Hike India ka pahla aur big messaging app hai, jo daily 200 se jyada countries me use ki jati hai.
Is app ko 12 december 2012 ko launch kiya gaya tha aur hike only 2 years me 15 million users jod liye.
Aur January 2016 ko ye number 100 million ko par kar gai. Is bumper success ke piche hike ki awesome & unique features jaise 2000+ free stickers, recharge, split bills, designed theme, group, timeline responsible hai.
2015 me hike ne free voice calling company Zip Phones ko acquire kar liya, jisse ke bad hike ne apne awesome feature list me Free Voice Calling ko jod diya.
2016 ke ant me free video feature add kar Skype aur Facebook ko jordar takkar de diya.
Iske bad ye messaging app features ke mamle me whatsapp ko piche chhod diya hai.
Bad me Facebook ki timeline feature ko add kiya, jo aapko Fb vala feeling deta hai.
Yani Paytm, Whatsapp , Facebook aur Skype ki jagah is App ko use kar Friends chatting, grouping, mobile recharge, bill payment kar sakte hai.
Is shandar messaging app idea ke piche Bharti Airtel ke founder Sunil Mittal ke son Kavin Bharti Mittal hai.
Jinhone is app ke development ke liye Bharti Enterprises aur Softbank se fund jutai. Bad me donon companies is app ko joint venture ke rup me handle karne lagi.
Jiske bad app me popular games, live cricket score & live commentary, latest news jaise feature add kiya gaye.
Kul milakar ab ye app Whatsapp & Facebook ko takkar dene ke liye puri tarah se taiyar hai. Jiske achche response milne start ho gaye hai.
Isliye people is app ko smartphone me khub enjoy kar rahe hai, lekin ab ve is app pc me bhi chalakar joy karana chahte hai.
Aaaiye main aapko batayunga kaise aap hike ko PC/Laptop me chala sakte hai
Hike Ko PC/Laptop Me Kaise Chalaye
1.Anroid Emulator Software Bluestack aur Hike APK file PC me download kare.
2.Bluestack ko install kare.
3.Bluestack open kare aur App install feature se Hike APK file ko install kare.
Ab hike par account banaiye aur pc me enjoy kare.
In Last Word
Actually Hike ko keval Anroid, IOS, aur blackberry ke liye banaya gaya. But aap third party software, jo anroid app ko run karata ho, jise Anroid emulator ki jarurat padti hai. Vaise web par bahut se Anroid Emulator available hai, But Bluestack best hai. Jise main recommend karta hun. Isse other anroid app run kar sakte hai. Iske liye high GB vali ram ki pc me hi install kare.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur share and comment kare.
Leave a Reply