HBSE (Board of Secondary Education ) 21 May 2018 ko class 10 result declare kar sakti hai. is din aap HBSE ki official website par apna result check kar sakte hai. Iske alava aap result 4 tariko se check kar sakte hai. Jise ham aage jante hai-
Table of Contents
Haryana Board 10th Result 2018 Kaise Check Kare
Is year 3,83,499 students ne HBSE class 10th exam 2018 me participate kiya tha. Jise board ne 8 March 2018 se 31 March 2018 ke bich organize kiya tha. Jiski announcement 21 May 2018 ko expected hai.
Aap apna result 5 tariko se check kar sakte hai.
#1. Method – BSEH Ki Official Website
Yah official method hai, jahan apko sabse pahle result ka notification milega. Aap yahan apna result check kar sakte hai.
1.BSEH ki official website par visit kare.
2.BSEH Class 10 Result 2018 link par click kare.
3.Roll number enter kare.
4.Result find kare aur download kre.
#2. Method – India Results
Indiaresults.com Haryana Board ki result partner hai. Yani result declare hote hai, is website par class 10 ke result available kiya jayega. Jise aap kuch steps me check kar sakte hai.
1.Indiaresults.com par visit kare.
2.Secondary Examination Result 2018 par click kare.
3.Details submit kare aur result paye.
#3. Method – Jagran Josh
Jagaranjosh.com online education field ki popular website hai, jahan study material ke sath exam results bhi available kiya jata hai. aap in steps me apna result check kar sakte hai.
1.Jagranjosh.com par visit kare.
2.HBSE 10th Result 2018 par click kare.
3.Roll number enter kare.
4.Result find kare.
#4. Method – Exam Results
Exam results exam result available karaane me new player hai, jaha aap kuch steps apna result check kar sakte hai.
1.Examresults.com par visit kare.
2.HBSE 10 Results par click kare.
3.Details fill up kare aur apna result download kare.
#5. Method – SMS
Yadi aap abhi bhi feature phone use karte hai to don’t worry. Aap apne feature phone se apna result jaan sakte hai.
Simply aapko apne mobile phone se is format me SMS karna hoga-
SMS – RESULTHB10<space>ROLLNUMBER – Send it to 56263
In Last Word
Haryana Board class 10 result janane ke liye kai method available hai, but upar bataye gaye method sabse effective and working hai. Jise use kar easily apna result jan sakte hai.
A Request For You – Is post share kar apne friend ko result find karne me help kare.
Leave a Reply