Jabse facebook ne dastak diya tha, uske bad koi nahi janta tha. sabhi ki life online ho jayegi.
Jo kabhi doston ke sath baithkar guftgu kiya karte the, aaj facebook jaise online medium se dur baithe guftagu kar sakte hai.
Uske bad whatsapp aaya, vo to har pal ke liye friend ko behad hi najdik le aaya. Isse bahut se people jud gaye. Jisse unka bahut bada market bana gaya.
Is business idea se Indian entrepreneur Kavin Bharti Mittal bhi inspired hue aur 12 December 2012 ko launch kar diya. Hike Messenger.
Yah messenger purely Indian messenger hai, jo aaj world ke 200 se jyada countries me daily use ki jati hai.
Kavin Bharti Mittal Bharti Airtel ke Founder and Chairman Sunil mittal ke son hai. Isliye unhen is messaging app ke liye Bharti Enterprises se support milta hai.
Bharti Enterprises ne is app ke behatar development and marketing ke liye SoftBank se collaborate kar li.
Hike Messenger Kya Hai
Hike messenger sabse modern messenger app hai, jisme aap text chat, video chat, video conference, group chat freely kar sakte hai. Iske alava aap bill payment, recharge, money transfer, send money, receive money, game, news, bus ticke booking kar sakte hai.
Vaise hike ki meaning vridhhi (increasement) hota hai.
Hike Messenger Ki Khasiyat
1.20,000+ Free Sticker
Aapne Whatsapp aur facebook par bahut se smiley ko use kiya hoga, jo ab boring sa lagte hai. Par hike par aapko 20,000 se jyada attractive free stickers milenge.
Jise dekhte hi aap impressed ho jayenge.
2.Full Privacy & Security
Hike 128 bit ki SSL layer use karti hai, jo third party ko aapke data dekhne se rokta hai. Sath hi hike aapko puri tarah ye setting bhi deta hai ki kaun aapko profile dekh sakta hai aur kaun nahi.
3.Awesome Group Chats
Hike group me aap 1000 people ko include kar sakte hai. Jinke sath text & video conferencing kar sakte hai. Is group me DOC, MP3, Zip aur split bills ko share kar sakte hai.
Jab aapko koi decision lena ho to Poll create kar turant group decision jan sakte hai.
Yaha tak group member ke sath teen patti bhi khel sakte hai.
4.Popular Games
Hike messenger Word rush, India Puzzle, Word Search, Number Rush, Sudoku, Snake, Solitaire, Connect, Run Bhai Run, Dash, Race Teen Patti Nights, Jalebi jaisi popular games free available karta hai. Jise khel aap khub enjoy kar sakte hai.
5.Hike Wallet
Hike Bhim UPI use karta hai. Iska mataba aap hike se money transfer, add money, receive money kar sakte hai.
6.Blue Packets
Kisi birthday ya anniversary par gift dena hai to hike aapki help kar sakta hai. Hike ka blue packet ek beautiful digital envelope hai, jiske dvara aap money gift kar sakte hai.
7.News
Hike 9 se adhik language me latest news provide karta hai. yani hike ko use karte hue duniya ke sath updated rah sakte hai.
8.Cricket Score & Commentary
Cricket India ka religion hai. isliye hike is bat ko care kiya hai. Match ke din hike live match scores ke sath live commentary bhi available karta hai.
9.Voice & Video Call
Other social sites ki tarah aap hike se free voice & video call bhi kar sakte hai.
10.Chatting Bot ‘Natasha’
Aap akele hai ya aapke friends available nahi hai to koi baat nahi. Aap Natasha se chat kar sakte hai. Ye aapki help bhi kar sakti hai.
Natasha ek talking bot hai, jo bahut hi friendly hai.
11.Bus Ticket, Mobile Recharge & Food
Is app se aap bus ticket book, mobile recharge aur food order bhi kar sakte hai.
Iske alava aap hike se dhero rupye kama sakte hai, ye every friend invite par 51 rupees deta hai. Yadi aapke contact list me bahut se friend hai to aapki bahut kamai ho sakti hai.
- Internet Se Paise Kamane Ke 10 Best Trike
- Free Bitcoin Kaise Kamaye
- Blog Se Kaise Kamaye ? Best 7 Tarike
- Affiliate Marketing Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Earn Karte Hai
Hike Se Kaise Kamaye
1.Hike app install kare
2.niche me par click kare
3.Book, Pay & Earn section me Rewards par jaye.
4.Invite Now click aur yes kare.
Ab mobile contact list me maujud sabhi friends ke pas aap SMS mil jayega. Jaise hi ve 24 hours ke andar us link ki help se hike install karte hai aapko Rs51 per friends milega.
Ye post aapko kaise laga, comment me jarur bataye aur share karana na bhule
Rishabh says
Nice Post sir thanks
Hajari prasad says
Bhai Hike all in one hai, ish liye bahut hi kam samay me bahut jyada viral ho rhi hai. And aapne kaphi details iske bare me btaya.
Ravi Kumar says
Ha bhai, iske feature kisi bhi messaging app se shandar hai. Sabse badi baat, ye Indian App hai, jo 200 countries me use ki jati hai. I am feeling proud for it.