Kya aap ICSE & ISC result find karna chahte hai ? to aap sahi post read kar rahe hai.
Main aap ko aage batane vala hun kaise aap ICSE & ISC results check kar sakenge.
Is year 27 lakh students ne is exam me participate kiya hai. Aise me yadi itni badi number me students same time me kisi website ko access kare to website crash aur sever down ho sakta hai.
Isliye main aapko 4 tarike batane vale hun, jisse aapko apna result find karane me koi problem nahi hoga.
To chaliye jante hai –
Table of Contents
ICSE & ISC Result 2018 Kaise Check Kare
ISC exam 2018 me 10,88,891 students ne participate kiya hai, jo 7 February se start hokar 2 April tak chala tha, vahi ICSE exam 2018 me lagbhag 16 lakh students ne attend kiya tha. Is exam ko 26 February se 28 March tak organize kiya gaya tha
Jaisa maine pahle hi upar bataya hai ki main aapko 4 tariko batane vala hun, jo behad easy aur effective honge.
#1 Method – CISCE.org
Is tarike se result check karne ke liye most of students prefer karenge, jisse CISCE ki official website down ho sakti hai. isliye aap alternatives apna sakte hai.
1.CISCE ki official website par visit kare.
2.ICSE Result 2018 ya ISC Result 2018 ke link par click kare.
3.Roll number and registration number enter kare.
4.Ab Result show hoga, use download kar len.
#2 Method – Examresults.net
1.Examresults.net par visit kare.
2.Class 10 ka result janane ke liye ICSE Results par click kare.
3.Class 12 ka result janane ke liey ISC Results par click kare.
4.Apna roll number aur registration number enter kare.
5.Aapk result show hone lagega.
#3 Method – Results.nic.in
1.Results.nic.in par visit kare.
2.Ab ICSE Results 2018 ya ISC Results 2018 par click kare.
3.Registration number aur roll number submit kare aur result find kare.
#4 Method – Jagranjosh.com
1.Class 10 ka result janane ke liye is link par click kare.
2.Class 12 ka result janane ke liye liye is link pr click kare.
3.Registration and Roll number submit kare aur result find kare.
In Last Word
Karib 27 lakh students apna result check karenge, jisse CISCE ki official website ka down hona lazmi hai. Isliye maine apke sahuliyat ke liye 4 method bataye. Jab aap problem face kare to unhe use kar sakte hai.
Yadi aap is post helpful pate hai to Whatsapp, Facebook, Twitter aur Google Plus par share kare.
Leave a Reply