World ki all languages me Hindi sabse easy language hai. Ise aasani se learn kiya ja sakta hai aur aasani se write kiya ja sakta hai.
Lekin jab baat computer par ya online hindi likhane ke aati hai, to sabse badi hardness feel hoti hai.
Aise men yadi aap ek hindi blogger hai to aapko offline ya online hindi typing kaise karte hai, janana behad jaruri hota hai.
to aage janiye is post se kaise hindi write karte hai.
Table of Contents
Hindi Me Kaise Type Kare
Hindi typing karane ke liye kuch hi software available hai, jismen main hai –
1.Google Input Tool –
Offline hindi typing ke liye ise sabse jyada use kiya ja raha hai.
Ab update ke bad ise online bhi use kiya ja sakta hi. Sath hi ye android phone, chrome browser aur window pc ko bhi support karta hai.
Vartman me is tool ki madad se aap 22 languages me likh sakte hai.
Ye languages hai-
1.Amharic
2.Arabic
3.Bengali
4.Persian
5.Greek
6.Gujarati
7.Hebrew
8.Hindi
9.Kannada
10.Malayalam
11.Marathi
12.Nepali
13.Oriya
14.Punjabi
15.Russian
16.Sanskrit
17.Serbian
18.Sinhala
19.Tamil
20.Telugu
21.Tigrinya
22.Urdu
Kaise Install Kare Google Input Tool
Google Input Tool ko aap apne window pc, android phone aur chrome browser ke liye download kar sakte hai.
Window Pc Version – Get It
Android Phone – Get It
Chrome Browser Extension – Get It
Google Input Online Tool – Is tool ki madad se aap online hindi write kar sakte hai.
Ismen aap special (➽⟴➣) aur Emoji (????????????) jaise symbol bhi use kar sakte hai, jo aur kisi bhi version me nahi milega. Sathi ye 120 languages ko support karta hai. Online Tool par jaye
2.Microsoft Indic Language Tool
Ye tool Microsoft ka offline typing tool hai, jo 10 language ko support karta hai.
1.Bengali
2.Gujarati
3.Hindi
4.Kannada
5.Malayalam
6.Marathi
7.Oriya
8.Punjabi
9.Tamil
10.Telugu
Par is software ko 15 april 2014 ke baad se kabhi update nahi kiya gaya hai. Isliye ye Window 7 ke upar ke version ko support nahi karta hai.
Is tool se Google Input Tool ki tulna me aap hindi fast type kar sakte hai, kyonki Google input tool se purn viram(।) nahi laga sakte. Iske liye aapko iske online version ko use karna hoga.
Jabki Microsoft Indic Language Tool me dot se purn viram laga sakte hai.
Kaise Install Kare Microsoft Indic Language Tool
Yah tool 3.82 MB ki hai. Ye computer me dusre software ki tarah hi install hota hai. Bas installation ke samay Hindi select kare. Yahan se download kare.
Shortcut Key Setup

Google Input Tool aur Microsoft Indic Language Tool installation ke bad taskbar par show hone lagata hai.
Jahan aap language aur dono tool ko badal sakte hai. Lekin aisa karane men aapka kafi samay waste ho sakta hai.
Isliye changing karane ke liye shortcut keys setup kare
Jaise maine in tools ke liye is tarah ke shortcut keys setup kiya hai.
Microsoft Indic Language Tool ke liye CTRL+Shift+1
Google Input Tool ke liye Ctrl+Shift+2
English – Ctrl+1
Aap isprakar se shortcut keys setup kar sakte hai
1.Taskbar Me Language Tool par right click kare.
2.Setting par jaye.
3.Advance Key Setting me jaye
4.Press the Shift Key select kare.
5.Microsoft Indic Language Tool ko select kare aur Change Key Sequence par click Kare aur apna pasandida shortcut keys set kare.
6.Isi tarah Google Input Tool Aur English ke liye setup karen.
7.Last me Apply aur OK press kare.

Hope, ab aap asani se hindi likh sakenge, vo bhi words ka bina rataa mare.
Dhyan de : Shuruaat me aapki hindi type karane ki speed kam ho sakti hai. Lekin kuch dino tak regular type karane se aapki speed badh jayegi.
Ab aap mujhe bata sakte hai ki pahli baar hindi likhane par kaisa feel hua ? Sath hi yadi aapko koi problem hoti hai, jarur mujhe bataye.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to jarur share kare and Thanks
NARENDRA SINGH SHEKHAWAT says
VERY VERY NICE TOOL
Ravi Kumar says
Welcome Bhai