Account – Authorized Twitter user account se referral traffic milana, kisi bhi blog ke liye golden moment jaisa hai.
87.Facebook Like – Blog post par facebook likes Google ko good singal deta hai.
88.Facebook Share – Facebook like se jyada facebook share importance rakhata hai, jo dhero referral traffic blog par deliver kar sakta hai.
89.Authority of Facebook User Accounts – Authorized Facebook User Accounts se referral traffic SEO ke liye beneficial hai.
90.Pinterest Pins – Twitter, Facebook ki tarah Pinterest Pins bhi ek google ka ek ranking factor hai.
91.Number of Google Plus – Google Plus Google ka hai, Isliye kisi blog post par mile Google plus ko ignore nahi kar sakta hai.
92.Authority of Google Plus User Accounts – Facebook aur Twitter ki tarah ye bhi Google ko green signal send karta hai.
93.Number of RSS Subscriber – RSS (Feedburner) subscribers blog par trust karane vale visitor hote hai. Yadi ve adhik sankhya me ho to Google par good impact padta hai.
Yadi aap is post ko pasand karte hai, to jarur share kare.
Leave a Reply